A step before posting Islamic Posts

  • Work-from-home

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
A step before posting Islamic Posts
Assalamu Alaykum Wrwb
Ye ek suggestion ek nasihat ek guzarish aur ek tambeeh bhi hai

Staff aur sare TM members isko bagaur padhen aur is par amal ki koshish Karen :)

Hamne kaafi aise threads dekhe hain Islamic section me jis me jo information post hoti hai uska ki koi haqeeqat nahi hoti islam se aur nahi koi refference hota hai aur to aur kuch threads aise hain jisme islam k khilaf baten hain aur padhne wale gumrah bhi hosakte hain
Iski kya wajhe hai wo ye k post karne wale khud kabhi usko padhte nahi bas kahin se mil gaya ya koi dusri sites se copy kar liye ya phir kisi ne mail kardiya wo lake yahan post kardiye isme galti kuch nahi balke acha hai aap ko jo bhi jaankari mile islam ki usko phailayen lekin pehle khud usko padh liye Karen tahqeeq karlen ki ye sahi hai ya nahi phir aap usko post karen
Aur dusri guzarish aap tamam se ye hai k agar koi bhi apko Islamic thread ki link vm karta hai to ap usme reply dene se pehle padh liya karen warna reply na den hamne dekha hai bohot se dost bas Jazakallah ya nice sharing likh dete hain sahi hai par padhne k baad kahen ye isliye keh rahe hain ki jab koi apko vm karta hai to iska ye matlab hota hai ki isme kuch aham baat hai jiska padhna janna sab k liye zaroori hai khaas kar ham jo bhi links vm karte hain wo aaj k muashre ki halat aur Islamic nuqte nazar se bohot aham hote hain
Hamare kayi dost hamse alag alag maslon k mutabik sawal karte rehte hain Alhamdulillah achi baat hai hame acha lagta hai kisi k masle ka hal agar hamare zariye ho lekin aksar unke sawal k jawab ham pehle se yahan kisi na kisi thread me dechuke hote hain aur wo khud wahan jazakalllah keh kar hausla afzayi bhi kiye hote hain par jab aise sawal hamse puchte hain to tajjub hota hai aur baat samne aati hi k Islamic threads ko koi itna ahmiat hi nahi dete
Umeed hai Aap sab hamari baton ko posstive lenge
1. Islamic information post karne se pehle khud padhen
2. Koi Islamic thread ka link vm kare to koshish Karen padh kar jawab den
3. Agar koi islamic thread bana rahe hain to daleel k sath banaye

Umeed hai hamare is kadam par aap sab muttafiq honge aur is par amal bhi Karenge Insha Allah

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen

Assalamu Alaykum Wrwb

ek baar phir ham aap sab ko mutanabbeh karna chahte hain ki islamic section jo bhi thread banega usme Quran aur sahi ahdees se daleel honi chahiye aur phir jo usme posting karenge kisi masale se related to wo bhi daleel k sath post karen aur bahes se bachen

agar hamne koi thread me reference nahi diya ho ya hamari koi post par ham daleel dena bhul gaye hon ya apko kisi bhi baat par aiteraz hai to aap hamse khul kar puchen insha Allah hamari kahi huyi baat par ham puri imandari k sath apko daleel peshkarne ki koshisha karenge ye deen ka mamla hai aur hame Allah k yahan jawab deh hona hai

kisi bhi qism ka ta'ssub na rakhen aur nahi ana ko beech me aane den isse sirf iqtelaf badhega aur dilon me mohabbat kam hogi deen se doori badhegi

Allah se dua hai hame deen ki sahi samajh aata farmaye ittehad o ittefaq se milkar deen ka kaam karne ki taufeeq aata farmaye Aameen

sallellahu nabiana Mohammad wa aala aalihi wa ashabihi ajamyeen

birahmatika ya arhamar raheemeen
 
*lucky*

Newbie
Aug 9, 2010
4,386
1,581
0
sweet home
Waalikumaslam

bilkul theek kaha aap ny...

agr meri trf say kbhi aisi koi ghalti hooe ho to us k liye muaafi chahti hoon and ye k ayenda aisi ghalti nahi hogi...Inshallah :)

thanx saviou :)
 
Bint-e-Aisha

Maria ki Mama
VIP
Jun 16, 2009
9,885
6,437
713
chaand pe
hmm nice suggestion to users...but we donot let any thread posted that is unauthorized...u can visit recycle bin...i moved many threads which having unauthorized hadiths..
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
hmm nice suggestion to users...but we donot let any thread posted that is unauthorized...u can visit recycle bin...i moved many threads which having unauthorized hadiths..
shukran :)
par bohot se aise threads abhi bhi hain jinki koi sanad nahi aur uske Islam ko bigadne ki apni taraf se manghadat baten hain

aap ek baar gaur karen agar aap chahen to aise threads jo bohot hi khatarnak hain ham khud apko batayenge phir aap usko dalail ki roshni me dekh kar jo faisla karna hai karen
 
Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Buhut he acha suggestion diya hain aapne...
thora buhut mai bhi add kerna chahte hu k na serf Islamic post balke koi bhi section ya topic se related ki thread post kerta hain toh pahle usay khud ache se read kare and confirm kare ager koi news ho toh ache se source se jaankari le ker then post kare kio k joh bhi koi kuch info ya news read kerta hain toh ofcourse usay baki sub tuk bhi phauncha tha hain ager humara voh news ya baat ghalate nekle then her koi confuse hojata hain k what is this??.....and the 2nd joh saviou ne kaha k kessi topic ko bena padhe comment na kare... so this is the very good point kio k jub koi topic vm kerta hain toh us mei zaroor koi khaas topic hota hain ager ap us mei serf Jazak Allah khair likhe then es se saaf zahir hota hain k es bande ne topic read nahin kiya kio k her tpic mei serf yeh likhna kafi nahi hota kuch topics mei comment and veiws ki bhi zaroorat huti hain jess se post kerne wala apreciate hota hain and andaza lagta hain k kessi unke topic se kuch knowledge hasel kiya and kuch aapne views add kiye toh yeh sare baate saviou ne bottom mei mention kiya mai buss roshni dalna chahte the k plzz kessi bhi topic mei ager reply kerte hain then acha reply de jess se andaza hojae k aaapne thread read ki hain...
That was all I wanted to say...
Thanks
 
  • Like
Reactions: Tariq Saeed

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
All islamic threads pehle Staff say approve hotin hain then public may show hotin hain... laykin yeh rule aysa hamesha say nai tha... so ho sakta hai k start ki kuch threads aysi hon... but you can always report those posts.. and we will take care of this...
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Waalikumaslam

bilkul theek kaha aap ny...

agr meri trf say kbhi aisi koi ghalti hooe ho to us k liye muaafi chahti hoon and ye k ayenda aisi ghalti nahi hogi...Inshallah :)

thanx saviou :)
Jazakallah khair :)
apne hamare sujhao ko sanjeeda taur par liye
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Buhut he acha suggestion diya hain aapne...
thora buhut mai bhi add kerna chahte hu k na serf Islamic post balke koi bhi section ya topic se related ki thread post kerta hain toh pahle usay khud ache se read kare and confirm kare ager koi news ho toh ache se source se jaankari le ker then post kare kio k joh bhi koi kuch info ya news read kerta hain toh ofcourse usay baki sub tuk bhi phauncha tha hain ager humara voh news ya baat ghalate nekle then her koi confuse hojata hain k what is this??.....and the 2nd joh saviou ne kaha k kessi topic ko bena padhe comment na kare... so this is the very good point kio k jub koi topic vm kerta hain toh us mei zaroor koi khaas topic hota hain ager ap us mei serf Jazak Allah khair likhe then es se saaf zahir hota hain k es bande ne topic read nahin kiya kio k her tpic mei serf yeh likhna kafi nahi hota kuch topics mei comment and veiws ki bhi zaroorat huti hain jess se post kerne wala apreciate hota hain and andaza lagta hain k kessi unke topic se kuch knowledge hasel kiya and kuch aapne views add kiye toh yeh sare baate saviou ne bottom mei mention kiya mai buss roshni dalna chahte the k plzz kessi bhi topic mei ager reply kerte hain then acha reply de jess se andaza hojae k aaapne thread read ki hain...
That was all I wanted to say...
Thanks
Jazakallah khair sabah :)
apne hamari baat ko aur mazeed izafe aur tafseel se bayana karke isko aur ahmiat ka hamil kardiya
umeed karte hain k sare dost isko follow karenge insha Allah
 
saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Assalamu Alaykum Wrwb :)

ek baar phir ham aap sab ko mutanabbeh karna chahte hain ki islamic section jo bhi thread banega usme Quran aur sahi ahdees se daleel honi chahiye aur phir jo usme posting karenge kisi masale se related to wo bhi daleel k sath post karen aur bahes se bachen

agar hamne koi thread me reference nahi diya ho ya hamari koi post par ham daleel dena bhul gaye hon ya apko kisi bhi baat par aiteraz hai to aap hamse khul kar puchen insha Allah hamari kahi huyi baat par ham puri imandari k sath apko daleel peshkarne ki koshisha karenge ye deen ka mamla hai aur hame Allah k yahan jawab deh hona hai

kisi bhi qism ka ta'ssub na rakhen aur nahi ana ko beech me aane den isse sirf iqtelaf badhega aur dilon me mohabbat kam hogi deen se doori badhegi

Allah se dua hai hame deen ki sahi samajh aata farmaye ittehad o ittefaq se milkar deen ka kaam karne ki taufeeq aata farmaye Aameen

sallellahu nabiana Mohammad wa aala aalihi wa ashabihi ajamyeen

birahmatika ya arhamar raheemeen :)
 
Aug 18, 2010
40
24
0
ان باتوں کو بار بار دہرایا ضرور جاتا ہے لیکن امید ہے عمل میں بھی لایا جائے
یہ موڈریٹر کی ذمہ داری ہے کہ ان چیزوں کو کنٹرول کرے اگر کہیں ایسا مواد اوپر لایا جاتا ہے جو اختلافی ہو پوسٹ کرنے والے سے موڈریٹر ان قواعد کے تحت بات بھی کرے
عموما میں نے دیکھا ہے اگر کسی پوسٹ پر اختلاف یا بحث شروع ہوتی ہے یا اندیشہ ہوتا ہے تو اس ٹھریڈ میں کوئی نہیں آتا نہ موڈریٹر نہ ایڈمن بلکہ خاموشی طاری رہتی ہے
بحث و مباحثہ یا اختلاف اگر مثبت ہو اور دونوں طرف سے احترام کے ساتھ جاری ہو تو یہ باعث رحمت ہے اسے نہ روکا جائے لیکن موڈریٹر صاحبان کی ایسے معاملات میں داخل اندازی ضروری ہے وہ فریقین کو اس بات کا پابند بنائے کہ وہ قواعد کی روشنی میں بحث کریں اور دلیل کے ساتھ
شکریہ
 
bilkul sahi kaha apne :)
lekin ye bas kuch dino se aise hai kyun k ham regular online nahi hain
wagarna hamari nazar har islamic thread par hoti hai aur usme zaroorat k tahet dakhal andazi bhi
waise apki nazar me aisa koi thread ho to hame pm karke bata sakte hain
Jazakallah khair :)
 
Top