yeh barishein..!!!

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
g zarur..ap dobara parhen..agr kuch smjh na aaye to ap mujh se poch sakti hn :)
bohat umda,,,,,,,,,,,hum is ko dobara parhen ge kiyum k kuch baten samajh nahi ayin
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

New Wolf

TM Star
Jul 17, 2010
9,253
3,441
113
Wah Anaaya ji kya baat hai lijiye hum bi kuch lines add karte hai umeed hai pasand aaye aapko

very nice lavi g.....:-bd
Hamare Baad Chali Rasm-e-Dosti Ki Nahi
Hawa Ki Zad Mein Koi Shama Phir Jali ke Nahi
Bichar ke Jab Bhi Mile Mujhse , Pochta HaiWoh Shaks
Ke Inn Dino Koi Taza Ghazal Hui Ke Nahi

Suna Hai Aam Thi Kal Shab Ko Chaand Ki Bakhshish
Bhuje Gharoon Mein Bi Uthri Hay Chandni ke Nahi
Nikal Ke Jisse Hua Apna Dard Awara
Kisi Ke Dil Mein Woh Mehfil Bi Phir Saji K Nahi

Woh Reh-guzar Jo Andheron Mein Saans Leti Thi
Tumhare Naqsh-e-Qadam Se Chamak Utti Ke Nahi

Diyaar-e-Hijar Se Aaye Ho Kuch Kaho
Ki Shaam-e-Ghum Bi Kisi Morr Par Mili Ke Nahi


 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...
waah Annu wah....bahut khhob...
Abb ye barish ka dusra rukh bhi mulaheza ho...


Ye barishen,ye khunk hawa ye pal pal badalta mausam,kayenaat k haseen rang jab dil me jazb hote hain to sari duniya itni dilkash itni dilfareb lagti hai,dil yunhi dharkne lagta hai,honton se apne ap meethe sur nikalne lagte hain..lagta hai sari duniya mohabaton ki barish me naha gayi hai..andaz bahkne lagte hain..Aisa mahsus hota hai k weerano me bhi bahaar ka basera hai,phoolon ki khilkhilahat hai,har cheez nayi nayi,dhuli dhuli,ujli saaf o shafaaf suraj ki kirne aur barish k sangam me sari duniya khaus e qaza ka sama pesh karti hai,,dil me bhi dhanak rang utarte hain....
wah kia baat hai...
aisa lagta hai abhi aise hi koi nazara hai samne
yeh sab parh kar
realling feeling great!
God bless ya!
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
wah........
mashallah ..
bhot khoob..
bahar ne b qalm toor diya aj..:)

ma abi isi k jawab me or likhti hon
Shukriya janab...
bas baithe baithe yunhi lafzon ki kahkashan banti gayi aur warqon ko siyan karti gayi..
ji haan apke khayalath ka intezar rahega..
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
bukhar bethe bethe kamar main dard nahi huwa :D nice sharing from u also
Jab dil ko koi justajoo hoti hai to khayalth kabhi kisi taraf nahi bhatakte....
ye hausla ye azm har kisi ki jageer nahi hota
karte hain dilse hum kalamband apni har tahreer
k rooh bhi parwaz kar jaye to pata nahi chalta
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513

wah kia baat hai...
aisa lagta hai abhi aise hi koi nazara hai samne
yeh sab parh kar
realling feeling great!
God bless ya!
zarra nawazi hai..
aql tasleem nahi karti k koi meri bhi adna si tahreer ki itni pazeerayi karega..
Halaath to wo hain k dil ki gehrayi se barishon k mausam ko pani tahreer se pani pani kardun
magar abhi door hai mausam barsaat ka
dilkash hawaon ka bahte badal ka urti ghataon ka
zindagi ne ki wafa to zabt e tahreer me ye bhi hoga
sari kayenaat ki khubsurti o khushnumayi chand jumlon me ada hogi
 
  • Like
Reactions: masoom_se_chahat

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
nice bahaar acha jawab hai .. magar rooh parwaz kyon kar jati hai :D
Rooh ko parwaz ki taqat bhi to hai
humko phir whi zabt ki adat bhi to hai
kya kahe apne teekhay mizaaj ko
~Bahaar~
iski yhi ada sabke hansne ki surat bhi to hai
 

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
lolzz samajh nahi aya .. :D neeend aarahi hai ub mujhe ye sub parh parh ke bye aik meethi si ninni le kar hazir hota hon FI AMMAN ALLAH
 

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...

zarra nawazi hai..
aql tasleem nahi karti k koi meri bhi adna si tahreer ki itni pazeerayi karega..
Halaath to wo hain k dil ki gehrayi se barishon k mausam ko pani tahreer se pani pani kardun
magar abhi door hai mausam barsaat ka
dilkash hawaon ka bahte badal ka urti ghataon ka
zindagi ne ki wafa to zabt e tahreer me ye bhi hoga
sari kayenaat ki khubsurti o khushnumayi chand jumlon me ada hogi
wah wah kia baat hai
chale phr Barsaat aur apke tahreer ka intezar rahega...;;)
Gud luck!
Thanks:)
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
shukriya dosto....
pasand aur agahi ki manzil p ana bahut hi mushkiltareen hai..
ap sabki himmat afzayi k liye tah e dil se mashkoor hain
TM k kalamkaar
Anaaya Ali
&
Bahaar
 
  • Like
Reactions: mirza37
Top