ye zindagi ka kaarwan kuch iss tarha hai

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
ye zindagi ka kaarwan kuch iss tarha hai
ki issmein kabhi manzil nahi to kabhi humsafar nahi
kabhi hai khazaan tou kabhi bahaar hai
humen bhi pata nahi kiska humen intezar hai
jo bhi hai ye ek mast bhara khumar hai
phoolon ki tarha nazuk ek ehsaas hai
kabhi jaani si tou kabhi anjaan hai..
hai faash si kuch tou kabhi gum naam hai
pyaasi zindagi ke liye ek jaam hai
nashe mein hi sahi isski badolat hum apne hi ghamon se anjan hai
pata nahi tu zindagi hai ya maut ka fermaan hai
kabhi zinda lipti hai kafan mein tou kabhi marke bhi aabaad hai
ae zindagi har baar tera ek naya andaz hai
kabhi ashqon ka sagar tou kabhi tabassum tera naam hai
kayi rang ghule hai tujhmae
har rang ki alag pehchan hai
kaise jaanu kaise samjhu inn rango ko main
ye meri kaifiyyat se ghair hai
phir bhi ye rang hi to mere ghamon ke nigehbaan hai ..

 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top