Ye Tasallii Hai Ki Hai.....

  • Work-from-home

Ziddi_anGel

Super Star
Aug 23, 2013
8,533
4,066
363
●♥ღ ÐязαmℓάиÐ ღ♥●
ye tasallii hai ki hai.n naashaad sab
mai.n akelaa hii nahii.n barabaad sab

sab kii Khatir hai yahaa.N sab ajanabii
aur kahane ko hai.n ghar aabaad sab

bhuul ke sab ra.njishe.n sab ek hai.n
mai.n bataauu.N sab ko hogaa yaad sab

sab ko daavaa-e-vafaa sab ko yaqii.n
is adakaarii me.n hai.n ustaad sab

shahar ke haakim kaa ye faramaan hai
qaid me.n kahalaaye.nge aazaad sab

chaar lafzo.n me.n kaho jo bhii kaho
us ko kab furasat sune fariyaad sab

talKhiyaa.N kaise na ho ashaar me.n
ham pe jo guzarii hai ham ko yaad sab
 
Top