Yaad hai hum mila karte the

  • Work-from-home

Shallu

Active Member
Oct 17, 2012
264
283
63
Assalamo alaikum TM
abhi Aaso baji ki shayari parhte parhte mujhe bhi kuch yaad aaya
kuch jazbaat ubhre to mene unhein alfaaz mein sanjo liya aur phir dekha ke mere
jazbaat o ehsasaat ke jour e alfaaz ne masha'ALLAH se ghazal tehreer ki hai so us ghazal
ko aap subke saamne peish kar raha hoon umeed hai ke insha'ALLAH sub ko pasand aayegi

Yaad hai hum dono bare pyar se mila karte the
aur mil kar bohot si baatein kiya karte the
karte the zikr waqt e hijar ke ghum ka
phir bichharne ke khouf se roya karte the
yaad hai woh teiz hawa suhaani lagti thi
jab hum saath saath sahil pe chala karte the
bichharte waqt dil mein apne khizan liye
labon se ik duje ke liye hansa karte the
me aaj bhi wahin per thehra huwa hoon
jahaan hum dono pyar se mila karte the
aaj ye virani dekh kar baagh bhi kehta hai
yahan kabhi pyar ke gul khila karte the
khate the yahan do sathi sath rehne ki qasmen
sache dil o mann se wada e wafa karte the
yahan ab gul chaman hai na parindon ki sadayen
na wo titli jise tum mere liye pakra karte the
yaad hai mujhe teri woh betaabiyan tamam
tum bicharne se pehle phir milne ki dua karte the
tumhein yaad hai humen faraq nahin parta
jab kabhi dunya wale hum se jala karte the
mujhe to hai yaad milan ka lamha lamha
ke hum mil ke hanste rote mil ke jiya karte the
***S_ChiragH***
waaaah bhai mashaallah..
ye parhkr tou meujay b koi yaad agaya :'(
 
  • Like
Reactions: S_ChiragH
Top