Waldain Ke Huqooq...

  • Work-from-home

zulqarnain

~ A Man Of Two Ages ~
VIP
Dec 28, 2008
8,004
2,473
113
31
Karachi
Waldain Ke Huqooq

ALLAH TALAH KA Irshaad hai……
Agar Woh Humare Saamne Budhape Ko Pohench Jayein In Dono Me Se Ek Ya Woh Dono , Toh Unn Se Uff Bhi Naa Kehna Aur Unko Jhidakna Bhi Nahi Aur Unn Se Adab Ke Sath Baat Cheet Karna Aur Kehte Rehna Ke …Aaye Mere Parwardigaar ! Inn Par Reham Farma Jaise Ke Unho Ne Mujhe Bachpan Me Paala……...
Aulaad Par Waldain Ke Fazl Wo Ehsaan Se Kisi Ko Inkaar Nahi Hosakta,
Waldain Hi Humare Wajood Me Aane Ka Sabab Hain Aur Is Par Inn Ke Azeem Huqooq Hain, Unho Ne Bachpan Me Humari Parwarish Ki, Humari Rahat Wo Aasayesh Ke Liye Hamesha Takleefein Uthai,
Humari Neend Keliye Qud Apni Neend Qurbaan Kardi....
Isi Tarah Baap Bhi Tumhari Rozi Roti Keliye Humare Bachpan Se Lekar Bade Hone Tak Doud Dhoop Karta Raha, Aur Humari Tarbiyat Aur Rahnumaiye Karta Raha , Jabke Hum Apne Nafaa Nuqsan Ka Shourr Nahi Rakhte The,
Isi Liye ALLAH Subhana Talah Ne Aulaad Ko Waldain Ke Sath Husn Suluk Aur Shukar Guzari Ka Hukum Diya Hai,
Hum Par Waldain Ka Yeh Haqq Hai Ke Hum Unn Ke Sath Huns Suluk Karein, Qwali Aur Amli Taur Par,
Mall Ke Zariye Aur Jism Ke Zariye Unn Ke Sath Ehsaan Karo,
Unn Ka Kaha Maano, Unnse Narmi Ke Sath Guftagoo Karo, Unnse QandaPeshani Se Paish Aao, Unnke Shayan-e-Shaan Unnki Qidmat karo,
Budhape ,Ya Beemari Ya Kamzoori Ke Waqt Unnse Tangdil Naa Ho, Aur Naa Hi Unnki Janib Se Bojh Mehsoos Naa Karo,
Baad Mein Hum Bhi Unhi Ke Muqaam Par Honge, Jis Tarah Woh Humare Maa Baap Hain, Agar Zindagi Rahi Toh Hum Bhi Isi Tarah Apni Aulaad Ke Saamne Budhape Ko Pohenchenge ,
Jis Tarah Aaj Woh Humari Qidmat Ke Zarooratmand Hain Isi Tarah Hum Bhi Apni Aulaad Ki Qidmat Ke Zarooratmand Honge,
Agar Hum Apne Waldain Ki Qidmat Guzari Ki Hain Toh ALLAH Se Azeem Ajr Wo Sawab Ki Aur Apni Aulaad Se Isi Ki Misal Badle ki Khushi Lenge {insha Allah }
Kyunke Jo Apne Waldain Ki Qidmat Karta Hai Usski Aulaad Bhi Usski Qidmat Karti Hai , Aur Jo Apne Waldain Ki Naa Farmani Karta Hai, Usski Aulaad Bhi Usski Naa Farmani Karti Hai,
Badla Amal Hi Se Hota Hai, Jaisa Karoge Waisa Paaoge .........
Aaye Allah Hume Itna Mouqa De Iss Zindagi Me Ki Hum Teri ita'at Ibadat Farmaan-e-Rasool Aur Apne Waldain Ki Achi tarah Se Qidmat kar Sakein, Humse inn Sab Farayez Me Koi Kotahi Koi Galti Hui Hai Jaane Anjane Me Toh Aaye Allah Hume Maaf Farma Aur Hume Sahi Raasta Dikha....Ameeeeeen
 
Top