Tohmaten Chand Apne Zimme Dhar Chale

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Tohmaten chand apne zimme dhar chale
jis liye aye the so ham kar chale

Zindagi hai ya koi toofan hai
ham to is jeene ke hathon mar chale

Kya hamain kaam is gulon se ai saba
ek dam aye idhar udhar chale

Dosto dekha tamasha yan ka sab
tum raho khush ham to apne ghar chale

Ah bas jiee mat jala tab janiye
jab koi afsun tera us par chale

Shama ki manind ham is bazm main
chashm-nam aye the daman-tar chale

Dhundte hain aap se usko pare
sheikh sahib chod ghar bahar chale

Ham jahan main aye the tanhawale
saath apne ab use lekar chale

Jun sharar ai hasti-e-bebud yan
bare ham bhi apni bari bhar chale

Ek main dil resh hoon waisa hi dost
zakhm kitnon ka suna hai bhar chale

Hum na jaane paaye baahar ap se
wo bhi aade aa gaya jidhar chale

Saaqiya yan lag raha hai chal chalo
jab talak bas chal sake sagar chale

"Dard" kuch maloom hai ye log sab
kis taraf se aye the kidhar chale
Khwaja Mir Dard
 
Top