Tere zulm ki intehaa main dekhun

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313


[FONT=Lucida Handwriting, Cursive]Tere zulm ki intehaa main dekhun
mere zapt ki tu intehaa dekhna
tere nafraton ka urooj main dekhun
meri chaahaton ki udaan tum dekhna

sadiyon se hota aaya koi nayi baat nahi
pyaar aur nafraton ka silsila ek saath..
dam todte nafraton ko suna kisse kahaniyon main
chahat ka ujaala phailega ufaq ke har zarre main

tu inteha-e-ishq ko na tol zid ke mayyar par
tune bewafaai chupaai hai nafraton ke saaye main
main mita dungi har nafrat-o-zid ka naam-o-nishaan
bhar dungi pyaar se teraaa jism-o-jaan

tu pashemaan hokar royega zaar-zaar
dekar mujh par nahaq ke ilzaam
tu bhi tadpega har baar mere yaar
jeena dushwaar hoga tera har gaam

na bhoola sakega tu mujko na hi meri wafa
mere chahaton ki intehaa tum dekhna
tere nafraton ki chaon main
"SHEHZADI" ki deewangi dekhna...
[/FONT]


 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top