Surah Al-fateha

  • Work-from-home

Aayat

TM Star
Dec 9, 2011
1,020
737
613
By: Iffat Maqbool
Daura e Quran






Topis: Rehmat ka darwaza khulta hai

Surah Fatiha Quran Paak ki sab se pehli surah hai . Tarteeb kay aitbaar se 5 number ki wahi hai quran pak ki sab se mukammal surah hai . Iss se pehle surah Alaq Sura Muzammil Surah Mudassir ki kuch Ayaat naazil ho chuki thi lekin Surah Fateha poori ki poori Naazzil hui.

AL-Fateha ka matlab?

''Kholnay wali'' . tou goya k aaj apki aur meri zindagi ka bhi ek eham baab khulnay wala hai aik darwaza khulnay wala hai hum wahan se guzzar kar aik esi manzil par charhnay walay hain jo sirat e Mustaqeem ko jaati hai aur jis ka doosra kinara Jannat aur Rabb ki taraf khulta hai aur aik banda e Momin ka yehi target hota hai k Aye ALLAH iss duniya mai indagi wesi bassar karru jesi Tu chahta hai aur jab mai yahan se niklu tou bas phir mai Teri Raza ko Paa chuka hu.

Aap dekhaye gaye k Quran pak ka pehla Lafz Surah Fateha mai jo ata hai woh
'' الحمد لله''
''Sab Tarefain ALLAH k liye''

iss main: الحمد kay 2 Maani hotay hain

1. ''shukkar'' 2. ''Tareef''

tou kia hua saari Tareefain kis kay liye ? ALLAH kay liye .
ALLAH humain shuker guzaar banda banan chahta hai aur shuker guzaar dill hi woh bartan hai jo Rabb ki Rehmaton ko samait leta hai wahan se phir khoon ki tarha saray jisam mai saraiyat kartay huay jisam kay harr hissay se shuker biljawarah ki soorat mai nikalta hai .

Humain iss waqt kis baat per shuker Ada karna hai ?Iss baat per shuker Ada karna hai kay Aye ALLAH ! Tera shuker hai k hum ne Tere Kalaam ko khola . yeh mamooli cheez nahi hai yeh wo nahi hai jis ko hum ne sirf Quran kaha yeh tou woh hai jo insaniyat kay naam Rabb ka peghaam hai .
Yeh woh Mod Of Life hai jo duniya mai bhi insano ko taraqi dilwata hai aur aakhrat mai bhi Jannat ka Mustahiq banaye ga .Tou asal baat yeh hai k shuker insaan ko ALLAH se jorta hai shuker karnay wala woh sab kuch paa leta hai jo isko matloob hai .

ALLAH nay humain bohat kuch diya sochiye tou sehi woh zaat jiski Naimtain letay letay hum yahan tak pohnchay iss ne sirf hamari zarooriyaat ko hi poora nahi kia balkay Uss ne hamari khuwahishat ko bhi poora kia. uss ne humain sirf husn hi nahi diya balkay yeh b seekha diya kay apnay husn ki hifazat kese karo .. uss ne payaas di sath paani bhi diya uss ne neend di sath mai araam deh bistar bhi de diye ... sirf ek shuker bhari nigah daaltay jaiye apka dill ALLAH ki Mohabbat se bharta jaye ga .Shuker zindagi mai shereeni peda krta hai . zindagi meethi hojati hai.Jis tarha karwi chayee ko cheeni meetha krti hai issi tarha zindagi ki talkhion ko shuker meetha kar deta hai. naimaton ko paana asaan hojata hai
aur mushkilon Azmaishon kay din araam se guzarnay lagtay hain phir masaail jhailna asaan hojatay hain jo matloob hai wo shuker hai aur Na shukera insaan duniya ka sab se barra jhoota insaan hai jo k ALLAH ki raza par raazi nahi ALLAH k Faislon pe raazi nahi .
Harr saans kay sath 2 baar bhi shuker kahay ga na insaan tou b saans kay andar janay aur baahir anay bhi Haqq ada nahi hoga baaqi naimton ko tou kahan kahay gaye .
Aur shuker assal mai Positive Approach ka naam hai k aye ALLAH mai tuj se Raazi hu jo Tu nay mujy diya mai uss qaabil nahi thi aur jo Tu ne mujy nahi diya wo Tera Faisla tha mai Tere iss Faislay per raazi hu . Hum apni zindagion mai agar ese rawaiye apna lay tou hamari Ajeeran Zindagiyaan khushgawaar zindagion mai badal jaaye hamari sulagti hui raatain pur sakoon raaton mai badal jaaye lekin shetaan ne chunkay khud bhi na shukri ki wo humain bhi na shukra banan chahta hai tou wo insaan jo ALLAH ko na maanay aur ghair ki taraf jaaye wo nashukra hai ... tou shuker kartay huay hum ALLAH ki kitaab ko shuru krtay hain .
ALHUMD .الحمد ka doosra maani ''Tareef'' le lay tou saari tareefain ALLAH ki hain . kio ? kio kay Uss nay sab kuch banaya kisi k paas bhi
koi naimat dekhay gaye na tou sab se pehle tareef ALLAH ki niklay gi iss se kia hoga ? Hassad peda nahi hoga jallan aur kurhan peda nahi hogi foran insaan kahay ga jo
iss insan ko de sakta hai wo mujy b dega phir apk dill se saari ghalat cheezain nikal jaaye gi .
Jab aap ٱلرَّحْمَـٰنِ ٱلرَّحِيمِ ko dekhay gaye tou aap samajh jaaye gaye k ALLAH Rehman aur Raheem hai .Insaan zarra laadla honay lagta hai aik laadlay bachay ki tarha koi baat nahi mai kucvh bhi karr lu Mera Rabb barra Rehman aur Raheem hai woh mujy Maaf kar de ga sath hi saath مَـٰلِكِ يَوْمِIلدِّينِ aa gaya kay Bigarna nahi kio k مَـٰلِكِ يَوْمِIلدِّينِ ki qaid bhi hai wo badlay k din tumhain bataye ga aur phir isk baad insaan ki soch seedhi honay lagti hai phir wo anjaam ko samnay rakh kr kaam karnay lagta hai aur jab isko ALLAH ki Ma'arfat ka pata chalta hai ALLAH ki Barrayi ka pata chalta hai aur apnay chotay honay ka pata chalta hai tou ...
إِيَّاكَ نَعْبُدُوَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
phir apnay aap ko apnay haal pe le ata haik Aye ALLAH mai banda Tu mera Maalik, Tu Aaqa mai Tera Ghulaam, Tu Raaziq Mai MarzooqTu ,denay wala mai lenay wala,meri auqaat tou bass bandagi ki hai inn 2 lafzon mai إِيَّاكَ نَعْبُدُaur وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ mai Daawa bhi hai aur waada bhi hai.yeh jo
hota haina نَعْبُدُyeh jo yeh Mazareh ka seega hota hai yaani mustaqbil aur haal dono ka maani deta hai agar haal kay liye istemaal karr rahay hain tou hum daawa karr rahay hain k Aye ALLAH mai sirf Teri hi Ibadat karti hu aur Tujhi se madad maangti hu . Aur agar Mustaqbil k liye hum isko istemaal karray tou yeh ek waada bann jata hai keh Aye ALLAH aj tak jo hua soo hua lekin aaj k baad meri jabee'n jhukay gi tou Teray samnay jhukay gi aur phir insan ki ibadat khoobsurat honay lagti hai , Tashakur kay jazbaat anay lagtay hain phir insaan yeh khuwahish karta hai k Aye ALLAH Tu bata mai Tere liye kia karru phir insaan jhukna chahta hai tootna chahta hai phit insaan ko apna Rabb sab se pyaara lagta hai phit wo bandagi k muqaam parr anay lagta hai aur ibadat k andar jahan khouf hai wahan umeed bhi hai aur muhabbat bhi kio k Rabb barra رحْمَـٰنِ
hai insaan iss khouf o andeshay mai jeeta hai k kehi mera Rabb mere se naraz na ho jaye ..wo yeh nahi kehta k choti si baat hai khair hai sab kar rahay hain blkay nahi ..wo kehta hai k woh Barri zaat meri choti si baat pe naraaz na ho jaye aur iss tarha insaan ALLAH k sath waaday kartay kartay aagay se aagay jata hai aur phir
إِهْدِنَاٱلصِّرَٲطَ ٱلْمُسْتَقِيمَ
Aye ALLAH seedha raasta dikha '' ab insaan Dua maang raha hai .... insaan ko pata challa k mai chota hu aur lena Rabb se hi ha tou phir kia k Aye ALLAH mai mangu ga tou bohat
kuch lekin Tu mujay pehle Sirat e Mustaqeem dikha day . aur yeh raasta kon sa hai ? woh rasta jo duniya ki taraqion aur izzaton muhabbaton se guzar kar Jannat k andar insaan ko daakhil kar de. esa insaan jabALLAH ko dekhta hai tou uski kainaat mai pheli hui roshnio mai ussay yaqeen anay lagta hai k mere Rabb ne suraj chaand sitaron ko rasta dikhaya . sooraj ko bataya tum din mai ana chaand ko bataya tum raat mai ana phir esa insaan apnay Rabb se kehta hai Aye ALLAH mujy bata mai kia karru woh sari zindagi ALLAH se poochtay poochtay guzaar deta hai k Aye ALLAH Tu kis se raazi hai mujy sari zindagi Tere Hukamo k Mutabiq guzarni hai .



esa banda phir ese muqaam parr ajata hai ....wo logon ko dekhtay huay nahi jeeta usko pata hai meri aakhri mulaqat mere Rabb se honi hai aur sirat E Mustaqeem ka mangna ese hi hai jese hum apni zubaan se yeh kahay k Aye ALLAH tu bata mai apna waqt kahan guzaru ? Aye ALLAH bata mera maal kahan lagay ? Aye ALLAH bata meri jawani kahan lagay ?
iss insaan ki khamosh batain apnay Rabb k sath hoti hain is tarha Rab k sath insann ka Ta'aluq jurta hai . Aik Asmaan par rehnay wali zaat ka aik zarray se bhi choti makhlooq k sath taluq jurta hai.
phir insaan tarrap kar kehta hai kay
صِرَٲطَ ٱلَّذِينَ أَنْعَمْتَ
Raasta tou maanga hai Hidayat tou maangi hai lekin insaan kehta hai k mujy Inaam walon ka rasta dikha yaani Ammal k liye kch logon k Naqsh e Qadam dikha jin parr hum chal sakay aur wo ALLAH k Nabio'n k rastay shohda o Saleheen k rastay hain.
aur phir insaan kehta hai k mujy
مَغْضُوبِ aur ٱلضَّآلِّينَk andar na krna .
ٱلْمَغْضُوبِkon hotay hain ?

Hadd se ziada sakhti karnay walay . jo deen ko itna ziada sakht kar lay k logon k liye wo naqabal e bardhasht ho jaye apni aat parr baat aaye tou muamlo'n ko naram karnay walay aur logon k liye wehi baat ho tou itna sakht masdla bana de aur itna sakht fatwa de day k bechara jo bachay ki tarha lurhkta hua Hidayat ki taraf araha tha iski cheekhain nikal jaaye aur wo iss maslay ka bhoj bardaasht na kar sakay. Tou hum apni zubaan se yeh kehtay hain k Aye ALLAH TU humain ese logon mai se na karna .
?ٱلضَّآلِّينَkon hotay hain
Hadd se ziada narmi karnay walay yehi siffaat apnay waqt mai Yahud o Nasara ki thi . Yahud ne deen mai sakhti ki aur deen ko msuhkil kr dia . Nasara neitnay muhabbat mai agay bharray k jo marzi kartay rahi ALLAH ka Beta aaye ga aur tumhain bakhshwaye ga inn dono extreme se hatt kr hum kehtay hain k humain inn logon ka rasta dikha jin par Tu ne Inaam kia jo waqai mai Tere Rastay per chalay ab dekhay k Hidayat jo haina ye dunya ki sab se qeemti naimat hay .ye aik kisam ka Preservative hay aapki naimton ko mehfuz karne ka.
Hidayat ki naimt k saath aapko maal mil jata hay to wo maal aap k liye naimat hay,ALLAh ke nabi ne farmaya!
k Maal jo hay Rajul Saleha ko Nuqsan nhi daita.
Q k usko pta hay k maine isse kaha istamal karna hay wo usse acha istamal karta hay aapko Aulaad mili apa k paas is k saath hidayat thi k is bache ki tarbiyat kaise karni hay isko kaise paalna hay wo bacha aapki aankhon ki thandak ban jaayega
ALLAH ne apako ghar diya ALLAH ki naimt thi saath hidayat bhi di k is ghar may kasie rehna hay kia cheezain hon kia na hon wo hidayat apaki is naimat ko barhaane ka sabab banti hay
ALLAH tala farmatey hain agar tum shukar karo gaye to main tumhari naimton ko barha dunga agar nashukri karo gaye to maira azab bohat sakht hay
ab hum apne liye kuch niyyat karte hain k kia waqe hi meri zindagi may shukar hay?
kia waqe hi main ALALH ki amtlub bandi banna chahti hun?
agar aap ye keh dain na k ALLAH ko jo banda matlub hay kaisa banda ho? uski kia ehsasat aur kefiyat hon?to Surah fateha is Banda-e-momin ki aik choti tasweer hay.
aur Quran paak iski Barri tasweer!
Surah Fateha poorey eman waale ki zindagi ka hisaar karti hay aur poora Quran paak Surah Fateha k mzameen ko khol kar bayan karta hay!
.............................
 
Top