Sundar komal sapano.n kii baaraat guzar ga_ii jaanaa.N
Sundar komal sapano.n kii baaraat guzar ga_ii jaanaa.n
dhuup aa.nkho.n tak aa pahu.nchii hai raat guzar ga_ii jaanaa.n
[komal=soft]
bhor samay tak jis ne hame.n baaham ulajhaaye rakhaa
vo albelii resham jaisii baat guzar ga_ii jaanaa.n
[baaham=with each other]
sadaa kii dekhii raat hame.n is baar milii to chup ke se
khaalii haath pe rakh ke kyaa saugaat guzar ga_ii jaanaa.n
kis ko.npal kii aas me.n ab tak vaise hii sar-sabz ho tum
ab to dhuup kaa mausam hai barasaat guzar ga_ii jaanaa.n
log na jaane kin raato.n kii muuraade.n maa.ngaa karate hai.n
apanii raat to vo jo tere saath guzar ga_ii jaanaa.n