some question about divorce

  • Work-from-home

Deep Silence

Newbie
Feb 13, 2009
2,735
1,586
0
Maa K Qadmu Taley
Asslam o Alikum.

kese hain aap sab?

mojhse aik lady ne apni problem share ki aur mojhe confirm nahi is lie main aap logon ki help chahti hon.

jis lady ka problem hai wo Pak me rehti hai.os ka nikkah hoa hai pr rukhsati nahi & after nikkah chunkey wo husband & wife hote hain to wo phisically involve bhi hoe. rukhsati se pehle hi.

ab problem ye hoa k os k husband ko os pe shak hoa k meri wife pehle illegal activites me involved rahi hai so os ne wife ko aik bar talaq di matlab talaq ka word aik bar kaha phir wo is bat pr nadim hoa,aur phir se on ne osi week me hi ose 2nd time talaq ka word kehte hoe talaq di.yani onhe do bar talaq hoi hai ab wo (husband) dubai me hai to is bat ko 9 months guzar chuke hain to kia onki talaq ab bhi hai.jab k in ki apas me sulah ho gai hai.

jahan tak meri knowledge hai to 2nd time agar talaq di jae to aapko new nikkah krna hota hao.matlab phir se nikkah krna hota hai to ab inhu ne esa nahi kia aur in ki sulah ho gai sirf phone pr hi to kia telephonic rajoo ko hum man sakte hain kia esa krna Islamic point of view se sahi h?

ya phir donu husband & wife a baham aik dosre se milna hi rajoo hai.kia telephonic rajoo acceptable hai ya nahi?

aur is bat ko aj 9 months ho chuke hain in 9 months k doran in ka sirf phone pe hi rabitah raha hai.to kia inka Niikah valid mana ja sakta hai.


 
  • Like
Reactions: $HADOW

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Wa Alaykum Assalam Wrwb :)

talaq k apne shurut hain jinpar chal kar hi sahi talaq hoti hai

pehli talaq k baad unhe ek iddat tak intezar karna chahiye yane 3 mahine phir agar usme ye pata chale k aurat hamal se hai to wo dusri talaq nahi desakta aur agar nahi hai to phir dusri talaq dega uske baad agar rujoo karna chahe to imkaan hain unhe phirse nikah karna hoga aur naya maher dena hoga

jaise k apne kaha usne talaq ka word kaha aur phir nadim hua to phir sathi hi dusri talaq kyun di ye samajh me nahi aaya aur ek hafte me digayi do talaq ho ya 2 hazar talaq ek hi mani jayengi

aur agar wo pehli baar gair iradatan darane k liye talaq kahe hain to phir talaq par bhi shak hai isme iqtelaf hai

aap is thread par nazar dalen ek baar aur phir apni baat ko wazahat se kahen aur kuch clear nahi hai to zaroor puchen insha Allah reference k sath apko jawab diya jayega :)

http://www.tafrehmela.com/tm-articles/138186-injunctions-divorce.html
 

Deep Silence

Newbie
Feb 13, 2009
2,735
1,586
0
Maa K Qadmu Taley
saviou bhai mojhe talaq ki sharait maloom hain aur ye sare batein discuess bhi hoi hain.ab problem ye hai k talaq k bad donu aik dosre se dor ho gae hain jab talaq k words use kie gae th tab wo aik hi country me th aur jab ye Pak ain to in k husband ne in se sorry kr li aur is trha se rajoo kr lia.

to sawal ye tha k kia telephone pe rajoo krna theik hai?ya phir donu ko phisically milna rajoo krna ho ga?


maine aap btaey hoe article ko read kia hai pr abhi bhi confusion hai.telephonic rajoo ki.plz is bat pr roshni daliye.kia esa krna islam ki ro se theik h?
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
saviou bhai mojhe talaq ki sharait maloom hain aur ye sare batein discuess bhi hoi hain.ab problem ye hai k talaq k bad donu aik dosre se dor ho gae hain jab talaq k words use kie gae th tab wo aik hi country me th aur jab ye Pak ain to in k husband ne in se sorry kr li aur is trha se rajoo kr lia.

to sawal ye tha k kia telephone pe rajoo krna theik hai?ya phir donu ko phisically milna rajoo krna ho ga?


maine aap btaey hoe article ko read kia hai pr abhi bhi confusion hai.telephonic rajoo ki.plz is bat pr roshni daliye.kia esa krna islam ki ro se theik h?
jee bilkul agar dono alag mulkon me hain to phone k zariye rujoo kar sakte hain lekin uska tareeqa ye hai k talaq k baad naya nikah zaroori hai aur naya maher bina nikah aur maher k wo shohar biwi nahi hain to sirf sorry keh kar rujoo nahi hota balke Allah se maafi mange tauba karen phir naya nikah karen lekin jo talaq unhone di hai wo ek hafte me do baar to wo ek hi mani jayegi wallahu aalam

baat clear hai ya phir aur kuch ishkaal hain ?

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
it means ab wo tab hi husband & wife hon ge jab dobara se nikkah karein karein ge.
aur in ka pehle wala mehar os k lie kia hukum h?
jee bilkul unko phir se nikah karna hai aur jo pehle wala maher hai wo biwi ka haq tha maher dekhe usne apni biwi ko halal kiya tha usme ab uska koi dakhal nahi hai

haan agar biwi khud talaq mange aur shohar razi na ho dene k liye to biwi se kuch muavza leke talaq desakte hain lekin yahan to surat kuch aur hai

pehle wale maher me ab uska koi haq nahi balke naya maher dega aur phr se nikah karega aur ye dusri talaq tak agar teesri baar bhi talaq hojaye to phir nikah nahi hosakta uski surat kuch aur hogi
 
  • Like
Reactions: Deep Silence

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
acha to ab ye telephone pe nikkah kr lein?

ji teesri bar k lie to youn kehte hain k nikkah tab tak nahi ho ga jab tk dosri bar kisi aur se nikkah na kr le
haan ji nikah k liye jo shuroot hain unke sath nikah ho raha hai to bilkul kar sakte hain

nikah se pehle salafi Aalim se bhi rujoo karen aur jo sharait hain unko samjhe insha Allah sab asaan hoga
 
  • Like
Reactions: $HADOW

Deep Silence

Newbie
Feb 13, 2009
2,735
1,586
0
Maa K Qadmu Taley


Allahi barik feek :)

jee bohot kam hain ham to talib e ilm hain

dua kijiye hamare liye k Allah hamare ilm me barkat de aur amal ki taufeeq de Aameen

mojhse behtar hain aap..:)

Allah tala aapko kamiyab kare aur aap k sath sath mere ilam me bhi izafa kare ameen


ab mojhe mazeed aap k friend ki mail aney k bad hi detials se answer milne k bad hi main mosoofa ko kuch keh sakti hon.
 

yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں
mashaAllah nasir bhai aap ne bohat achhe andaaz maen iss matter ko discuss kya hai, Allah ta'laa aapko aapke maqsad maen kamyaabi ataa farmaye, ameen

apni duaon maen yaad rakha karen
 
  • Like
Reactions: Deep Silence

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
mojhse behtar hain aap..:)

Allah tala aapko kamiyab kare aur aap k sath sath mere ilam me bhi izafa kare ameen


ab mojhe mazeed aap k friend ki mail aney k bad hi detials se answer milne k bad hi main mosoofa ko kuch keh sakti hon.
Aameen :)

jee hamne unse baat ki hai aur unka bhi ye kehna hai k jayez hai

lekin olama isse rokte bhi hain kyun isme dhoka dene k zyda mauqe hain

agar aisi koi baat nahi dhoke ka darr nahi sare shuroot pure ho rahe hain to kar sakte hain

lekin zyada behtar yehi hoga k wo sahab apne mulk aakar hi nikah karen

lekin abhi mumkin nahi ya phir koi mushkil hai to phir ye kadam bhi uthasakte hain wallahu aalam

Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen
 
  • Like
Reactions: Deep Silence

irfan55

Newbie
Feb 24, 2015
1
0
0
Aslam o alaikm.... mje ik masla share krna ik frnd ka...
Mera dost ki aur uski wife ki kuch mamlat ki wja se problem create ho wo ghar chali gae... mere dost b aur uski wife b tlak k mamlat se anjan thay ... unki divorce paper work hoe ha..Lakin tlak k bawjood wo ik dusray se 1 sal se attach hain mobile k through aur dubara ikatha hona chatay hain... t wo kia tra dubara ik dusray k sath reh saktay hain dono husband wife na to ksi aur k sath zindgi guzarna chahtay hain wo dono chahtay hain dubara ikathay ho jaen.. plz koe way btae
 
Top