Sitaaroun se aage jahaan aur bhi hain
Abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain
Tu shahin hai parwaaz hai kaam tera
Tere saamne aasmaan aur bhi hain
Isi roz-o-shab mein ulajh kar na reh jaa
Key tere zamin-o-makaan aur bhi hain
Gae din key tanha tha main anjuman mein
Yahan ab mere raazadaan aur bhi hain