Silsila

  • Work-from-home

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Salaam every I hope sab theek thaak honge Khuda k Karam se ek short stry le kar haaZir hu ise jald hi post karunga
Ek love stry hai apne aap mein ek alag andaaz hoga is stry kaa
 
  • Like
Reactions: NiRaaLi_Man0

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
SILSILA

Kehte hain ke 2 cheezen insaan chahe jitni koshish kare, kabhi chhupa nahi sakta. Pehli cheez hai waste, shit, crap aur doosri cheez hoti hai jhooth. Aur vajah dono ke pichhe ek hi hai, dono cheezen badbu maarti hain. Koi bhi is badbu ko zyada waqt tak chhupa kar nahi rakh sakta aur agar aisa karne ki koshish kare, toh vo badbu ek lambe arse tak khud hi soonghni padti hai. Insaan ek jhooth bolta hai, phir use chhupane ke liye doosra jhooth, phir teesra aur jhooth bolne ka aisa silsila shuru ho jata hai jisse nijaat sirf sach bolkar hi paayi ja sakti hai, par kabhi kabhi aisa karne ke liye bhi bahut der ho chuki hoti hai.

Ek aisa hi khel kismat ne mere saath bhi khela. 10 saal pehle ek manhoos raat ko maine ek galti ki aur sabki nazar se usko chhupa toh liya par phir meri apni kartoot mere saamne is tarike se aa khadi hui ke main chah kar bhi kuchh kar nahi sakta tha. Us raat ki meri galti ne ek aisa atoot silsila shuru kar diya tha jise main lakh koshishon ke baad bhi rok nahi pa raha tha.

Main us waqt apne Shimla ke paas bane Bungalow mein tha jo kabhi mere Dad ne chhuttiyan manane ke liye kharida tha. Uske baad se ek kaafi lambe arse tak hamari family mein raha aur ham aksar chhuttiyan manane yahan aaya karte. Par pichhle 10 saal se sirf main janta hoon ke ye Bungalow ab bhi hamara hai. Baaki sabki nazar mein maine ise 10 saal pehle bech diya tha aur ab yahan koi nahi aata.

Is ghar ki har cheez bilkul vaisi hi thi jaisi ki 10 saal pehle thi. Pichhle saalon mein yahan kuchh nahi badla tha ya yun keh lijiye ke maine badalne nahi diya tha. Ghar ka paint, furniture, kitchen mein rakhi cheezen, bistar par bichhi chadar, pillow covers, drawing room ka sofa, garden ki grass, lawn mein khile phool, sab kuchh 10 saal se ek jaisa tha. Maano ye ghar waqt ke chakra mein jaise thehar sa gaya tha. Waqt guzar raha tha par ye ghar vahin ka vahin usi ek pal mein ruk gaya tha.

Apne ghar ke saamne bane lawn mein rakhi jis dining table par main betha tha vo bhi 10 saal purani thi. Uspar bichha kapda, rakhi hui plates, spoons, sab 10 saal purana tha. Khane ka menu bhi 10 saal se badla nahi tha. Vahi same dish aaj bhi banayi aur parosi gayi thi.

Pichhle 10 saal ne mujhe ye sikha diya tha ke is raat kuchh bhi badal nahi sakta tha. Sab kuchh vaisa hi hona chahiye jaisa 10 saal pehle tha taaki use kuchh bhi alag na lage.

Kya karun, kya na karun, sar pakde aankhen band kiye betha yahi soch raha tha ke deewar par tangi purane zamane ki ghadi ne gyarah bajaye aur ghante ki aawaz poore ghar mein goonjne lagi.

"Waqt ho chuka hai" Maine dil hi dil mein socha

"Itne dhyaan se kya soch rahe ho?" Uski meethi surili aawaz mere kaan mein padi

Sar uthakar maine apni aankhen kholi aur uski taraf dekha. Vo mere saamne bethi muskura rahi thi. Vahi kaale rang ki dress, vahi gale mein pada diamond necklace, vahi laal rang ki lipstick, vahi khule hue lambe baal, vahi ear rings, vahi perfume ki bheeni bheeni khushbu.

Haan, 10 saal se vo bhi bilkul nahi badli thi ya waqt ne badalne nahi diya tha.

"Sar mein dard hai? Daba doon?" Apne usi fikar karne wale andaz mein usne pyaar se puchha. Maine muskurate hue inkaar mein gardan hila di.

"Khana thanda ho raha hai jaan" Usne plate meri taraf badhate hue kaha "Kha lo. Kheer phir se thandi ho gayi hai, main garam kar laoon"

"Nahi rehne do" Maine kaha "Mujhe thandi hi pasand hai"

Kheer, dil hi dil mein main soch raha tha, hamesha ki tarah.

Guzarte waqt ne usko zara bhi nahi badla tha. Vo aaj bhi vaisi thi. Aaj bhi kisi 20-22 saal ki ladki ki tarah pyaar lafz mein kitna bharosa rakhti thi. Aur dikhti bhi vaisi hi thi jaise ki 10 saal pehle. Vo sab kuchh thi jo ek mard ko chahiye hota hai par pata nahi mujhe usse zyada aur kya chahiye tha.

"You look different today" Khane plate mein daalte hue vo achanak bol padi.

"Matlab ?" Maine chaunkte hue uski taraf dekha.

"I mean kaafi pareshan lag rahe ho. As if you have aged 10 years suddenly" Kehte hue usne meri plate mein khana nikala.

Ab ye ek cheez maine kaise badalta. Ghar ki cheezen ek alag baat thi. Unko main jab tak chahta ek jaisa hi rak sakta tha par waqt se apne aapko kaise bachaoon. Apni dhalti umar ko uski nigah se kaise chhupaoon?

Maine ek haath se apne coat ki pocket check ki. Ummeed ke mutaabik hi meri .45 revolver meri jeb mein thi. Loaded.
 
  • Like
Reactions: NiRaaLi_Man0

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
Khana khatam karke usne plates hatayi aur andar kitchen mein rakh kar aa gayi. Har baar ki tarah is baar bhi usne vaapis aate hue music system par ek slow romantic tune laga di aur volume itna kar diya ke hamen bahar tak aawaz aaye.

"Come dance with me" Aate hue usne apna haath meri taraf badhaya.

"But we just ate" Maine muskura kar jawab diya

"So? Come on" Mera haath pakad kar usne khincha. Main janta tha ke vo aisa karegi isliye uske koshish karne se pehle hi uth kar khada ho gaya.

"Have you really, loved a woman ......" Bryan Adams ki aawaz aa rahi thi aur ham dono ke jism ek doosre se sate hue, bahut kareeb, dheere dheere music ke saath hil rahe the. Uske dono haath mere kandhe par the aur mere uski kamar par. Mere kandhe par rakhe uske chehre ki saans ki garmi main apni gardan par mehsoos kar raha tha,

Ghar ke andar ghadi ne 12 bajaye. Main janta tha ke ab vo kya kahegi.

"Lets go to the bedroom. I want you to make love to me. Lets celebrate our anniversary" Kehte hue vo halki si uper ko uthi aur apne honth mere hontho par rakh diye.

Kuchh pal baad ham dono bedroom mein khade ek doosre se lipte hue the.

"Tumhare baal safed ho rahe hain" Dheere se usne mere kaan mein kaha "Jawani mein buddhe ho rahe ho. I hope ke bed par ab bhi perform kar sakte ho" Kehkar vo dheere se hasi, vahi pyaari si hasi ki aawaz.

Ek mard ko aur kya chahiye ho sakta hai jo ismein nahi, maine dil hi dil mein socha.

"Have you really loved a woman" Bryan Adams ke gaane ki aawaz phir aayi aur main sochne par majboor ho gaya ke Did i really love her?

Usne apni dono baahen mere gale mein daal do. She liked the strong play of my muscles.

"Love me, Jaan," Usne dheere se mere kaan mein kaha.Jaise ke vo jaanti ho ke main kya sunna chah raha hoon. Yahi vo line thi jo usne mujhse 10 saal pehle kahi thi aur uske baad har saal kehti aa rahi thi par main kyun kabhi usko pyaar na kar saka, ye mujhe kabhi samajh nahi aaya.

Maine use apni baahon mein uthaya aur bed par gira diya. She sat there smiling up at me. She was beautiful, elegant, graceful, gentle, kind and hot, all at the same time, everything i could want in a wife.

"Toh iske alawa aur kya chahiye mujhe?" Maine dil hi dil mein socha aur mera dhyaan coat ki jeb mein rakhi revolver par gaya.

Muskurate hue usne mera haath pakad kar apni taraf khincha.

"Huh," Mere munh se nikal pada. Uske haath kitne thande the. Ek nazar maine A.C. temperature par daali.

"You are so tensed," usne kaha, aur muskurate hue mujhe bed par let gayi aur mujhe apne uper khinch liya.

"Love me" Dheere se usne mere kaan mein kaha aur meri shirt ke buttons kholne shuru kar diye.

Har baar ki tarah is baar bhi hamne agle kuchh ghante ek doosre ki baahon mein guzaare. Vo meri chhati par apne sar rakhe aaram se leti hui thi aur mera haath uski peeth par tha.

"God she is so cold" Maine dil hi dil mein socha.

"Neend nahi aa rahi hai bilkul" Vo dheere se boli "Dunno why i am unable to sleep"

"Hmmmm" Maine sirf itna hi kaha. Main janta tha ke vo so kyun nahi pa rahi hai par kuchh nahi kaha. Ek baar phir mera dhyaan mere coat ki jeb mein rakhi revolver ki taraf gaya.
 
  • Like
Reactions: NiRaaLi_Man0

vamp545

Ì míśš ůř šťůpîđ fâćë
TM Star
Nov 29, 2012
2,278
722
413
Searching.....
"Kuchh sunaoon? " Dheere se vo mere kaano mein boli. Matlab main samjhta tha. Uski taraf dekh kar muskuraya aur uske honth choom liye.

"Sunao" Vo kya sunane wali main achhi tarah janta tha. Aur meri ummeed ke mutaabik, usne phir vahi lines dohrayi.


Yun na mil hamse, khafa ho jaise,
Saath chal, mauj-e-saba ho jaise.

Log yun dekh kar has dete hain,
Tune mujhe bhula diya ho jaise,

Ishq ko shirk ki hadh tak na badha,
Yun na mil hamse, khuda ho jaise.

Maut aayi bhi toh is naaz ke saath,
Mujhpe koi ehsaan kiya ho jaise.

Hichkiyan raat bhar aati rahi,
Tumne mujhe yaad kiya ho jaise.

Zindagi guzar rahi hai is tarah,
Bina jurm koi saza ho jaise.



Kuchh der baad drawing room mein rakhi ghadi ne subah ke 5 bajaye.

"Its time" Mere dimag ne jaise mujhe yaad sa dilaya.

"You wanna see the sun rise?" Maine usse puchha toh kisi chhoti bachchi ki tarah usne fauran haan mein sar hila diya.

"Come" Keh kar main bistar se utha. Vo bhi mere pichhe pichhe hi uth gayi sur kapde pehenne lagi.

"Its strange. I dont feel cold at all" Vo boli toh maine ek nazar uski taraf uthayi aur uskO ko dekha. 10 saaal mein koi farak nahi. Vahi jism, vahi khoobsurati, vahi chamak, vahi nazakat.

"Aise kya dekh rahe ho?" Usne mujhe apni taraf dekhte paya toh boli.

"Nothing. You are beautiful" Maine apna 10 saal purana jawab dohraya.

"I know" Usne bhi meri baat ka jawab usi 10 saal purani baat se diya. "Do you also not feel cold or is it just me?"

"Nahi sardi hai hi nahi" Haqeeqat toh ye thi ke bahar bahut thanda mausam tha par maine saaf jhooth bol diya.

Taiyyar hokar ham dono ghar se nikle aur thodi der chal kar ek pahad ki aakhri chhor par pahunche. Mera ghar jahan bana hua tha vahan door door tak koi aur ghar nahi tha. Bas sunsan sadak ke kinare ek pahad ke uper bana chhota sa cottage.

Uska haath pakde main pahad ki kinare par aakar khada ho gaya. Ham dono ke aage ab ek gehri khaayi thi par uski taraf na dhyaan uska tha, na mera. Saamne aasman par chand ab bhi poora tha aur halki halki sooraj ki laali bhi phelni shuru ho gayi thi. Ye ek aisa nazara tha jab aasman par raat ka chand aur subah ka sooraj, dono ek saath dekhe ja sakte the.

"Its so beautiful, isnt it?" Vo muskurate hue poori duniya se bekhabar saamne aasman ki aur dekh rahi thi. Main 2 kadam pichhe ko hua aur apni jeb par haath rakha. Revolver ab bhi maujood thi.

Main jeb mein haath dala aur revolver bahar nikali.

"Its time" Aasman mein ugte sooraj ki taraf dekhte hue maine socha.

"Sorry Jaan" Ek nazar uspar daalte hue main zor se bola.

Vo meri taraf palti. Mera revolver wala haath uper uth chuka tha. Nishana uske maathe ki taraf tha.

Uske chehre par hairani ke bhaav aaye aur kuchh kehne ke liye usne munh khola. Hamesha ki tarah is baar bhi meri uski baat ko sunne, jawab dene ya vajah batane ki himmat nahi thi. Isse pehle ke vo kuchh bol paati, meri anguli ne revolver ka lever khincha.

Hawa mein goli ki aawaz goonji. Revolver se nikli goli uska maathe par lagi aur uska khoobsurat chehra bigad gaya.Pichhe ko jhatka khaate hue vo ladkhadayi aur khaayi mein ja giri.

Main apni jagah par vaise ka vaisa hi khada raha. Saamne door pahadon ke beech suraj nikalna shuru ho chuka tha aur 2 aansoo meri aankhon se nikal kar mere gaal par ludhak gaye. Ek gunaah ki isse ajeeb saza shayad hi kabhi kisi aur ko mili ho ke use vahi gunaah baar baar dohrana pade. Kuchh der tak vahin khada main lambi saans lekar apne aapko shaant karta raha. Jab dhadkan kaabu mein aa gayi toh maine aage badhkar khaayi mein jhaanka.

Neeche patthar toh nazar aa rahe the par uski laash ka kahin naam-o-nishan nahi tha. Vo toh jaise girte hue kahin hawa mein hi gayab ho gayi thi. Maine apne haath ki taraf dekha. Jo Revolver kuchh pal pehle mere haath mein thi, ab nahi thi.


"Maut aayi bhi toh is naaz ke saath,
Mujhpse koi ehsaan kiya ho jaise"



Mujhe uske kahe bol yaad aaye. Ek nazar maine apne chaaron taraf daali ke kahin kisi ne dekha toh nahi aur palat kar vaapis cottage ki taraf chal pada jahan pahunch kar mujhe har cheez phir vaise hi karni thi jaise ki vo 10 saal pehle us raat thi jab maine uska khoon kiya tha. Jahan vo har saal isi raat har baar laut aati thi aur vo raat phir vaise hi guzarti thi jaise ke 10 saal pehle hamari anniversary par guzarti thi. Jahan har saal isi raat vo jaise apni maut ki kahani dohrane phir chali aati thi. Ek aisa silsila jo khatam hone ka naam hi nahi le raha tha. Ek aisi galti jo ki toh maine 10 saal pehle thi par ab har saal karni pad rahi thi.


"Zindagi guzar rahi hai is tarah

Bina jurm koi saza ho jaise."
 
  • Like
Reactions: NiRaaLi_Man0
Top