Sar-E-Tour Ho, Sar-E-Hashr Ho,

  • Work-from-home

SaRkaR

Newbie
Aug 14, 2008
12,690
4,289
0
pakistan

Meri Zindagi To Firaaq Hai, Wo Azal Se Dil Main Makee’n Sahi
Wo Nigaah-E-Shoq Se Door Hain, Rag-E-Jaa'n Se Laakh Qaree’n Sahi

Humein Jaan Deni Hai Aik Din, Wo Kisi Tarha, Wo Kahee'n Sahi
Humein Aap Khinchiye Daar Par, Jo Nahi Koi To Hum Hi Sahi

Sar-E-Tour Ho, Sar-E-Hashr Ho, Humein Intezar Qubool Hai
Wo Kabhi Milein, Wo Kahee'n Milein, Wo Kabhi Sahi, Wo Kahee’n Sahi

Na Ho, Un Pe Jo Mera Bas Nahi K Ye Aashiqi Hai Hawas Nahi
Main Unhi Ka Tha, Main Unhi Ka Hu'n, Wo Mere Nahi To Nahi Sahi

Jo Ho Faisla Wo Sunaaiye, Issay Hashr Par Na Uthaaiye
Jo Kare'n Ge Aap Sitam Waha'n, Wo Abhi Sahi, Wo Yahi’n Sahi

Usey Dekhne Ki Jo Lau Lagi To Naseer Dekh Hi Len Ge Hum
Wo Hazaar Aankh Se Door ho, Wo Hazaar Parda-Nashee’n Sahi
 
  • Like
Reactions: nrbhayo

adi86

Banned
Oct 5, 2009
24
13
0
40
lhr pakistan
kia bat hai zabardast:

Usey Dekhne Ki Jo Lau Lagi To Naseer Dekh Hi Len Ge Hum
Wo Hazaar Aankh Se Door ho, Wo Hazaar Parda-Nashee’n Sahi
 
Top