~*quran Ki Faryaad*~

  • Work-from-home

Azeyy

•´¯`•» RuDleSS AzeYY «•´¯`•
VIP
Aug 17, 2012
12,084
5,479
513
lahore
Quran ki Faryaad

Taaqo mein sajaya jaata hun, ankhon se lagaya jaata hun

Taweez banaya jaata hun, dho dho ke pilaaya jaata hun

Juzdaan hareer-o-resham ke aur phool sitaare chaandi ke
phir itr ki baarish hoti hai, khusbu mein basaya jaata hun

Jiss tarha se tota maina ko kuchh bol sikhaaye jaate hain
iss tarha parhaaya jaata hun, iss tarha sikhaaya jaata hun

Jab qol-o-qasam lene ke liye takraar ki naubat aati hai
phir meri zarurat parhti hai, hathon mein uthaya jata hun

Dil soz se khali rehte hain,ankhen hain ke num hoti hi nahi
kehne ko main ek ek jalse mein parh parh ke sunaya jaata hun

Neki pe badi ka ghalba hai, sachai se barhkar dhokha hai
ek baar hansaya jaata hun, sau baar rulaaya jaata hun

Ye meri aqeedat ke daawe,qanoon pe raazi ghairon ke
yun bhi mujhe ruswa karte hain,aise bhi sataya jaata hun.
Aiye Allah hume taufeeq ata kar k hum Quran parhne aur samjhne ka sahi haq ada karen
Apne Rab k ita'atguzar banday aur Uski ehkaam barari me poore utren
saathyio Quran ko sirf Juzdaano ki zeenath na banao..
aaao hum aajse ahed karen k is azeem babarkat kitab ki tilawat rozana karen.Namaz k sath sath Quran ko parhne aur samjhne ki adat daalen takay humara Eeman khud ba khud mazboot hota chala jaye..Ameen..ya rabbul alameen
 
Fantasy

~ The Rebel
Hot Shot
Sep 13, 2011
48,910
11,270
1,313

aameen
 
  • Like
Reactions: Azeyy
Top