Pyar, Mohabbat Aur Ishq

  • Work-from-home

lavina

TM Star
Jun 14, 2009
1,580
780
113
USA
Pyar, Mohabbat Aur Ishq Mein Kya Fark Hai

Pyar Pehli Seerhi Hai
Kisi Bhi Shaqs Ke Liye Aapke Dil Mein Narm Gosha Pyar Kehlata Hai
Mohabbat Usse Agla Maqaam Hai Yeh Pyar Ki Waraftagi
Aur Pukhtagi Ka Naam Hai .. Iss Mein Koi Bhi Insaan Khaas Banta Jata Hai
Aur Uska Khayal Hamari Aadat..
Aur Yehi Aadat Mohabbat Ki Shiddat Kehlati Hai..
Magar Jahan Baat Sachi Aur Daimi Mohabbat Ki Aati Hai
To Uska Asal Naam Hai Ishq-o-Junoo..
Mohabbat Aur Aqeedat Do Alag Cheezen Hai..
Mohabbat Mein Aap Apne Mehboob Se Cher Chaar Bhi Karte Hai..
Aur Kisi Hadh Tak Narazgi Bhi Chalti Hai ..
Jabki Aqeedat Mein.. Ittat Ka Jazba Shamil hota Hai..
Jiss Mein Aap Mehboob Ke Barabar Nahi Balki Uske Qadmon Mein Baithe Hote Hai....So Agar Mohabbat Mein Aqeedat Ka Jazba Shamil Ho Jaye..
To Wo Ishq Ki Shakal Ikhteyar Kata Jata Hai..
Aur Insaan Ka Sir Apne Mehboob Ki Raza Ke Aage Jhukta Chala Jata Hai..

Agar Bakhshe Zehay Rehmat Na Bakhshay To Shikayat Kya
Sar-e-Tasleem-e-Kham Hai Jo Mizaaj-e-Yaar Mein Aaye..

Agar Mazeed Dekhen To Pyar Insaan Sabhi Insaano Se Karta Hai
Kyunki Insani Dil Mein Reham Aur Pyar Rakh Diya Gaya Hai ..
Jo Usse Janwaron Se Alag Karta Hai...
Mohabbat Sabhi Se Nahi Hoti .. Magar Kayi Logon Se Ho Sakti Hai
Jab Ki Ishq Sirf Ek Hi Se Hota Hai ..
Uski Maujodgi Mein Bhi Uski Ghair Maujodgi mein Bhi ..
Usko Paalar Bhi Usko Kho Kar Bhi ..
Issi Shay Ka Naam Junoo Hai ..
Jo Kisi ko Paane Aur Khone Ki Qaid Se Maa'wara Hai ..

Usse Kaho Ki Bahot Na'murad Shay Hai Junoo
Usse Kaho Ki Mujhe Hai Bahot Junoo Uska...


 
Top