gham apne doston ka bhi khana pade humain
agheyaar ka bhi bojh uthana pade humain
is zindagi se maot he behter hai ay khuda
jis main keh tera naam chhupana pade humain
mimbar pe chadh k gair kahe apna madua
seena main apne jaosh chhupana pade humain
ye kaisa adl hai keh kren aur hum bharen
aghyaar ka bhi qaziya chukana pade humain
sun mudai na baat badha taa na ho ye baat
koocha main us k shor machana pade humain
itna na door ker keh cute rishta e vidaad
seena se apne gair lagana pade humain
phelaen gey sadaqat e islaam kuchh bhi ho
jaen gey hum jahan bhi keh jana pade humain
perwa nahin jo haath se apne he apna aap
harf e ghalat ki trha mitana pade humain
Mehmood kr k chhodhe gy hum haq ko aashkar
ru e zameen ko khuwah hilana pade humain