Nuktacheen

  • Work-from-home

Fiza Ahmad

Regular Member
Jun 18, 2009
65
58
18
Kashmir
Nuktaacheen hai Gham-e-dil usko sunaye na bane
Kya bane baat jahan baat banaye na bane

Main bulata to hoon usko magar Ae jazba-e-dil
uspe ban jaaye kuch Aisee ki bin aaye na bane

khel samjha hai kaheen chod na de, bhool na jaye
kaash ! yun bhe ho ki bin mere sataye na bane

Ghair firta hai liye yun tere Khat ko ki agar
koyi pooche ki yeh kya hai ? to chupaaye na bane

Is nazaakat ka bura ho, woh bhale hain to kya
haath aaye to unhean haath lagaaye na bane

Keh sake kaun ki yeh jalwa_gari kiski hai
Parda choda hai woh usne ki uthaaye na bane

Maut ki raah na dekhoon ki bin aaye na rahe
Tumko chaahoon ki na aao, to bulaaye na bane

Bojh woh sar pe gira hai ki uthaaye na uthe
Kaam woh aan pada hai, ki banaaye na bane

Ishq par zor nahin, hai ye woh aatish 'GHALIB'
ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane


 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top