Namaz Eid-ul-fitr

  • Work-from-home

Armaghankhan

Likhy Nhi Ja Sakty Dukhi Dil K Afsaany
Super Star
Sep 13, 2012
10,433
5,571
1,313
KARACHI
Namaz Eid-ul-Fitr
Eid ul fitr and eid ul adha prayer is obligatory for men to give up his sin. Longest the journey described in the statement passed they are not allowed to attend prayers. When go to prayer for eid ul fitr should prey a low voice takbeer tashree and when go to for eid ul adha namaz then should pray a load voice tahbeer tashree. Takbeer tasree is here Allah hu Akbar Allah hu Akbar laa ilaha illallah Allah hu Akbar..Allah hu Akbar walil laail hamd

Eid ka Biyan:
Eid ke Ahkamaat:
1. Ghusal karna

2. Maswak karna

3. Apne paas jo kapre mojud hon in mein se sab se ache kapre pehanna magar mard aur larke resham ke kapre na pahne

4. Khushbu lagana

5. Eid gah mein jo aabadi se dur ho eid ki namaz parhna

6. Eid gah paidal jana

7. Aik raste se jana aur dusre raste se wapis aana

8. Eid ki namaz se pehle ghar mein ya eid gha mein nafil namaz na parhna ghar aakar parhe to kuch harj nahi.

9. Namaz eid-ul-fitr se pehle khajur ya koi mithi cheezen khana

10. Agar sadqat-ul- wajib ho to is ko namaz se pehle ada karna

11. Eid-ul-azha ho to namaz ke baad jald se jald qurbani karna aur behtar hai keh is din qurbani ke gosht se pehle kuch na khayain.

Namaze-e-eid :

Namaz eid-ul-fitr aur eid-ul-azha mardon par wajib hai is ka chorna gunah hai. Han agar sharyi safar mein hon jis ka biyan
namaz qasar ke biyan mein guzra to in namazon mein shirkat na karne ki ijazat hai.

Buhat se log eid ke din khutba chor kar chal dete hain ya khutbah ke waqt baithte to hain magar batain karte rehte hain yeh sab khelaf-e-shara hain.


Takbeer Tashreeh:


Eid-ul-fitar ki namaz ko jate huye jayain aur eid-ul-azha ki namaz ko jate huye ba awaz takbeer tashreeq kehte jayain takbeer tashree yah hai.

allah hu akbar allah hu akbar laa ilaha illallah allah hu akbar..allah hu akbar walil laail hamd
 
Top