NAG,,,,,ek sawal

  • Work-from-home

CoOoL

TM Star
Jul 1, 2009
1,267
804
413
Pakistan
Asslam u alikum dosto,,,

Mujhe sab se ek sawal pochna hai ager kisi ko islam ke ro se maloomat ho to btaye ga ye jo log nag pehntay hain or kehte hain k ye life per bhe effect kerta hai ye baat sahi hai ya aise he man ghdat batain hain plz jis ko bhe es bare main maloomat ho share kejye , shukria !
 
  • Like
Reactions: HaLaKOO and Pari

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
jahan tuk mai janti hoon k phattar k koi asraat insaan ki zindagi per nahi parhte hai.. or is bare main kuch sochna zof-e-emaan hai.. sub acha or bura Allha Tal'a k hukum se hota hai.. Humhe taqdeer per emaan rakhna chaye.. or Allah se bahlaie mangna chaye.. or is soch se bachna chaye k phattar humhara koi bhala kardenge.. (Walla Alam)...
 

HaLaKOO

Newbie
Aug 18, 2009
812
485
0
Karachi
Walaikum Assalam

Jo Log Nag Ya Koi B Pathar Pehante Hain Aur Unsay Yeh Aqeedat Rakhte Hain K Yeh Hamare Liye Behtar Hoga Ya Taqdeer Behtar Ho Jaegi To Yeh Sab Ghalat Aur Mangharat Batain Hain Jinka Haqeeqat Se Door Door Ka B Wasta Nahi Hai, Kyun K

Aik Hadees Hai Jiske Mutabiq Hazrat Mohammad SAWW Ne Farmaya Yeh Saray Pathar Tumhari Taqdeer Par Kuch Asar Nahi Daal Saktay Ya Yeh Keh Lijiye Yeh Pathar Hamari Taqdeer Ko Kisi B Tarah Se Change Karne K Majaz Nahi Hain Insaan Ki Taqdeer Wohi Hai Jo Lohe Mahfooz Mai Darj Hai Aur Us Likhe Hue Ko Yeh Pathar Kaise Change Kar Sakte Hain, Yeh To Bejaan Cheezain Hai Aur Bejaan Chezon Ne B Kabi Kisi Ki Madad Ki Hai Ya Kuch Effect Nahi Daal Saktay Insaan Ki Life Par.

Yeh Sab Zaeeful Aieteqaad Batain Hain, Allah Ham Sab Ko Mehfooz Farmae, Aameen.
 
  • Like
Reactions: Pari
Top