mujh ko yaqeeN hai sach kehti theeN, jo bhi ami kehti theeN

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
mujh ko yaqeeN hai sach kehti theeN, jo bhi ami kehti theeN
jab mere bachpan k din thay, chand maiN paryaN rehti theeN

aik yeh din jab apnon ne bhi hum say naata tor lia
aik woh din jab pair ki shakhaiN bojh humara sehti theeN

aik yeh din jab sari sarkaiN roothi roothi lagti haiN
aik woh din jab "aao khailaiN", sari galiyaN kehti theeN

aik yeh din jab jagi rataiN deewaroN ko takti haiN
aik woh din jab shamoN ki bhi palkaiN bojhal rehti theeN

aik yeh din jab zehn maiN sari ayyari ki bataiN haiN
aik woh din jab dil maiN bholi bhaali bataiN rehti theeN

aik yeh din jab lakhoN gham aur kaal para hai aansu ka
aik woh din jab aik zara si bat pe nadiyaN behti theeN

aik yeh ghar jis ghar maiN mera saz-o-samaaN rehta hai
aik woh ghar jis ghar maiN meri boorhi naani rehti theeN
 
Top