Mousam Mousam Miltey Thay

  • Work-from-home

Entertainer

Senior Member
Jul 10, 2008
536
564
1,193
34

Ghazal

Jagga nahein gaya, Kabhi soya nahein gaya,
Hum se Hisab-e-Hijar bhi rakha nahein gaya.

Ek Umer jin pe jan ko nichawar kartey rahey,
Un se Hamara Haal bhi Poocha Nahein gaya.

Ulghey hooay hein Log sawaloon k Darmian,
Seedhi si Aik Baat ko Samgha Nahein gaya.

Yeh Zindagi ka Daera Bikhra Kabhi tu Phir?
Hum se tu Es Sawal pe Socha nahein gaya.

Qis tarhan kar rahey hein bassar Aap Zindagi
Hum se tu Apne Dukh ko Chupaya Nahein gaya.

-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Roz Manzar Badal Raha Hoon,
Es tarhan se Behal Raha Hoon.

Teray kehney se Aagaya tha Yahan,
Teray Kehney se Jaa Raha Hoon.

Badgumani he Tugh ko kyun Aakhir,
Kya koi Chaal Chal Raha Hoon.

Waisey Kehta Nahein Kissie Se Kuch,
Ander he Ander Pighal Raha Hoon.

Teri Janib Hazar Raastey Hein,
Apney Raastey Pe Chal Raha Hoon.

-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Kissie ko Aazmana chahta hoon,
Hadis-e-dil Sunana chahta hoon,

Sar-e-Raah jo Aansoo Ruk Gayee hein.
Unhein jugoo banana chahta hoon.

Mughay Ruswaiyan milney laggien hein,
Yehi Misrey Sunana Chahta Hoon.

Sarapa Kon TUGH ko jaanta he,
Mein yeh Parda Uthana Chahta Hoon.

Tumhari bheji hooi kuch Mail Messages,
Unhein Khud ko Sunana Chahta hoon.


-----------`.`.`*****`.`.`-----------

MOUSAM MOUSAM MILTEY THAY,

Hum TUM Pehley Miltey thay,
Ek doojey mein Bastey thay,
Pehron Baatein Kartey thay,
Phool Khushi k Khiltey thay,
Dhoop kari yan,
Rut Barkha ki,
Mousam Mousam Miltey thay,
Hum tum Ab bhi Miltey hein,
Lakin Ab tu saari Duniyadari he,
Aur Ajab baizaari he.

-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Har Rastey mein Deep Hazaron Jaltey Hein.
Lakin Hum tu Apni Raah Niqaltey Hein.

1 Awaz Utha le Jaati He Humko
1 Saaye k Peechey Hum Bhi Chaltey Hein.

Tumse Pehley Hum he Khud ko Pyare They,
Ab yun he Hum Apney Aap se Jaltey Hein.

Hum Bhi Kuch, Kuch Duniya Daari Seeikh Gaye,
Baat Barhey tu Hum BHi Baat Badaltey Hein.


-----------`.`.`*****`.`.`-----------

SABAB KUCH TU RAHA HOGA

Tumhein Aabad Karney ka,
Kissie se Baat Karney ka,
Tumhe ko Yaad Karney ka,
GHAZAL Aaghaz Karney ka,
Tumhein Tasveer Karney ka,
Sabab kuch to raha hoga.
Meray Ashaar Likney Ka,
Sunehrey Khuwab Bunney Ka,
Tumhein Aawaz Denay Ka,
Deeay k Jalney Bujhey ka,
Sar-e-Aaina Sajney Ka,
Mizaj-e-Yaar Likhney Ka,
Kabhi Raatoon ko Jagney ka,
Kabhi Sansoon mein Basney Ka
Sabab Kuch to Raha Hoga.

-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Teray Aagey Sawal Kartey Kyun,
Aur Khud ko Nidhal Kartey Kyun.

Ek Taluk bhi kam Nahein Hota,
100 Taluk Bahal Kartey Kyun,

Teray Andaaz k Nahein hein Hum,
Warna Apna Malal Kartey Kyun,

Ek Murawat ne Humko Maar diya,
Warna Jeena Beqarar Kartey Kyun.

Hijar jab Raaz Aagaya tha TERA,
Tughse Arz-e-wisal kartey kyun.

Tughko Rakha huwa he Yaad Aye Dost,
Es se Barh kar Khayal Kartey Kyun.


-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Qurbatein hein Magar Ghuzara Nahein,
Phir bhi mein ne ussey Pukara Nahein.

Doob jaana bhi ek Haqeeqat he,
Aur jab Door tak Kinara Nahein.

Es Aseeri ka hogaya Qayel,
Bin teray Ab mera Ghuzara Nahein.

Dil tu Ghayel tha Aur Ab Bhi he,
Par yeh Baazi bhi khul k Haara Nahein.

Mein tu Majboor Apney Dil se Hoon,
Tugh se Bhar k tu Koi Piyara Nahein.

Ab samandar bhi hogaya Khamosh,
Jab k Mainey Ussey Pukara Nahein.

Ujrey Logoon se Dil Behalta he,
Khud ko Ek Umer se Sanwara Nahein.

Teri Baaton mein Hum Nahein Aai,
Aur Dilse Tughey Utara Nahein.


-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Humko Aooroon se Ab gilla bhi Nahein,
Dil Dukha he Magar, Dukha bhi Nahein.

Aik Aalam He Jiss ka Shedai,
Mein tu Us Shaks se Milla Bhi Nahein.

Kya Kahoon uski beAdai par,
Mein Khaffa hoon, Magar Khaffa bhi Nahein.

Raat din jiss ki Justajoo mein Raha,
Mugh pe woh SHAKS khulla bhi Nahein.

-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Aankh mein jab Nami na thi Pehley,
Zindagi, Zindagi na thi Pehley.

Ab jo Mere Labon tak Aai
Baat who Guftago k Qabil na thi Pehely.

Kar-e-Duniya ki wehshatein tu thein,
Dil ki yeh be kalli na thi Pehley.

Roz-o-Shab, Ranj ki Musafat thi,
Aissie begangi na thi Pehley.

Hum to Pehley bhi Humse Miltey thay,
He, jo Ab Khudsari , Na thi Pehley.

Ab samandar bhi aik Katra he,
Es qadar tishnagi na thi Pehley.

Waqt ne Ek Ajeeb Karwat Li,
Es mein Pehley Khobsorti Na thi Pehley.


-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Tumharay Ranj se Uthtey rahey Sawal Bohat,
Gaye Dino ka bhi Aata raha Khayal Bohat,

Kissie bhi Tor se Shikwa Hamein gawara nahein,
Tumhein Arooj sahi Aur Hamein Zawal Bohat.

Zara si Baat pe who ho gaya Khaffa Humse,
Zara si Baat ka Dil ko Huwa Malal Bohat.

Hamein Aziz Bohat hein, Yeh zakham-e-jan sahib,
K TUM nahein sahi Kar-e-Kamal Bohat.

Wagarna Kar-e-jahan Le Baith he Jaatey,
Tumhari Yaad ne Rakka Hamein Nehal Bohat.


-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Gar he Yeh Juram tu Phir Es k Sazawar hein Hum,
Shab Gaz-e-don k liye Subah k Aasar hein Hum,

Aik Bas tu he Nahein, Khud ko Bhi Hum Bhool gaye,
Aur Ab Teray Sabab Apney Talabgaar hein Hum.

Apni Aawargi ki Khabar kab he Hamein,
Raat dhal bhi Chukki qiss liye baidar hein Hum,

Shehar ka Shehar he Haan aur Nahein ki zad mein,
Aur Yeh jhoot nahein, Teray Tarafdar hein Hum.

Agar rakhtey hein Masail bhi Hamein Gheray huwey,
Es tamashey mein faqat Teray giriftaar hein Hum.

Ankahi baat ka mousam he, Sunwaney Walla,
Aik Mudat se Essie Pal k Talabgaar hein Hum.


-----------`.`.`*****`.`.`-----------

KYA TUMKO KUCH YAAD NAHEN
Sabz dinno ki
Kuch Yaadon mein,
Aao TUM ko
Le ke chalein Hum,
Din woh sunehray,
Surmaiee Shamein,
Chandani Raatein,
Aur Bachpan ka Ujla Mousam,
Barish ke Din,
Hum tum donoo Bheig Rahey thay,
Ek manzar mein,
Sawan bhado ki rim jhim mein,
Yaad he Mugh ko saara Mousam,
Kya Tumko Kuch Yaad Nahein.

-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Tum ne Man ke Kaghaz par
Ran Barangey Lafzon mein,
Khuwahish ko izhaar banna kar
Khushboo jaisey ujley Jazbey,
Mugh ko Bheijey,
Mera Mantha Kora Kaghaz,
Mein ne Man k Es Kaghaz par,
Pehley Pehal jo Naam likha
Who Tumhara tha,
Teray Naam k Likhtey he
Bas
Mera Tan Man Mehak Utha tha,
Teri Khuwaish Jeet gai thi
Aur Mein Khud se Haar Gaya tha.

-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Mein Muqeed hoon
ek Azeiyat mein,
Aur Azeiyat qurb-e-zaat ki he,
Phir Bhi Chup Chap
Aap mein Ghum,
Aatay Jaatey Mousamoon
ko Dekhta Hoon,
Kitney Mousam yunhe, ghuzar gaye k bhi,
Wohi Aalam he
Hairatoon ka Meri,
Shayed Apkey Baar,
Sawan Mein,Who samagh jaye
meri Beqarari
Aakhri Umed

-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Naye Naye Khuwab k Isharey Hein,
Yeh Mohabbat ke Istaarey hein,

Jhoot he Woh jot um Samaghtey ho,
Sach to yeh he k Hum Tumherey Hein.

Shab ka Ahwal Poochney Waley,
Din Ajeeb Tarhan se Ghuzarey Hein,

Surkharo Aap he Nahein Sahib,
Karz-e-jan Hum ne bhi utarey Hein.

Shikashta agar huwey tu kya,
Baazi-e-Dil tu Aap haarey hein.

Hein Woh Aap k liye sahib,
Roop Humney jitney bhi Dharey hein.


-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Agarchey Koi Tajdeed-e-Tamana Bhi Nahein.
Yaad Bhi Na Aaye Who Aisa Bhi Nahein.

Yeh Baat koi Kaissay Hawaon ko Batai,
Mainey tu Chiragon ko Jalaya bhi Nahein.

Yaad uski jab aati he tu aajati he hichki
Miljaye sar-e-rah who Aisa Bhi Nahein.

Aye Khalwat-e-jaan, tugh ko tu Malom he sab kuch,
Tugh se tu kissie baat ka barda Parda Bhi nahein.

Pehley tu Ussey Milne ko Bechain thi yeh Jaan,
Shikwa he Itna k Takaza bhi Nahein.

Dhundla sa Tasawur bhi jissey bargiran tha,
Dil uskey sarape ko tu Bhoola Bhi nahein.

Ek SHANKS k Rootha he tu Rootha he Rahey Ga.
Who Baat Mari Badley Aisa bhi Nahein.


-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Teray Naam Kahani Likhon,
Tugh ko Raat Ki Raani Likhon.

Jhailta Jaon Din ki Wehshat,
Phir Bhi Sham Sohani Likhon.

Awal Awal Teri Soorat,
Khal-o-Khad Lasani Likhon.

Apney Lahoo se mein tu Sajni,
Tere Naam Jawani Likhon.

Aisey Tugh parwari jaon,
Yaani Khoon ko Pani Likhon.

Apney Pyaar ko Sab Likhtey hein,
Mein bhi Yaar ko jaani Likhon.

Man Barkha mein Tugh Ko Bhugowon,
Piyar ka Aanchal Dhaani Likhon.


-----------`.`.`*****`.`.`-----------


Teri Yaadon ko Sajai Rakha
Humne Khud ko Bhulai Rakha
Koi Aata tha Nazar Chand k Beich
Umer Bhar Khud ko Jagai Rakha
Maine Dekha Na Zamaney ki Tafaf
Rabt-e-Dil Us se Banai Rakha
Sakht Barham thein Hawain Phir Bhi,
Ek Diya Humne Jalaey Rakha
Muskarati Rahi Honton pe Hansi
Zakham Seeney mein Chupai Rakha

-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Mere Hum Dam Bichar gaye
Mugh se
Rotey Rotey Ajeeb Haal Huwa
Waqt Rukhsat
Udaas they
WOH bhi
Mein BHi KHAMOSH
Dekhta tha Unhein
Ab sisakta hoon
Bilakta hoon
Aissie Tanhai Kab hooi Mehsoos
Who Milley Par Mughay Milley Bhi Nahein
2 Qadam Sath who challey bhi Nahein
Par juda Hokey Who Judda Bhi Nahein.

-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Hum Aissey Saada Guman Kahan,
Us k Hasb-e-Haal Kahan,
Shab-e-Firaq se Pehlay
Koi Wisal Kahan.
Hamari Bazam k Qissey,
Un he se Kyun Aakhir,
Hamari Baat ka
Ab tak Unehein Khayal Kahan.
Tumhari Yaad Ka Mousam
Kissie pe Kaissey Khuley,
Hamari Aankh se
Jhalka Koi Malal Kahan.
Aur Ab Yeh Shaher-e-Waffa
bhi He Gird Bohat,
Haseen he Log Magar
Aaeena Misal Kahan
He Dil zadon ka
Muqadar Yunhe Bhataktey Phirein,
Kissie ki zaat mein tugh sa koi Kamal Kahan.

-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Kissie Guman mein Reh kar Ussey Pukara Kab,
Ussey Yeh Baat Bhi Hogi Gawara Kab.

Udaas Sham ka Chehra, Udaas Kyun Na Lagey,
Ke Tere Naam ka Ubhra Koi Sitara Kab.

Kamal Tishna Labi, Jis ne Umer Bhar Jhaili,
Ab usko Saath bhi Darya ka He Gawara Kab.

Mein Apna Dil He Nahein Jaan Bhi War Sakta tha,
Magar Yeh Soch ke tune Mughey pukara Kab.

Mein Khush Guman Raha, Apne Aap Khuwabon Mein,
Huwa he Teri Taraf se Koi Ishara Kab.

Yeh Qissne Pyar se Raahon mein Rakh diye Chiragh.
Huwa-e-dehar ko Jachta he Yeh Nazara Kab

Jo Apney Aapp mein Bikhra Huwa He Barsoo se,
Bikhar k Us ne Kissie Aur ko Pukara Kab.

Ana-e-Zat ka ab tak Safar Salamat he,
Zareef Aankh se Aojhal He, Yeh Nazara Kab.


-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Ek Taluk Estawari He,
Zeest Tum Bin Fakat Ghuzari He.
Raqs ho ya Jamood ho, Kuch ho
Tugh se Milney ki Beqarari He.
1 Humse he Kuch Nahein Kehtey,
Jaane Yeh Kaissie Raazdari He.
Be Yaqeeni k Hum Nahein Qayel,
ISHQ jitna he, Hum pe Taari He.
Mein Tughey Soochta he Rehta Hoon
Har Ada Teri Kitni Pyari He.
Yeh Tamasha bhi Dekhtey Jao,
Apni Baari ka Khail Jaari He.

-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Tera Chehra Meri Nazar Mein He
Aur Yeh Dil Tere Asar Mein He.

Aik Khalwat jo Maine Aorhi thi,
Who Faqat Pyar k Safar Mein He.

Teri Janib se War Kha Betha,
Saari Shohrat tu Es Khabar mein He.


-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Apney Hissey k Khuwab Likhta Hoon,
Aagahi k Azaab Likhta Hoon.

Mere Atraf he Tamasha Sa,
Aur mein Esko Sarab Likhta Hoon.

Khinchta hoon mein Ranj-e-darbadri
Hijaraton k Azaab Likhta Hoon.

He Pas-e-Khuwab Guftago Tugh se,
Mein Kahan Sab Hijab Likhta Hoon.

Khush Numa Ek Lafz Sahara Hein,
Main tu Apney Aazab Likhta Hoon.


-----------`.`.`*****`.`.`-----------
DiL
Dil ki Bisat Kya He.
Ek Pal mein Bhar Aata He
Choti si 1 Khushi Par
Phooley Nahein Samata
Dil ki Bisat Kya He
Ek ISHQ Ne Bataya
Hanstey Huwey Rulaya
Rootey Huwey Hansaya.

-----------`.`.`*****`.`.`-----------
Tum He Ho!
Shab ki Apni Parchai He
Din k Apney Tewar Hein
Kuch Yaadein Hein,
KUch Baatein Hein
Apney Apney
Roz-o-Shab k
Sab Qaidi hein
Roz-o-Shab k
Saar-e-Manzar Naamon mein
Jo Chehra Sab se Ujla he
Who Tumhara He.

-----------`.`.`*****`.`.`-----------

Barham se Rehtey Ho Tum,
Baat Ajab Kartey Ho Tum.
Jab Bhi Milna Par Jaaye,
Mugh se Kyun Dartey Ho Tum.
Lamhey Bhar ko Baitho tu,
Ujlat mein Rehtey Ho tum.


Poet : Ahsan Zareef
Book Name : Mousam Mousam Miltey Thay
Selected by : <different_person>

 
Top