Mohsin Naqvi Collection.

  • Work-from-home

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
roz milty hain darechy mein naey phol mujhy
chor jata hy koi roz nishani apni

***
tm se bichry hain tu paya hy biyaban ka sakoot
warna daryaon se milti hy rawani apni

***
aaj phir chand ufaq pe nai ubhra MOHSIN
aaj phir raat na guzry gi suhani apni...!!!
 
  • Like
Reactions: Hoorain

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
abhi kya kahen abhi kya sunayen
ke sar-e-fasil-e-sukut-e-jan
kuf-e-roz-o-shab pe sharar numa
wo jo harf jarf charag tha
use kis hawa ne bujha diya

kabhi lab hilenge to puchna

sar-e-sahar-e-ahad-e-wisal-e-dil
wo jo nikahaton ka hujum tha
use dast-e-mauj-e-firaq ne
tah-e-khak kab se mila diya

kabhi gul khilenge to puchna

abhi kya kahen abhi kya sunayen
yun hi khwahishon k fishar main
kabhi be-sabab kabhi bekhalal
kahan kaun kis se bichar gaya
kise kis ne kaise ganwa diya

kabhi phir milenge to puchna
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
Jab bhi hansnay k zamanay aaye

Zakham phir yaad puranay aaye



Baar-ha unko manaaya tau humain

Rooth janay k bahanay aaye



Phir mujhe toot k chaha us ne

Phir bicharrnay k zamanay aaye



Muskura kar humain milnay waalay

Zindagi bhar ko rulanay aaye



Kitni mehroom theen neendain unki

Khawab bhi jin ko jaganay aaye



Teri chahat ne thehrnay na diya

Raah mein kitnay thikanay aaye



Tu nahin hai tau hawa ka jhonka

Ghar ki zanjeer hilaanay aaye



Dil bujha hai na jalay hain khaimay

Aap kiyun jashn mananay aaye...?







Raas aaya jinhain sehhra MOHSIN

Un ki qismat mein khazanay aaye
 
  • Like
Reactions: Hoorain

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
Mil geya tha to usey khud se khafa rakhna tha

dil ko kuch dair to masroof e dua rakhna tha



main na kehta tha k saanpon se attey hein raastey

ghar se nikley they to haathon mein aasa rakhnatha



baat jab tark e tualuq pe hi thehri thi to phir

dil mein ehsaas e gum e yaar b kia rakhna tha



daman e moj e hava yun to na khaali jata

ghar ki dehleez pe koi to dia rakhna tha



kia khabar us k taqub mein hon kitni sochain ?

apna andaz to auron se juda rakhna tha



chandni bund kuvarron mein kahan utrey gi ?

ik dareecha to bharey ghar mein khula rakhna tha



uski khushbu se sajana tha jo dil ko Mohsin

uski sanson ka laqab moj e saba rakhna tha
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
mai ne daikha tha un dino main usay
jab woh khiltay gulab jaisa tha
us ki palkon se neend chhanti thi
us ka lehja sharab jaisa tha
us ki zulfon se bheegti thi ghata
us ka rukh mahtaab jaisa tha
loag parhtay thay khaal-o-khad us k
woh adab ki kitaab jaisa tha
bolta tha zubaan khushboo ki
loag suntay thay dharkanoan main usay
mai ne daikha tha un dino mai usay
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
Maqrooz K Bigray Hue Halaat Ki Manind,

Majboor K Honton Pe Sawalaat Ki Manind,



Dil Ka Teri Chahat Mein Ajab Haal Hua Hai,

Sailaab Se Barbaad Makanaat Ki Manind,



Main Un Mein Bhataktay Hue Jugnu Ki Tarah Hun,

Us Shakhs Ki Aankhein Hain Kisi Raat Ki Manind,



Dil Roz Sajata Hoon Main Dulhan Ki Tarah Se,

Gham Roz Chalay Aatay Hain Baraat Ki Manind,



Ab Yeh Bhi Nahi Yaad K Kiya Naam Tha Uska,

Jis Shakhs Ko Manga Tha Manajaat Ki Manind,



Kis Darja Muqaddas Hai Tere Qurb Ki Khuwaish,

Masoom Se Bachay Ke Khayalaat Ki Manind,



Us Shakhs Se Mera Milna Mumkin Hi Na Tha,

Main Pyaas Ka Sehra Hoon Woh Barsaat Ki Manind,



Samjhao "MOHSIN" Usko K Ab Reham Karay,

Dukh Bantta Phirta Hai Woh Soghaat Ki Manind......!!!
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
Tu mera naam na poocha kar



Main teri zaat ka hissa hoon

Main teri soch main shamil hoon

Main teri neend ka qissa hoon

Main terey khwab ka haasil hoon

Main teri yaad ka mehwar hoon

Main teri saans ka jhonka hoon

Tu manzar, main pas manzar hoon

Main lamha hoon, main jazba hoon

Jazbey ka koi naam nahien



Tu mera naam na poocha kar
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
Us ne jab jab bhi mujhe dil se pukara Mohsin

Main ne tab tab ye bataya k tumhra Mohsin



Log sadyon ki khtaon pe bhi khush bastay hain

Humko lamhon ki wafaon ne ujarra Mohsin



Jab aagaya ye yaqeen ab wo nahi aye ga

Gham aur aansoon ne diya dil ko sahara Mohsin



Wo tha jab pas to jeenay ko bhi dil karta tha

ab to pal bhar ...bhi nahi hota guzara Mohsin



Usko pana to muqadar ki lakiron main nahi

Uska khona bhi karain kaise gawara Mohsin
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
habs_e_duniya se guzar jate hain

aisa karte hain ke mar jate hain



kaise hote hain bicharne wale

hum ye sochain bhi to dar jate hain



dil jo toote to sar_e-mehfil

baal be waja bikhar jate hain



ab na dekho meri banjar ankhain

charte dariya to utar jate hain



dhoop ka roop rachane wale

sham ko aur nikhar jate hain



khali daman se shikayat kaisi

ashk ankhoon main to bhar jate hain



tum kahan jao ge socho mohsin

log thak haar ke ghar jate hain.......!
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
Chalo Choro ...!!

Muhabath Jhoot Hay..!!
Ehad-O-Wafa Ek Shugal Hay Be-kaar Logon Ka..!!

"Talab".. Sookhey Howey Patton Ka Be-Runaq Jazeera Hay..!!
"Khalish".. Dheemak-zada Auraaq Par Boseedha Satt'ron Ka Zakheera Hay..!!
"Khumaar-e-Wasl" Tapti Dhoop K Seenay Pe Urtey Baadloon Ki Rai'ghaan Bakhshish...!!
"Ghubar-e-Hijr".. Sehra Mein Saraboon Say Attey Mausum Ka Khum'yaza..!!

Chalo Choro...!!

Keh Ab Takh Andheroon Ki Dhamak Mein Saans Ki Zar'boon Peh..!!
Chahat Ki Bi'na Rakh kar Safar Karta Raha Hoon..!!
Muje Ehsaas Hi Kab Tha..!!
Keh Tum Mausam'on Kay Saath Pair'hen kay...!!!
Rangg Badloo Ghi...!!!!!!!

Chalo Choro..!!

Woh Saarey Khuwaab Kachi Burr-Burri Matti Kay Be-Qeemat Gharoondhey Thay..!!
Woh Saarey Zai'qey Meri Zubaan Par Zakham Bann Kar Jamm Gaye Hongay.!!
Tumhari Ungli'yun Ki Naram Poo'rein Pathroon Par Naam Likhti Thein Mera Laikin.!!
Tumhari Ungli'yaan Toa Aada'tann Yea Jurm Karti Thein............!!

Chalo Choro..!!

Safar Mein Ajnabi Logoon Say Aisay Haadsey Sar'zad Howa Kartey Hein ..!!
...........................................Sadiyun Say.....!!!!

Chalo Choro....!!

Mera Hona Na Hona Ek Barabar..!!
Tum Apnay Khad-o-Haal Ko Aai'ney Mein Phir Nikhrney Dho..!!
Tum Apni Aankh Ki Basti Mein Phir Say Ek Naya Mausum Uthernay Dho....!!

"MERAY KHUWABON KO MERNAY DHO".....!!!

Naye Tasweer Dekho..!!
Phir Naya Maktoob Likhoo..!!
Phir Naye Mausum, Naye Lafzoon Say Apna Silsilaa Joro.!!
Meray Maazi Ki Chahat Rai'ghaan Samjoo..!!
Meri Yadoon Say Kachay Raabtey Tooro...!!

.............................................. Chalo CHoro...!!!

Muhabbat Jhooot Hay...!!
Ehad-O-Wafa Ek Shughal Hay Be-Kaar Logon ka...!!!


Mohsin Naqvi
Book: Azaab-e-Deed
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
Dasht-e-hijraa.n mein na saaya na sada teray baad
Kitnay tanha hain teray aabla-pa teray baad

Koi peghaam na dildaar-e-nava teray baad
Khaak uraati hui guzri hai saba teray baad

Lab pe ik harf-e-talab tha na raha teray baad
taaseer ki Dil mein khahish na dua teray baad

Aks-o-aaina mein ab rabt ho kiya teray baad
Hum to phirtay hain khud apnay se khafa teray baad

Dhoop aariz ki na zulfon ki ghata teray baad
Hijr ki rut hai keh habs ki fiza teray baad

Liye phirti hai sar-e-koo-e-jafa teray baad
Parcham-e-tar garebaa.n ko hava teray baad

Perahan apna na salamat na qaba teray baad
Bus vahi hum hain vahi sehra ki rida teray baad

Nikhat-o-ney hai na dast-e-qaza teray baad
Shaakh-e-jaa.n per koi ghuncha na khila teray baad

Dil na mehtaab se ujla na jala teray baad
Aik jugnu tha chup chaap bujha teray baad

Dard seenay mein hua nauha-sara teray baad
Dil ki dharkan hai ke maatam ki sada teray baad

Kaun se rango.n ke bhanvar kesi hina teray baad
Apna khoon meri hatheli pe saja teray baad

Tujh se bichra to murjha ke hava-burd hua
Kaun deta mujhay khilnay ki dua teray baad

Aik hum hain ke be barg-o-nava teray baad
Varna aabaad hai sab khalq-e-Khuda teray baad

Aik qayaamat ki kharaashain meray chehray pe sajeen
Aik mehshar meray andar se utha teray baad

Aye falak-e-naaz meri khaak nishaani teri
Main ne matti pe tera naam likha teray baad

Tu ke simta to rag-e-jaa.n ki hadon mein simta
Main ke bikhra to sameta na gaya teray baad

Ye alag baat hai ke afshaa.n na hua tu varna
Main ne kitna tujhay mehsoos kiya teray baad

Milnay vaalay kayee mafhoom pehen ker aaye
Koi chehra bhi na aankhon ne parha teray baad

Bujhay jaatay hain khad-o-khaal manaazir afaq
Phelta jaata hai khaahish ka khala teray baad

Meri dukhti hui aankhon se gavaahi lena
Main ne socha tujhay apnay se siva teray baad

Seh liya dil ne teray baad malaamat ka azaab
Varna chubhti hai rag-e-jaa.n mein hava teray baad

Jaan-e-Mohsin mera haasil yehi mubham satrain
Sher kehnay ka hunar bhool gaya teray baad

~Mohsin Naqvi
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein ..!!
Aaisa Kartey Hein Keh Marr Jatey Hein ..!!

Kaisay Hotey Hein Bicharnay Walay..??
Hum Yea Sochein Bhi Toa Darr Jatey Hein ..!!

Dil Jo Tootey Toa Sar-e-Mehfil Bhi..!!
Baaal Be-Waja Bikhar Jatey Hein ..!!

Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhein..!!
Chartey Daryaa Toa Uther Jatey Hein ..!!

Dhoop Ka Roop Rachaney Walay...!!
Shaam Ko Aur Nikhar Jatey Hein ..!!

Ab Na Murr Murr Kay Pukaroo Unko..!!
Log Rastay Mein Taher Jatey Hein ..!!

Khaali Damann Say Shikayat Kaisi...??
Aashk Ankhon Mein Toa Barh Jatey Hein ..!!

Tum Kahan Jao Gay Socho Mohsin ..??
Log Thakk Haar Kay Ghar Jatey Hein .......!!
 
  • Like
Reactions: Hoorain

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
zikr-e-shab-e-firaq se wahashat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabbat use bhi thi


mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki did ka
rasta badal k chalne ki adat use bhi thi


us rat der tak wo raha mahw-e-guftagu
masruf main bhi kam tha faragat use bhi thi


sunata tha wo bhi sab se purani kahaniyan
taza rafaqaton ki zarurat use bhi thi


mujh se bichar k shahar main ghul mil gaya wo shakhs
halanke shahar bhar se raqabat use bhi thi


wo mujh se barh k zabt ka adi tha ji gaya
warna har ek sans qayamat use bhi thi
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
abhi kya kahen abhi kya sunayen
ke sar-e-fasil-e-sukut-e-jan
kuf-e-roz-o-shab pe sharar numa
wo jo harf jarf charag tha
use kis hawa ne bujha diya


kabhi lab hilenge to puchna


sar-e-sahar-e-ahad-e-wisal-e-dil
wo jo nikahaton ka hujum tha
use dast-e-mauj-e-firaq ne
tah-e-khak kab se mila diya


kabhi gul khilenge to puchna


abhi kya kahen abhi kya sunayen
yun hi khwahishon k fishar main
kabhi be-sabab kabhi bekhalal
kahan kaun kis se bichar gaya
kise kis ne kaise ganwa diya


kabhi phir milenge to puchna
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
Tumhay Kis Nay Kaha Tha?

Tumahy kis nay kaha tha?
Dopeher K garm sooraj ki tarf dekho
Or itni dair tak dekho!!
K benai tak pighal jaye!!

Tumhay kis nay kaha tha?
AasmaN say tootTi andhi ulajhti bijlion say
Dosti kr loo
Or itni dosti kr lo
K ghar ka ghar he Hil jaye!!

Tumahy kis nay kaha tha?
Aik anjanay safar ma
Ajnabi rahro k hamrah duur tak jao
Or itni duur tak jao!
K woh rastaa badal jaye!!!
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
SAFAR TANHA NAHIN KARTE,
SUNO! AISA NAHIN KARTE,

JISSA SHAFAF RAKHNA HO,
USSAY MAILA NAHIN KARTE,

TERI ANKHAIN IJAZAT DE,
TO HUM KIA KIA NAHIN KARTE,

BOHAT UJRAY HOAY GHAR PAR,
bahut socha nahi krtay

SAFAR JISKA MUQADAR HO,
USSAY ROKA NAHIN KARTE,

JO MIL KAR KHUD SE KHO JAYE,
USSAY RUSWA NAHIN KARTE,

CHALO TUM RAZ HO APNA,
TUMAHIN AFSHAN NAHIN KARTE,

YEH UNCHAY PAIR KAISE HAIN,
KAHIN SAYA NAHIN KARTE,

JO DHUN HO, KAR GUZARNE KI,
TO PHIR SOOCHA NAHIN KARTE,

KABHI HANSNE SE DARTE HAIN,
KABHI ROYA NAHIN KARTE,

SIHAR SE POOCH LO MOHSIN,
KE HUM SOYA NAHIN KARTE
 

AnadiL

••●∂ιѕαѕтєя●••
VIP
Nov 24, 2012
72,933
23,237
1,313
Cherey Perhta, Aankhain Likhta Rehta Hoon
Main Bhi Kaise Batain Likhta Rehta Hoon ?

Saray Jism Darakhtoon Jaise Lagtay Hain
Or Bahoon Ko Shakhain Likhta Rehta Hoon

Tujh Ko Khat Likhnay K Taiwar Bhool Gayee
AArhi Tirchee Satrain Likhta Rehta Hoon

Tere Hijr Main Or Mujhe Kia Karna Hai
Tere Naam Kitabain Likhta Rehta Hoon

Tujh Se Mill Kar Saray Dukh Dhoraoon Ga
Hijr Ki Sari Batain Likhta Rehta Hoon

Sookhay Phool, Kitabain, Zakham Judai ke
Teri Sab Soghatain Likhta Rehta Hoon

Us Ki Bheegi Palkain Hansti Rehti Hain
MOHSIN Jab Tak Ghazlain Likhta Rehta Hoon.
 
Top