mera sukoon aur mera aitebaar waapas kar

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
mera sukoon aur mera aitebaar waapas kar
mujhay tu mera woh khoyaa qaraar waapas kar

tere sulook ne dil ker diyaa sapurd-e-khizaaN
na cheen muj se tu meri bahaar waapas kar

mile gaa kiya tujey laiker maire shafaq rukhsaar?
aey umar-e-raftah tu meira nikhaar waapas kar

mera khuloos tha meri ibaadatoN jaisaa
hai qarz tujh peh tu mera udhaar waapas kar

tuji ko teraa yeh patthar ka dil mubarak ho
muje tu mera dil-e-laalah zaar waapas kar ..​
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top