Mera Maqsad Bithana Tha

  • Work-from-home

Azeyy

•´¯`•» RuDleSS AzeYY «•´¯`•
VIP
Aug 17, 2012
12,084
5,479
513
lahore
Mera maqsad bithana tha use jane ki jldi thi

Mujhe dukhra sunana tha use jane ki jldi thi


Nhi tha waqt pas us k sunta dastan meri

Bra lamba fsana tha use jane ki jldi thi


Bari mudat ki khahish thi mgr piasi rahi

Galay us ko lgana tha use jane ki jldi thi


Nhi thehra wo ik lmha jo ratein thehr jata tha

Taluq to purana tha use jane ki jldi thi


Main MOHSIN rokta kese k rukna tha kahan us ne
usy hr hal jana tha usy jany ki jldi thi
 
Top