Malala – A Victim Of Evil Desires

  • Work-from-home

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
A journalist tweeted yesterday “Why Malala and why NOW?”
And it speaks volumes. The innocent girl became a victim of some people’s evil desires; desire to rule the world, a desire to dictate one’s own terms and conditions and a desire to create chaos. The horrific incident of shooting Malala and other two girls is barbaric to the core.
A million dollar question certainly is that who is Ahsanullah Ahsan and why on earth his calls are never tracked. Why does he take blame on himself (i.e. TTP) whatever the incident is and always manages to call international media but no one bothers to trace out who is he in reality.
But before that we need to focus on ‘Why Malala’ question? The innocent brave girl was made an icon against Taliban by all those who sit in their drawing rooms commenting on social media and TV channels while remaining within their comfort zones. Her stories were recorded by BBC Urdu and published as a diary. She was purposely brought to limelight to make her a symbol. The role of media in bringing Malala to limelight and promoting her out of proportion was surprising. Poor girl was used for media ratings. To serve the vested interests, they put the life of innocent girl at risk. She became a target for the terrorists. Even now, media is surely serving someone else’s purpose by giving the issue a lot of twists and turns.
‘Why Now’? The timing is also very crucial. Exactly when the entire world was getting breaking news about drone attacks and questioning the legitimacy of such attacks, suddenly Malala was attacked, she was identified first and then targeted and all of a sudden all the pro US policies, pseudoliberals started talking about Waziristan operation and legitimising illegal drone strikes.
An important thing to note is that the leader of Swat Taliban, Mullah Fazlullah reportedly hides in Afghanistan and operates with the cooperation of US/Afghan forces; so if Taliban of Swat are responsible for this attack, they are operating from Afghanistan and not Waziristan. Why there is never a drone strike across the border, not that I am demanding it, but it’s logical that US definitely has a dubious agenda in the region.
The case looks quite simple; another event in Swat to make grounds for another military operation. Previously it was a fake video, and now the ‘tool’ was an innocent 14 year old girl. The quick and strong condemnation from USA (by President Obama and Hillary Clinton) gives a message in itself. Drone attacks would be portrayed as essential, by citing that government of Pakistan is unable to protect its own citizens from terrorist activities.
The role of government is deplorable. Governments are supposed to protect their citizens, in which our government has terribly failed. Blaming terrorists and arranging air ambulance is not the solution. Government should take complete responsibility of protecting its citizens.
Malala is an asset for the nation. Whether its Malala, Aafia Siddiqui, missing persons, drone attacks , suicide bombs, target killings in Karachi and elsewhere, Pakistanis are at the suffering end.
Dr Shahid Masood quite reasonably asked the people who pick and choose cases for condemnation, if those who are killed in drone attacks are not plastic toys. We are being killed for no reason. The only way out is to get out of this American war. We must not put more and more lives at risk.
Amazing Article:) must Read to its end​
@Don, @RedRose64, @hoorain, @~Unknown~, @Atif-adi, @Zee Leo, @Bela, @Fa!th, @Tooba Khan, @silent soul
 
Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
well, there is no point of knowing more, if we cant understand a bit of what we have known already.
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
hmmmm

Har aik lamha sitam hay jaari, tazzad_e_shaam o sahar kahan hay?
lahu se bheegey dareeda aanchal,salamti ka nagar kahan hay?

zameen pe bikhrey hain zard pattey,khizan ne sab kuch nigal liya hay
hmare hakim ko in badalti hui rutton ki khabar kahan hay?

usse pukara to bazgasht_e_sada se pala parra hay yusaf
wo khud miley to karam hay uska,meri dua may asar kahan hay?
 
  • Like
Reactions: mirza37

Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
hmm something what i wanted to say! beautiful article. we all know that!
masla ye hai k hum ek katputli bane hue hain. n wo jesa nachate hain humari gov nachti hai chahe wo abotabad wala case ho ya koi or!

shame ese log abhi bhi aram se hukomat me bethe hain or bare hi itmenan se mulk ki jo thori bht bachi hui izzat or dolat lot rahe hain!
 
  • Like
Reactions: mirza37 and Nelli

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
Assalaamu alaikum @Nelli siso Malala pe to baad me baat hogi
pehle bataayen mujhe tag kyun nahin kiya aap ne ??{(cray)}
Ooooops m sorry:-ss nxt time dhayan rakhoongi:D[DOUBLEPOST=1350487855][/DOUBLEPOST]
well, there is no point of knowing more, if we cant understand a bit of what we have known already.
ye article kaafi poorana hai, just Malala pe honay wale attack k ek din baad ka. is main wohi sab baaten mention hui hain hain jin ka ab har zubaan per zikr hai ya jitne b questions/shak-o-shub'hat hamare zehen main hain:) sirf main hi thori late ho gai isey post karne main i guess:|
http://www.mybitforchange.org/2012/malala/
 
Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
hmm something what i wanted to say! beautiful article. we all know that!
masla ye hai k hum ek katputli bane hue hain. n wo jesa nachate hain humari gov nachti hai chahe wo abotabad wala case ho ya koi or!

shame ese log abhi bhi aram se hukomat me bethe hain or bare hi itmenan se mulk ki jo thori bht bachi hui izzat or dolat lot rahe hain!
sahi keh rahe ho. is article main jo ek baat ehem lagi woh yeh k ab jab dunia k mukhtalif hisson main Drone Attacks k khilaaf awaaz buland hona shurooh hui hai Imran Khan k zariye ya jese b, tou ye ek new qissa start kar diya gaya taa k still ye log Talibaan/deh'shat gardon ko khatam karne k naam per Drone attacks carry on kar saken, Aur Pakistan ki masoom awaam ko khatam karte rahen.
 
Silent Soul

Banned
May 24, 2012
3,420
2,568
113
Karachi
Yeh article maine kafi pehle parh lia hai aur ajjkal sab issi ka hawala de kar ghalat ko sahi sabit karne mai lage hain. Sadhi baat humen dekhti nhi na hum dekhna chahte hain. Carry on .....{}{43r5
 
Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Yeh article maine kafi pehle parh lia hai aur ajjkal sab issi ka hawala de kar ghalat ko sahi sabit karne mai lage hain. Sadhi baat humen dekhti nhi na hum dekhna chahte hain. Carry on .....{}{43r5
BUT SILENT AAP APNE VIEWS BHI BTAYAIN
HAR ASPECT SE KON KIA SOCH RHA HAY BETTER HAY WO SAAMNE AAYE ,,,jo filhaal feel ho rha hay abhi sab wohi kahain gaye ,,aapko kia lagta hay?
 
Atif-adi

-{عادي}-{Adi}-
VIP
Oct 1, 2009
34,469
21,486
1,313
Sharjah, U.A.E
sahi keh rahe ho. is article main jo ek baat ehem lagi woh yeh k ab jab dunia k mukhtalif hisson main Drone Attacks k khilaaf awaaz buland hona shurooh hui hai Imran Khan k zariye ya jese b, tou ye ek new qissa start kar diya gaya taa k still ye log Talibaan/deh'shat gardon ko khatam karne k naam per Drone attacks carry on kar saken, Aur Pakistan ki masoom awaam ko khatam karte rahen.
pakistan mashallah se ek arm force country hai i dont know k kese koi bhi drone ya koi bhi jet ya chopper aker opration ker k chala jata hai n kisi ko pata bhi nai chalta?
jab tak paksitan khud mukhtari nai karega or bheek per dosro ki rahega wo log jesa chahenge humari gov karegi. jab tak hum or humari gov apne pero per khud nai khare hojate kuch nai hone wala!
 
Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
Yeh article maine kafi pehle parh lia hai aur ajjkal sab issi ka hawala de kar ghalat ko sahi sabit karne mai lage hain. Sadhi baat humen dekhti nhi na hum dekhna chahte hain. Carry on .....{}{43r5
har jaga paheli chorh jati hein..ab finally apne views dei hi dein :| ..
 
  • Like
Reactions: Silent Soul

Silent Soul

Banned
May 24, 2012
3,420
2,568
113
Karachi
Filhaal yeh thread is article se related hai mai issi par bat karongi lekin mukhtasar!

@hoorain @~Unknown~ dekhain bat yeh hai ke hum kch saalon se ek qisim ki phobia ka shikar ban gay hain jisko kehte hain ''Conspiracy Phobia''.
Har ek incident mai hum ek na ek conspiracy nikal lete hain. Aur sirf or sirf Pakistan ki awam mai hai kahin aur koi qaom is tarhan se kisi waqiye ka post martm nhi karti jis tarhan hum ek incident ko le kar uski cher phar shuru kardete hain jese hum he mastermind hon!
Humara mizaj us shaki mizaj shuhar jesa hogaya hai jisko har waqt apni bewi par shak rehta hai jo hr ek cheez ko shak ki nazar se dekhta hai.
Yeh incident app ke samne mojood hai isko itna he samjhe jitna dikhai de raha hai is se ziada kuch nhi! Pakistani awam ko yahi lagta hai duniya main banne wali 80% sazishen Pakistan ke liye banai jati hain. hala ke aesa kch nhi hai yeh humari khush fehmiyan hain jo humen haqeeqat se dor leja rahi hain. Pakistan ke is tukre se bahar aur bhi duniya hai humen chahiye hum unki life ko bhi study karen duniya ke bare main jane is tarhan appni aenak se har cheez ko dekhna aqal mandi nhi.
Rahi is article ki baat to yeh Shahid Masood ke column se li gai kch baton ko pakar kar - be tukki baton ko jama karke likha gaya hai aur Shahid Masood ajkal ek party ko bhut support karrahe hain uski ghalt ko bhi sahi banakar pesh karrahe hain. us party ko jisko election mai vote lene hain woh nhi chahti ke kal hum taliban ki himayat karen to hamra vote bank kam hojay.
Beharhaal is article mai bhut sare jholl aur be tukki baten hain app ghor se parhen appko pata lag jaiga. yeh article langar ki tarhan yahan sms ke through aur fb ke zariye taqseem horha hai aur hum jaise parhe likhe bhi kch soche smjhe bager in baton ko sahi man rahe hain.
Allah humen hidayat de Ameen
 
hmmm right.....mai bhi kabhi koi waqiya ko leikar judgement pass nahi karta....
hum sab aik hi point raise kar rahe hein..woh yeh ke jab hamare musalman burma aur bht jaga mare ja rahe thein or hein(Allah Knows)..to hamare so called leaders us waqt kyon nahi uthein..us waqt poore dunia ke leaders unko support kyon nahi kiye.......
Alhamdulilah idhar canada mei itni duayein hoein thien...chanda ikhatta kiya gaya...aur bheja bhi....bohot kuch howa..but politicians ki majaal ke woh kuch karein musalmaano ke lie :mad:.
rahi baat shahid masood ki..mai to aise articles parhta hi nahi..aur na hi maine yeh wala article parha hai..aur na hi koi article abhi tak parha..bas waqiya suna..media, awam ko observe kiya..aur afsoos howa....
ab jab afsoos kiya hai to pakistan ki awam bhi shamil hai...ke woh kis tarah samjhte hein ke unhi ke lie bura hota hai....jab ke unke khud ke acts se woh kitne bewakoof sabit hote hein....,example ap chiragh bro ke baat cheet wale section mei thread dekh chuki hein...
AAMEEN @ dua
 
Silent Soul

Banned
May 24, 2012
3,420
2,568
113
Karachi
Allah ka shukkar hai Allah usse jaldi sehat yab karde Ameen:)

Aaj Malala ne eyes open ki hain aur sab awam ko shukrya b ada kya hai duwaon ka :)
[DOUBLEPOST=1350664859][/DOUBLEPOST]
hmmm right.....mai bhi kabhi koi waqiya ko leikar judgement pass nahi karta....
hum sab aik hi point raise kar rahe hein..woh yeh ke jab hamare musalman burma aur bht jaga mare ja rahe thein or hein(Allah Knows)..to hamare so called leaders us waqt kyon nahi uthein..us waqt poore dunia ke leaders unko support kyon nahi kiye.......
Alhamdulilah idhar canada mei itni duayein hoein thien...chanda ikhatta kiya gaya...aur bheja bhi....bohot kuch howa..but politicians ki majaal ke woh kuch karein musalmaano ke lie :mad:.
rahi baat shahid masood ki..mai to aise articles parhta hi nahi..aur na hi maine yeh wala article parha hai..aur na hi koi article abhi tak parha..bas waqiya suna..media, awam ko observe kiya..aur afsoos howa....
ab jab afsoos kiya hai to pakistan ki awam bhi shamil hai...ke woh kis tarah samjhte hein ke unhi ke lie bura hota hai....jab ke unke khud ke acts se woh kitne bewakoof sabit hote hein....,example ap chiragh bro ke baat cheet wale section mei thread dekh chuki hein...
AAMEEN @ dua

Vicky mai kiya kahun? appko mjhe sab kch batane mai kafi waqt lagega but abhi mai appko kuch points clear kardeti hun.
Pehli bat yeh ke leaders ne kabhi koi sahi kaam kia hai jo ab hum unse kch expect karen! Humare Pakistan ke leaders ko kiun blame karna pore 57 muslim countries ke leaders he be his aur nakara hain. Pakistan to phir bhi itni muhskilat se guzur raha hai yahan subah ghar se nikle koi to pata nhi hota ke ghar wapis ayga bhi ya nhi. Bad governance ki issi ziada holanaki ki misal pori Pak ki history mai nhi milti Humto khair hain he bhekari America ke! education level yahan down hai beruzgari yahan hai kia kia masail yahan nhi! phir bhi humne ek din pora Hazoor Pak S.A.W ke mukhtas kia(us mai jo bhi howa woh alag bat hai) governmental level par humne ghustakh flim ki mazammat ki. Kia kisi bhi ek islami mulk ne governmental level par is flim ke khilaf awaz uthai including woh countries jahan Oil jesi besh baha dulat hai jinko terririsom ka samna hai na wahan beruzgari na dosre masail.
musalmanon ki toal abadi 1 arab 10 cror hai jis main se 65% India,Pak,Bangladesh main rehte hain aur middle east mai 25% rehte hain Lekin jab OIC ka ijlas hota hai to Middle East ke problems ko focus kia jata hai na Burma nazar aata hai na Kashmir na drons nzar aate hain na Kabaili ilaqon mai operation! chalian mana humara media under control hai to jin countries mai Sham aur Burma ka qatl-e-aam media par dikhaya jata hai woh Q khamosh hain unhon ne konca teer marliya?
Jab Bosnia mai 90's main musalmano ka surb hukmarano ke hathon qatal-e-aam horaha tha tab bhi yeh OIC khamosh bethi thi aur America ki NATO forces ne fizai karwai karke qatl-e-aam rukwaya.
Humare eladers kharab hain to Baqi muslim mumalik ke leaders in se badtar hain.
Malala par he Q forcus kia jaraha hai? Iska bhut he seedha sa jawab hai jab kisi qaom main ek bahadur admi peda hota hai to woh qaom uski dil se qadar karti hai Q ke jo itne sare sar jama hokar na kar sake woh ek admi ne apni himat kar dikhaya.
Yahan issue yeh nhi hai ke ek bachi ko itni aehmiyat Q de jarrahi hai issue yeh hai ke us ne ek farsuda nizam ke khilaf awaz uthai Sawat jese ilaqe mai un schools ko tameer karwane ka azam kia jo ke Taliban bomb se ura the. Aesi larki jis ne apni jan ki parwah kiye bager dosron ke shama roshan karne ko apna maqsad banaya ho kia us par hamla karne walon ki mazammat karna ghalat hai? Har qaom aese he apne qimmti heeron ki qadar karti hai unhen agent ya Fahisha qarar de kar tazleel nhi karti.
agar America dron girata hai to yeh nhi kehta ke is main abch jane walon ko phir dron gira kar halak karonga! Yahan bat ek almiye ki ki ja rahi hai ke kis tarhan humen pathar ke dor ki taraf dhakailne ki koshish ki jarahi hai.
Next year America Afghanistan se nikal jayga phir Allah na kare lekin Analyst jo tajziya Pak ke hawale se pesh karte hain woh bhut bhayanak hai. Kal shayad Malala ki jagah main bhi hos akti hun ya koi aur bhi hosakti hai yeh waqt sazishon ke bare mai ut patang baton ka nhi seriouse ho kar sochne ka hai ke humara future kia hone wala hai isi liye ajj itni awazain buland horahi hai ke kal hum par yeh sab afatain na toot paren.
 
Top