Main ek Aam si Larki

  • Work-from-home

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
ajeeb afsanwi c larki thi woh..khawabo,rangon,muhabbaton,rishton or titliyon k gird hi us ki zindgi ghomti thi..boht sada lekin apni sochon me boht khas..us ki diary pe lafazon ki surat me bhirke jugnu,muhabbaton se labreez jazbe,har ghum se mubarrah..shyd woh bani hi muhabbat k liye..or shyd isi liye us ka naam b Mehru tha..
painting,kitaabain,shairy yahi shok the us k ..zindgi k fikar se boht dor ek hansti muskarati zindgi ..jis ka bachpan pariyon ki kahaniyon se shuru huva..phir sakhiyon k sath gudiyan kheelte kheelte albeli si umar k is hise me punch kar b use khawbon or yaadon ko humesha mehfooz rakha tha..
kbi kbi woh bhari dopeharon me sirhiyon me beth k kitabain parhti or kbi barishon k mosam me nazmain likhti..
woh janti thi..haqiqat apna wajood rakhti thi..lekin khawb dekhne ki aazadi to har kisi ko hoti hai..
waqat apne hi andaz me guzr raha tha..
ab woh bari ho chuki thi.us k waldain ko b us ki baki sb hum'umar larkiyon ki tarha us ki shadi ki fikar satayi to akhir use b piya dais sudharna para..or ankhon me dhheron khawb,dil me mujzan uchute jazbe or apni sari kitabain,paintings or nazmen ly kar wida ho gyi..jate jate boht se logo ko udas kar gyi,ye pehla alwida tha..boht se purane rishton se alag ho kar naye rishton se jurna tha..rishte to rishten hote hain purane hon ya naye..uneh humesha muhabbat,khaloos or apnaiyat ki zarurt hoti hai..
Salman ek business man tha, khasa sober,or sanjida shakhs,be'had haqiqat pasnd..Mehro se boht mukhtalif sochon ka maliq..behar'haal mehar k jazbon ka markaz..
waqat par lgaye udh raha tha..boht se mushkilen thi..naye mahool me khud ko adjust karna mushkil tha..phir waqat k sath sath har cheez badal jati hai..sb kuch sambhal jata hai..
shyd hum khud badal jate hain..waqat or halaat badal dete hain..
Ariba or Umar k aane se zindgi me ek or rang badala tha..masroofiyat me mazeed izafa huva tha..
muhabbaten b mazeed taqseem ho rahi the..zindgi is qadr masrooof ho gyi thi k apni zaat k liye waqat hi nhi tha..
aj yon hi nayi setting karne ki garz se us ne almari me saji kitabon ko dekha tha..
apnaiyat ka ehsas huva tha..boht si cheezon se humara boht achuta sa rishta hota hai..us ne almari se ek kitab uthayi thi..jis me gard jami pari thi..bilkul ese jese kisi dost ko boht arse bad milen or dosti k rishte pe narazgiyon ki ki gard jam jaye..pheeki hoti huvi muskarahat se us ne kitab ko khola tha..pehle safe me likhi ek line..
jise parh k us k ankhen me sitare bhar aaye the..
"Apni rangon or titliyon jesi dost k liye ye ek tohfa"
ye novel use Abiha ne kayi saal pehle us ki birthday
pe gift kia tha..boht si khoobsorat yaadain thi doston k sath..
lekin ab pata nhi sb kahan the..kuch pata nhi..han kbi kbi eid pe ya us ki birthday par ek call aati Abiha ki..ye ehsas dilane k liye k zindgi me ulajhen or masroofiyat hain lekin phr b hum yaadon k safr me aj b ek sath hain.
is almari me or boht se cards the..jis pe likhe khoobsorat alfaz..use kisi na kisi moke ki yaad dila rahe the..
kitaabon k nichen gard me ati ek diary..
jise khoolte hi use ehsas huva tha jese boht se jugnu udh kar idhr udhr bikhar gaye hon..
us me likhi kayi nazmen.

ye asma'n aj nikhra nikhra sa kyun ?
ye mann aj bikhra bikhra sa kyun ?

aasar hain kisi dhanak ki ru'numai k
ya kisi dehakati shama se aashnai k

ibtida-e-sham me koi sitara damke
ya muthi me koi be'taab jugnu!

nahi!

bas ye to haalaat ki tana bani hai
ya kachi umar or nadani hai!

han bs!

yehi kahani hai..
yehi zindgani hai..!!

us ne muskarate huve is nazm ko dekha tha..jise us ne 15 saal ki umar me yon hi likha tha..
khair..ab zindgi nazmon se nikal kar or hi simat me chal rhi thi..
kuch qirtas pe bhikhre rang b the..yanipaintings..
is almari me us ki zindgi ka qimati'tareen asasa tha..
aj woh yon hi bhool kar idhr aa gyi thi..use kisi khoye huve dost k wapis mil jane ka ehsas huva tha..aj shadi k 10 saal bad boht kuch badal gya tha..us ki apni zaat,uski sochen or pasnd b..use ab ye b yaad nhi raha tha k use khud ko kya pasnd hai...han itna pata tha..us k apnon ko kya acha lgta hai..
in kitabon k liye waqat kahan tha..zindgi masroof tareen ho gyi thi..in sb cheezon ko kisi almari me yon sanbhal kar rakh dena hi behtar tha..
nazmon ki baat to alag..use aksr Salman ne kaha tha..Mehar us dunya se nikala aao,,ye kya bachon ki tarha jazbati si ho....be practical Mehru..ab woh kitabon ki dunya se nikal kar amli dunya me aayi thi to itni practical ho gyi thi..k apni zaat ko bhool gyi thi..ab to badalte mosamon me khawabon se bhujhal ankhen b nhi thi us ki..ya shyd ab to tabeeron k mosam the..
us ne khirki se bahir dekha tha..bahir barish ho rhi thi..ek bar phr us ka dil barish me bheegne ko chaha..lekin ab nhi...
Main ek Aam si Larki meri ik aam si khawaish..
Angan me ik pedh or pedh me rimjhim Barish..!

Meharooooooooo...
bahir se kisi ki awaz aayi thi..
or woh phir hosh ki dunya me loti thi...us ne apni diary ko phir almari me rakha tha..
pagal hon main b..meharo zindgi b bhala humari apni hoti hai..ise to hume boht se logo k liye jina hota hai..humara waqat, humari attentions, humari muhabbat, humari inaayatain,humare khawb humare boht apnon k liye hote hain..jin k liye agr hum apni zindgi me ya apni zaat me kuch badal lete hain to kya burai hai..yahi muhabbaton ka taqaza hai..akhir ye zindgi hai sb kuch humesha ek sa nhi rehta..waqat k sath or mahool k sath badalte rehna chaheye..or dil ko ye smjhate rehna chaheye ye samjota to nhi bal'k muhabbaton ko nibhane ka tariqa hai..
akhir woh Mehru thi mehar k rangon se bani Mehru
 

Toobi

dhondo gy molko molko milnay k nae,nayab hum..
Hot Shot
Aug 4, 2009
17,252
11,897
1,313
39
peshawar
ajeeb afsanwi c larki thi woh..khawabo,rangon,muhabbaton,rishton or titliyon k gird hi us ki zindgi ghomti thi..boht sada lekin apni sochon me boht khas..us ki diary pe lafazon ki surat me bhirke jugnu,muhabbaton se labreez jazbe,har ghum se mubarrah..shyd woh bani hi muhabbat k liye..or shyd isi liye us ka naam b Mehro tha..
painting,kitaabain,shairy yahi shok the us k ..zindgi k fikar se boht dor ek hansti muskarati zindgi ..jis ka bachpan pariyon ki kahaniyon se shuru huva..phir sakhiyon k sath gudiyan kheelte kheelte albeli si umar k is hise me punch kar b use khawbon or yaadon ko humesha mehfooz rakha tha..
kbi kbi woh bhari dopeharon me sirhiyon me beth k kitabain parhti or kbi barishon k mosam me nazmain likhti..
woh janti thi..haqiqat apna wajood rakhti thi..lekin khawb dekhne ki aazadi to har kisi ko hoti hai..
waqat apne hi andaz me guzr raha tha..
ab woh bari ho chuki thi.us k waleed ne b us ki baki sb hum'umar larkiyon ki tarha us ki shadi ki fikar satayi to akhir use b piya dais sudharna para..or ankhon me dhheron khawb,dil me mujzan uchute jazbe or apni sari kitabain,paintings or nazmen ly kar wida ho gyi..jate jate boht se logo ko udas kar gyi,ye pehla alwida tha..boht se purane rishton se alag ho kar naye rishton se jurna tha..rishte to rishten hote hain purane hon ya naye..uneh humesha muhabbat,khaloos or apnaiyat ki zarurt hoti hai..
Sulman ek business man tha, khasa sober,or sanjida shakhs,be'had haqiqat pasnd..Mehro se boht mukhtalif sochon ka maliq..behar'haal mehar k jazbon ka markaz..
waqat par lgaye udh raha tha..boht se mushkalen thi..naye mahool me khud ko adjust karna mushkil tha..phir waqat k sath sath har cheez badal jati hai..sb kuch sambhal jata hai..
shyd hum khud badal jate hain..waqat or halaat badal dete hain..
Ariba or Umar k aane se zindgi me ek or rang badala tha..masroofiyat me mazeed izafa huva tha..
muhabbaten b mazeed taqseem ho rahi the..zindgi is qadr masrooof ho gyi thi k apni zaat k liye waqat hi nhi tha..
aj yon hi nayi setting karne ki garz se us ne almari me saji kitabon ko dekha tha..
apnaiyat ka ehsas huva tha..boht si cheezon se humara boht achuta sa rishta hota hai..us ne almari se ek kitab uthayi thi..jis me gard jami pari thi..bilkul ese jese kisi dost ko boht arse bad milen or dosti k rishte pe narazgiyon ki ki gard jam jaye..pheeki hoti huvi muskarahat se us ne kitab ko khola tha..pehle safe me likhi ek line..
jise parh k us k ankhen me sitare bhar aaye the..
"Apni rangon or titliyon jesi dost k liye ye ek tohfa"
ye novel use Abiha ne kayi saal pehle us ki birthday pe gift kia tha..boht si khoobsorat yaadain thi doston k sath..
lekin ab pata nhi sb kahan the..kuch pata nhi..han kbi kbi eid pe ya us ki birthday par ek call aati Abiha ki..ye ehsas dilane k liye k zindgi me ulajhen or masroofiyat hain lekin phr b hum yaadon k safr me aj b ek sath hain.
is almari me or boht se cards the..jis pe likhe khoobsorat alfaz..use kisi na kisi moke ki yaad dila rahe the..
kitaabon k nichen gard me ati ek diary..
jise khoolte hi use ehsas huva tha jese boht se jugnu udh kar idhr udhr bikhar gaye hon..
us me likhi kayi nazmen.
ye asma aj nikhra nikhra sa kyun hai..
ye mann aj bikhra bikhra sa kyun hai
ye asar hain dhanak ki ru'namai k
ya kisi dehkati shama se ashnai k
ibtida-e-sham me koi sitara dhamke
ya muthi me koi be'taab jugnu
nhi, ye to halaat ki tana bani hai
kachi umar or nadani hai
ye kahani hai..ye zindgani hai..

us ne muskarate huve is nazm ko dekha tha..jise us ne 15 saal ki umar me yon hi likha tha..
khair..ab zindgi nazmon se nikal kar or hi simat me chal rhi thi..
kuch qirtas me bhikhre rang b the..yani paintings..
is almari me us ki zindgi ka qimati'tareen asasa tha..
aj woh yon hi bhool kar idhr aa gyi thi..use kisi khoye huve dost k wapis mil jane ka ehsas huva tha..aj shadi k 10 saal bad boht kuch badal gya tha..us ki apni zaat,uski sochen or pasnd b..use ab ye b yaad nhi raha tha k use khud ko kya pasnd hai...han itna pata tha..us k apnon ko kya acha lgta hai..
in kitabon k liye waqat kahan tha..zindgi masroof tareen ho gyi thi..in sb cheezon ko kisi almari me yon sanbhal kar rakh dena hi behtar tha..
nazmon ki baat to alag..use aksr Sulman ne kaha tha..Mehar us dunya se nikala aao,,ye kya bachon ki tarha jazbati si ho....be practical Mehru..ab woh kitabon ki dunya se nikal kar amli dunya me aayi thi to itni practical ho gyi thi..k apni zaat ko bhool gyi thi..ab to badalte mosamon me khawabon se bhujhal ankhen b nhi thi us ki..ya shyd ab to tabeeron k mosam the..
us ne khirki se bahir dekha tha..bahir barish ho rhi thi..ek bar phr us ka dil barish me bheegne ko chaha..lekin ab nhi...
Main ek Aam si Larki meri ik aam si khawaish..
Angan me ik pedh or pedh me rimjhim Barish..!

Meharooooooooo...
bahir se kisi ki awaz aayi thi..
or woh phir hosh ki dunya me loti thi...us ne apni diary ko phir almari me rakha tha..
pagal hon main b..meharo zindgi b bhala humari apni hoti hai..ise to hume boht se logo k liye jina hota hai..humara waqat, humari attentions, humari muhabbat, humari inaayatain,humare khawb humare boht apnon k liye hote hain..jin k liye agr hum apni zindgi me ya apni zaat me kuch badal lete hain to kya burai hai..yahi muhabbaton ka taqaza hai..akhir ye zindgi hai sb kuch humesha ek sa nhi rehta..waqat k sath or mahool k sath badalte rehna chaheye..or dil ko ye smjhate rehna chaheye ye samjota to nhi bal'k muhabbaton ko nibhane ka tariqa hai..
akhir woh Mehru thi mehar k rangon se bani Mehru
bht khoob anno...bht khoob.....
mashaLLAH....
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
ye asma aj nikhra nikhra sa kyun hai..
ye mann aj bikhra bikhra sa kyun hai
ye asar hain dhanak ki ru'namai k
ya kisi dehkati shama se ashnai k
ibtida-e-sham me koi sitara dhamke
ya muthi me koi be'taab jugnu
nhi, ye to halaat ki tana bani hai
kachi umar or nadani hai
ye kahani hai..ye zindgani hai..

beautiful :)



humara waqat, humari attentions, humari muhabbat, humari inaayatain,humare khawb humare boht apnon k liye hote hain..jin k liye agr hum apni zindgi me ya apni zaat me kuch badal lete hain to kya burai hai..yahi muhabbaton ka taqaza hai..akhir ye zindgi hai sb kuch humesha ek sa nhi rehta..waqat k sath or mahool k sath badalte rehna chaheye..or dil ko ye smjhate rehna chaheye ye samjota to nhi bal'k muhabbaton ko nibhane ka tariqa hai..
akhir woh Mehru thi mehar k rangon se bani Mehru


bohat bohat khoobsurti se likha hay aap ne annu

chahey ye tehreer khawabon ,rangon aur khayalon par hay
par larkio ki zindagi ki sab se barii haqeeqat hay

har larki aik aam se mehru hi hay chahey wo jitni bhi practical ho

thanx for this beautiful sharing really heart touching :-bd
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
ye asma aj nikhra nikhra sa kyun hai..
ye mann aj bikhra bikhra sa kyun hai
ye asar hain dhanak ki ru'namai k
ya kisi dehkati shama se ashnai k
ibtida-e-sham me koi sitara dhamke
ya muthi me koi be'taab jugnu
nhi, ye to halaat ki tana bani hai
kachi umar or nadani hai
ye kahani hai..ye zindgani hai..

beautiful :)
thank u siso.. ye meri sis ne likhi thi jb woh 9th class me the...ab un ki sb nazmen gum gyi hain..lekin mujhe abi b ye yaad thi..ye dil ki qefiyat ko boht ache se bayan karti hai..


humara waqat, humari attentions, humari muhabbat, humari inaayatain,humare khawb humare boht apnon k liye hote hain..jin k liye agr hum apni zindgi me ya apni zaat me kuch badal lete hain to kya burai hai..yahi muhabbaton ka taqaza hai..akhir ye zindgi hai sb kuch humesha ek sa nhi rehta..waqat k sath or mahool k sath badalte rehna chaheye..or dil ko ye smjhate rehna chaheye ye samjota to nhi bal'k muhabbaton ko nibhane ka tariqa hai..
akhir woh Mehru thi mehar k rangon se bani Mehru


bohat bohat khoobsurti se likha hay aap ne annu

chahey ye tehreer khawabon ,rangon aur khayalon par hay
par larkio ki zindagi ki sab se barii haqeeqat hay

har larki aik aam se mehru hi hay chahey wo jitni bhi practical ho

g siso..har larki rangon,titliyon,khawabon aur muhabbaton ka pekar hoti hai..mehar k rangon se bani..masoom aur khawabon me rehne wali..
chalen ye main ne ap sb ko dedicate ki..:)

thanx for this beautiful sharing really heart touching :-bd
 

*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
acha likha hai annu
{(hug)}
sply dese lines

us me likhi kayi nazmen.
ye asma aj nikhra nikhra sa kyun hai..
ye mann aj bikhra bikhra sa kyun hai
ye asar hain dhanak ki ru'namai k
ya kisi dehkati shama se ashnai k
ibtida-e-sham me koi sitara dhamke
ya muthi me koi be'taab jugnu
nhi, ye to halaat ki tana bani hai
kachi umar or nadani hai
ye kahani hai..ye zindgani hai..
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
acha likha hai annu
{(hug)}
sply dese lines

us me likhi kayi nazmen.
ye asma aj nikhra nikhra sa kyun hai..
ye mann aj bikhra bikhra sa kyun hai
ye asar hain dhanak ki ru'namai k
ya kisi dehkati shama se ashnai k
ibtida-e-sham me koi sitara dhamke
ya muthi me koi be'taab jugnu
nhi, ye to halaat ki tana bani hai
kachi umar or nadani hai
ye kahani hai..ye zindgani hai..
thnx siso{(hug)}
kahani main ne likhi hai lekin ye nazm meri sis ki hai..:)muje b boht pasnd hai ye
 
  • Like
Reactions: Sparkofighter

*Sonu*

•°o.O Born to Fly O.o°•
VIP
Mar 5, 2010
46,172
11,604
1,313
pleasure sweety
{(hug)}
bht hi achi nazam likhi hai u ki sis na masha'Allah
:)
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Dawn

TM Star
Sep 14, 2010
3,699
3,961
1,313
saudi arabia
mashaAllah anaaya parhkar maza aagaya bahot umda tahreer :-bd aise hi likhti rahen ek din banoo qudsia ko bhi peeche chor dengi inshaAllah.
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
mashaAllah anaaya parhkar maza aagaya bahot umda tahreer :-bd aise hi likhti rahen ek din banoo qudsia ko bhi peeche chor dengi inshaAllah.
shukaria pasnd karne ka..
lekin esi b baat nhi hai../:)Banno Qadusia kahan main kahan..
woh itni aala paye ki writer hain or main awein sa likhti hon..
 

(åйĵΰ)

Newbie
Aug 10, 2011
88
62
0
piYa GheR
bht khoob annu ,,,,zindgi bht se logon mae jee jati hai....bat jati hai zindgi,,,phir sakhiyan, bailay sub bhool jaty hain.........!!
keep it up annu...
{(thx)}
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
subhan Allah :)
kya baat hai anaaya
bohot hi umdah tahreer
bohot ache asaan andaz me apne haqeeqat ko bayan kiya hai
aur aksar ladkion ko aisi haqeeqat ka samna karna parhta hai

Allah apke qalam me mazeed barkat de Aameen
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
boht shukria
Ameen
 

piya

Newbie
Jul 21, 2011
992
672
243
Istanbul
subhan Allah :)
bohot ache asaan andaz me apne haqeeqat ko bayan kiya hai
aur aksar ladkion ko aisi haqeeqat ka samna karna parhta hai
 
Top