Maa Ki Azmat

  • Work-from-home

Charming_Deep

Senior Member
Feb 3, 2013
681
577
1,193
searchhing............................
Maa Ki Azmat:
Jab Madine Me Islam Aam Ho Chuka To
Nabi (Saw) Ne Farmaya:

Agar Aj Meri Maa Zinda Hoti
Aur Main Namaz-e-Isha Men Khara Hota
Or
Meri Maa Hujre Se Mujhe Awaz Deti
O’Muhammad (Saw)!
To Khuda Ki Qasam
Main Farz Namaz Chor Kar Dorta Hua Jata
Or Maa K Qadmon Men Gir Jata
Subhanallah



@DuFFer @Masoom_girl @rockerxx @attiya @Hoorain @Don @goodfrndz @
 

goodfrndz

"A faithful friend is the medicine of life."
VIP
Aug 16, 2008
12,849
4,072
1,113
محبت والا
Maa Ki Azmat:
Jab Madine Me Islam Aam Ho Chuka To
Nabi (Saw) Ne Farmaya:
Agar Aj Meri Maa Zinda Hoti
Aur Main Namaz-e-Isha Men Khara Hota
Or
Meri Maa Hujre Se Mujhe Awaz Deti
O’Muhammad (Saw)!
To Khuda Ki Qasam
Main Farz Namaz Chor Kar Dorta Hua Jata
Or Maa K Qadmon Men Gir Jata
Subhanallah


@DuFFer @Masoom_girl @rockerxx @attiya @Hoorain @Don @goodfrndz @
سبحان اللہ
سخت راتوں میں بھی آسان سفر لگتا ہے
یہ میری ماں کی دعاوں کا اثر لگتا ہے
 
  • Like
Reactions: *fajar*

Wafa_Khan

Hijab is my Beauty..
Super Star
Apr 7, 2013
6,267
3,557
363
Maa Ki Azmat:
Jab Madine Me Islam Aam Ho Chuka To
Nabi (Saw) Ne Farmaya:
Agar Aj Meri Maa Zinda Hoti
Aur Main Namaz-e-Isha Men Khara Hota
Or
Meri Maa Hujre Se Mujhe Awaz Deti
O’Muhammad (Saw)!
To Khuda Ki Qasam
Main Farz Namaz Chor Kar Dorta Hua Jata
Or Maa K Qadmon Men Gir Jata
Subhanallah


@DuFFer @Masoom_girl @rockerxx @attiya @Hoorain @Don @goodfrndz @
ap jab hadees post kartei ho to plz refrence k saath kia karo
 
  • Like
Reactions: usman_usman

MuftiSaeed

Regular Member
Dec 26, 2013
124
86
528
New York, New York
Assalaam O Alaikum,

Praise Be To Allah

Kissing feet of parents are allowed instead it is recommended. But bowing touching forehead, it becomes shirk. Because there are several ahadith, shows the greatness of parents. One of the door to Paradise is mother and father.

There was hadith, when sahaba was dying and couldnt uttar the words of shahada, so the prophet send someone to the mother of dying sahabah........... as soon as the mother said i forgive him. he started reciting kalimah before die.

Also, if a son is a sinner, there is a bar of mother that stops punishment of Allah to the son.

Bhaiyo Behno is se pehle k maan baap duniya se chalen jaayen, un ki zindgi mein ji bher per pyar aur khidmat kerlo. Yeh moka dobara naseeb kabhi nahin hoga.

Wo log jo biwion ki khatir maan baap se preshan rehte hein. unhon ne apne liye dozakh ke agreement per khud hi sign kerliya hai. Jo biwi maan baap aur beta ke beech mein deewar bane yaan alehda kerwaaye, esi biwi ko chor dena chaahiye. kyonke biwi aur mil jaaye gi maan baap aur naseeb na honge. Jo achi aur naik biwi hogi, wo hamesha susral walon se muhabbat kare gi. Lekin beta ki zimedaari hai, maan baap ko un ka haqq de aur biwi ko us ka haqq de, ek doosre ki khatir najaiz nahin kersakte. maan baap biwi ke saath ghalaat kerwaayen beta farz banta hai maan baap ko samjhaayen lekin biwi ke saath ghalat nahin kersakte. issi tara agar biwi ghalat homaan baap ke khilaaf to wo biwi ke liye maan baap ke saath ghalat nahin sakta.

khaas taur per aaj kal kisi merd k izindgi mei khooobsurat biwi ajaaye yaan merd biwi se attach hojaaye, to merd biwi ki khatir najaiaz bhi kerta rehta hai maan baap ke saath. Ek sex ki khatir, beta maan baap ko kuch ehmiyat nahin deta aur yahan tak jo zaban ka zeher hai bichaare boodhe maan baap per nikalta hai.

thappar ka zakham mit jaata hai, zaban ka zakhm rooh per lagta hai aur kabhi nahin mit ta. Bhaiyo zindgi mein ek advize yaad rakhna. maan baap ko un ka haqq dena aur biwi ko biwi ka haqq dena. kisi per ziadti na kerna. werna wakt guzr jaaye to palat ker nahin aata. Achi biwi ke maan baap ne agar achi perwarish ki ho to hamesha adjustment kerti hai susral mein, werna wahan fitnah kerti hai aur piche se lerki ke gher waale lerki se contact rakhte hein pressure daalte hein alag hone keliye. Agar adjustment nahin horaha. alag raha jastka hai. lekin agar biwi theek na ho to esi biwi ka kya kerna jo aaker maan baap se us ke bete ko cheen le. lekin agar biwi achi hai aur beta najaayez ker raha hai to biwi ka ferz banta hai admi ko samjhaaye aur gher mein aman rakhe na ke beta ko pressure kare. aur bohat bewakoof admi hote hein jo ek terf ki sunn ker bherk uth te hein. Admi ka bohat sakht hisaaab hai, biwi ke haqq mein, maan baap ke haqq men, bacho ke haqq mein etc etc ek bhi poora nahin to maara gya.

Behno keliye totaly different policy banayee hai Allah ne aur sirf wohi ghaib jaanta hai , sirf wohi jaanta hai is mein kya hikmat hai, lekin hamara ferz hai hum sirf Allah ke hukkam per jhuk jaayen.

ek lerki per shadi se pehle us ke gher walon ka haqq hota hai. shadi ke baad is kainaat mein sirf Allah ke baad us per haqq sirf admi ka hota hai. Ek beti ki zindgi berbaad kerne waali sirf us ki maan ki teachings hoti hein. shadi ke baad bhi communication nahin torte lerki ke gher waale, lekin ache gher ki pehchaan yeh, jab lerki ki shaadi hoti hai to ache lerki ke maan baaap lerke ke maan ko call kerte hein ijaazat keilyie. naake herwakt phone kerte rahen direct lerki ko. simple sa sawal hai, agar communication nahin chorni to beti ki shadi kyoon kerte ho phir apne paas rakho. Ache lerke ke gher waale, hamesha pehle maan ko dekhte hein un ka interview lete hein, zaahir si baat hai, agar mein tehzeeeb, akal aur tameez aur education hogi, naturaly beti bhi esi hogi. agar gher mein sab bikhra para hai safayee nahin, lambi zabanae hein, oonchi oonchi zaban chal rahi hai. to ek ache lerka ke gher mein tikna bohat mushkil hai. Ek maan ka ferz hai beti ko taur tareeke sikhaaye. Ek beti ka gher berbaad kerne mein sirf haath maan ka hi hota hai communication ki waja se.

Sab ne hadith suni hogi, is duniya ka sab se bara shaitan jo sab se dangerous hai wo hai mian biwi ke dil mein wass wasa daalne wala ek doosre ke khilaaf. example agar biwi ke dil mein wasswassa daalta hai, is ki maan ne sikhaaya hoga yaan is ki behen ne yaan baap ne sikha ker bheja hoga tabi moon bana hua hai. yaan phir, is ke bahar kisi aurat ke saath chakkar hoga etc etcetc, issi tara admi ke dil mein biwi keliye. itna sajti sawwarti hai koi chakkar hoga. agar chup bethi hai. to sochne laga is ki maan ne call ki hogi kuch patti perhaane keliye.

lekin agar dono islam mein knowledge waale hein to un ko pata hoga yeh sab wasswasa hai. apne maamle mein kisi ko dakhal na dene den, khaas taur per lerki shaitan ka target banti hai. agar thori si baat hui, shaitan lerki se pehla kaam kya kerwata hai, us se apni maan ko phone kerwaaye ga, phir aage se kya hota hai, maan yeh kehti hai"acha yeh hua wo hua" o hooo us ko esa nahin kerna chaahiye tha" ab lerki ko encouragement milti hai aur wo thanda hone ki bajaaye aur bherj jaati hai. achi maan ka ferz hai. us ko do sunaaye aur kahe k tu ne admi ki ijazat ke baghair phoen kyoon kiyya.

Aur upper se, agar lerki gussa mein ho to, koi shaita ninsaan ke roop mein aajata hai haan mein haan milaane keliye, chaahiye, us ki friend ho, yaan koi relative yaan koi aur. behter yeh hai dono mian biwi beth ker settlement karen. bahar k log jitna interfear kerte hein baat bherti hai.

ek admi ko jannat paane keliye lambi list hai leking
Ek biwi ki jannat shoher ki fermaberdaari per teh hogi, agar wo is haalat mein faut hojaaye k us ka admi razi ho to seedha jannat mein jaaye gi, aur agar agar admi ko dunya mein tang kerti rahi preshan kerti rahi, us ne apna thikana jahhannum mein bana liya.

Maan baaap per sawal tha lekin main ne lambi baat kerdi, taake ziada se ziada hidayat pohanchaao bhaiyo aur behno tak

Allah Tallah hidayat de bhiyo aur behno ko, Ameen

Soon ther will be edition publishing on husband wife, Insha Allah

And Allah Knows Best

Kisi ko koi baat buri lagi ho to maazrat kerta hoon lekin hakeekat hai, mujhe duniya bher se emails, questions and msgs aate hein councelings keliye isliye thora information forward kerdi

Abu Ammaar Saeed Ahmed
Islamic Research Foundation New York
IRFNY.com
 
Top