Lakeerain....

  • Work-from-home

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Assalam o ALaikum

kehte hain shayri sach bolti hay, jab kisi k dil se sache alfaz nikalte hain to sunne waale ko zarur mutasir karte hain ,chahe wo alfaz qafiye aur radeef ki maala may na bhi piroye jaaye,chahe wo alfaz kitne hi saada hon,,sunne ,parhne waalon ko zarur jhinjhor daite hain unk dil-o-dimagh may naqsh ho jaate hain,jaise Bayan karne waale k jazbaat,ehsasat aur halat parhne waale pe guzar rhe hon.....
Bohat se alfaz, aur jazbat ,khushiyan ,gham ,mehrumi ,shikayat aur naraz logn ko mnana jahan saada zuban aur lambey chorey afsano aur tamheed-o-tafseel se mushkil tareen kaam hay,,,wohi shayri chand alfaaz chand lakeeron may bohat umdagi se jazbat ka ,ehsasat ka aur soch ka izhar kar deti hay.

bashart ye k Alfaz Sache hon aur aapka khalus jhalakta ho us may...

"Lakh pardoon main rahun bhaed mere kholti hay,

Shaeri sach bolti hai..!

Main ne dekha hay k jab meri zubaan dolti haai,

Shaeri sach bolti hay..!"


To is thread may aapko apni zindagi ka koi bhi waqea koi bhi lamha ya is waqt aap kuch bhi feel kar rhe hain usse shayri ki zuban may bayan karna hay,,, qafiye radeef k baghair hi sahi par alfaz soch ki aksai karte hon.....
 

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
walaikum assalam
nice thlead sis{(popcorn)}..

mujhe tou in dino jo feel ho raha hai wo is ghazal ne keh diya hai({kopping)}...

Yeh Daulat Bhi Le Lo,
Yeh Shaurat Bhi Le Lo,
Bhale Cheen Lo Mujhse Se Meri Jawani,
Magar Mujhko Lauta Do
Bachpan Ka Sawan.....
Wo Kagaz Ki Kashti....
Wo Baarish Ka Paani...
Wo Kagaz Ki Kashti...
Wo Baarish Ka Paani...

Muhale Ki Sabse Purani Nishani,
Wo Budhea Jise Bache Kehte The Naani,
Wo Naani Ke Baaton Me Paarion Ka Dera,
Wo Chehre Ki Jhuriaon Me Sadion Ka pehra,
Bhulae Nahin Bhul Sakta Hai Koi,
Bhulae Nahin Bhool Sakta Hai Koi,
Wo Chotti Si Raaten.....
Wo Lambi Kahani
Wo Chotti Si Raaten.....
Wo Lambi Kahani

Kaadi Dhoop Me Apne Ghar Se Nikalna,
Wo Chidia Wo Bulbul Wo Titli Pakadna ,
Wo Guddia Ki Shaadi Pe Ladna Ghagadna,
Wo Jhuloon Se Girna Wo Gir Ke Sambhalna,
Wo Peetal Ke Chaalon Ke Pyare Se Tohfe,
Wo Peetal Ke Chaalon Ke Pyare Se Tohfe,
Wo Tuuti Hue Chudion Ki Nishani
Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani,
Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani ,
Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani ........

Kabhi Ret Ke Oonche TilooN Pe Jana
Gharoonde Bana’na
Bana’ke Mitana
Wo Masoom Chahat Ki Tasvir Apni
Wo KhwabooN KhilaooN Ki Jageer Apni
Na Duniya Ka Gam Tha Na RishtoN Ke Bandhan
Na Duniya Ka Gam Tha Na RishtoN Ke Bandhan
Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani..............
Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani..............
Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani..............
Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani..............



 
  • Like
Reactions: hoorain

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Walaikum salam nice thread..
Mujhe jo ajkal feel hota hai wo in ashar me sun len

" Is ajnabi shehar mein yeh pathar kahan sy aa Laga
Logon ki iss bheer main koi "APNA" zaror hai.
 
  • Like
Reactions: hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
walaikum assalam
nice thlead sis{(popcorn)}..

mujhe tou in dino jo feel ho raha hai wo is ghazal ne keh diya hai({kopping)}...

Yeh Daulat Bhi Le Lo,
Yeh Shaurat Bhi Le Lo,
Bhale Cheen Lo Mujhse Se Meri Jawani,
Magar Mujhko Lauta Do
Bachpan Ka Sawan.....
Wo Kagaz Ki Kashti....
Wo Baarish Ka Paani...
Wo Kagaz Ki Kashti...
Wo Baarish Ka Paani...

Muhale Ki Sabse Purani Nishani,
Wo Budhea Jise Bache Kehte The Naani,
Wo Naani Ke Baaton Me Paarion Ka Dera,
Wo Chehre Ki Jhuriaon Me Sadion Ka pehra,
Bhulae Nahin Bhul Sakta Hai Koi,
Bhulae Nahin Bhool Sakta Hai Koi,
Wo Chotti Si Raaten.....
Wo Lambi Kahani
Wo Chotti Si Raaten.....
Wo Lambi Kahani

Kaadi Dhoop Me Apne Ghar Se Nikalna,
Wo Chidia Wo Bulbul Wo Titli Pakadna ,
Wo Guddia Ki Shaadi Pe Ladna Ghagadna,
Wo Jhuloon Se Girna Wo Gir Ke Sambhalna,
Wo Peetal Ke Chaalon Ke Pyare Se Tohfe,
Wo Peetal Ke Chaalon Ke Pyare Se Tohfe,
Wo Tuuti Hue Chudion Ki Nishani
Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani,
Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani ,
Wo Kagaz Ki Kashti Wo Baarish Ka Paani ........

Kabhi Ret Ke Oonche TilooN Pe Jana
Gharoonde Bana’na
Bana’ke Mitana
Wo Masoom Chahat Ki Tasvir Apni
Wo KhwabooN KhilaooN Ki Jageer Apni
Na Duniya Ka Gam Tha Na RishtoN Ke Bandhan
Na Duniya Ka Gam Tha Na RishtoN Ke Bandhan
Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani..............
Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani..............
Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani..............
Baree Khoobsurat Thi Wo Zindagani..............



awwww bohat khoobsurat Nellu meka bhi yhi haal hay :s :p


thanx for sharing
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Berukhe Ke Teer Khana Be Mera Ik Shauk Tha
Dostoon Ko Azmana Be Mera Ik Shauk Tha
Dard Un Ka Apnay Senay Se Lagaya Is Leay
K Chot Kha Kar Muskrana Be Mera Ik Shauk Tha
 
  • Like
Reactions: hoorain

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
Berukhe Ke Teer Khana Be Mera Ik Shauk Tha
Dostoon Ko Azmana Be Mera Ik Shauk Tha
Dard Un Ka Apnay Senay Se Lagaya Is Leay
K Chot Kha Kar Muskrana Be Mera Ik Shauk Tha
ahem ahem ahemmmmmmmmm :-?

Kia sach may aaj kal ye feelings hain u ki baharu:-?
 
  • Like
Reactions: ~Bahaar~
Top