khudkushi kyun?????????????

  • Work-from-home

emo-girl

Newbie
Jul 22, 2008
93
10
0
34
balkaal humara mazab iss cheaz ki hum ko ijazaat nahi deyta

per ss sister yeh baat to app bhi manoo gi k koi bhi insaan

khuishi say yeh kaam nahi kartaa ... insaan asay kadaam

jaab uthaa hai jaab iss k dil duniyaa say uth jataa hai

aur iss ko koi rastaa nazar nahi arahaa hota hai
hmmmm right vickey bhai {(popcorn)}

par insan aisa qadam to utata hi mayusi main hai to phir b islam main is ki ijazat nahi to is ko haram kaha lakin gunha to hoga na us par {(upset)}
 

decent

Newbie
May 22, 2008
6
8
1,103
Salaam SS
You hav raised the question about suicide. This issue has many dimensions depending on the subject's (person going to suicide) circumstances, his/her social financial position/condition, and in younger subjects one additional element to be considered that is 'emotional stability.'
After studying/viewing those dimensions sympathetically that person could be approached, and his mind could be altered. But there is a problem with our social mind set that we never consider root causes of our social problems. when a problem -here in our discussion suicide'- becomes major social problem then we must consider that which age group or social class has larger number of the cases. In this way we could disclose those factors and subsequently could work on those factors through different awareness programes, rehabilitation as well as counsling individually.
We should avoid stereotype idealogy and keep empathetic behavior. We should see that person's problems and misiries from his/her perspective rather than our own frame of mind.
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
hmm ..haan yh haram hai islam mei...nd yeh achi baat bhi nhi hoti..
factors...kabhi ap koi aisa koi galat kaam karte hoo..nd jab woh galat kaam samne ata hai..tu ap bilkul dar jate hoo..so log us waja se karte khudkashi....
sometimes luv mei hota hai yeh sab...mere dad ne aik kahani sunaye thi..mere dad actually doc hai..so woh clinic se aye the ghar mei...raat ko 1 baj rahe the...so us waqt call aye ghar mei..nd kaha ke emergency case hai..nd woh patient mere dad ko achi tarah se janta tha..nd howa kia tha ke larke ne khudkhashi karleeti..coz uske ghar wale nhi chahte the ke larke ki shaadi us larki se hoo...so jab usne khudkhashi ki...nd jab dad ne dekha usey..tu uski halat bht kharab thi...pata nhi kisi tarha dad ne usey bachaya..nd woh clinic mei howa sab kuch..coz woh nhi chahte the ke woh hospital leijaye apne bete ko...coz agar woh leijat den police case banta nd all dat stuff..so finally mere dad ne usey bachaya ..lakin uski body itni kharab hoogaye thi..like uska jo stomach tha..woh bht kharab tha...pher us larke ne zid ki ke mujhe usi larki se shaadi karni hai...den pata nhi..us larki ke gahr wale bhi maan gaye...nd un doono ki shaadi hoogaye..lakin jo suicide ka maine suna tha....woh bht kharab tha..akhir log apni jaan is waja se q dete hai.....nd ya jis larki se uski shaadi hoye..woh larki kharab thi..isi liye larke ke gahr wale mana karte rehte the..lakin woh suna nhi kisi ki bhi..nd ab woh pashta raha hai us larki ke saath....{(upset)}
 

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
hmmmm right vickey bhai {(popcorn)}

par insan aisa qadam to utata hi mayusi main hai to phir b islam main is ki ijazat nahi to is ko haram kaha lakin gunha to hoga na us par {(upset)}

humare area main aik larki raha kartee tey iss ki shaadi hohee ti aur i think 3 din baad hee iss ko talak hoo gahee tey .... iss ka intakaal hogaya hai ... per kaha yeh jataa hai k iss nay khuad khuishi ki ti .... pata hai woh larki muj ko bohaat achee lagtee hai emo girl bohaat smart aur sweet ti woh face say bhi aur dil ki bhi .... kabhi sochaa nahi ta k woh asay karahai gi per halat nay iss ko atnay majbour kar deyaa k iss nay yeh kadaam uthayaa jaab insaan preshan hota hai to kia teek hai kia galat hai yeh saab bhool jataa hai
 

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
Asalamo aliekum

frnds yehan main aap se 1 question karna chahoon gi jo k Allhamdulliha meri nahi na hi hogi:{(*

lakin bohat se longo ki hai..k kis tarha koi shaks khudkushi karne par tayyar hojata hai
wo konsay factors hain jo usay ye karnay par majboor kartay hain.{}{r54

hamaray mazhab islam main ye haram hai aur aisa shaks dozak main jye ga lakin ye jannay k bawojood koi muslim kis tarha aur kyun apnay aap ko khatam karnay par majboor hojata hai..{}{78iukia us k zahan main ye nahi hota k marnay k baad main dozak main chala jaon ga phir b aisa karta hai
plz aap log apni rai batye{()|asf
Kia yaad dila dia aap nain. Now yaad karing apna situation.

Personal experience hai so share kar rahi hoon.


Kis tarha ho jata hai khudkushi pay amada:

Jub her taraf say tamaam rastay bund ho jain ya us person ko lagay kay ub meray liaay koi rasta naheen bacha siwaay marnay kay sari mushilaat say buchnay ki yani her taraf say mayoos ho jata hai to phir ussay apni zindagi ka khatma sub say asan hal nazar ata hai.

Us waqt mujhay yay bhi naheen pata tha kay mayoosi kufr hai. Ya shayad pata ho per tension main yaad na ho.

Ya itni achci tarha say yay baat samjhi na hoo.

Jub insaan kisi say kuch naheen kah pata aur tabar' tor' us pay azeeaton kay pahar toray jatain hain jis ki us ko tawaqqo bhi na ho to mayoos ho jata hai kay is ka koi haal naheen.

Ub aap ka sawal kay yay jantay huway kay khudkushi haram hai aik musalman kaisay karta hai kay dauzakh main jaay ga:

At that time I didn't know that khudkushi haram hai. No one told me. I didn't know that qabr main bhi hisaab ho ga aur dazakh main bhi sari zindagi jalain gay.

Deen say la ilmi hi hum say har ghalat kaam kartain hain ya jub deen jantay hain aur uski ahmiat ko samajhtay naheen ya ahmiat naheen detay to aisa jaan boojh kar kar saktay hain.

Per agar main us waqt janti to shayad main bhi aisa qadam na uthati.

Sub ko mushkilaat say mukti denay ki thani thi main nain apnay hisaab say per wo to sub kay liaay sari zindagi ka roag bun jata hai. Is ka pata mujhay jub chala jub meray bhai nain kaha kay tum agar mar jati to hum ko kitni takleef hoti. Hum kitnay majboor ho jatay kay hamari cheez bhi chali gai aur kuch kar bhi naheen skatay.

Us din us nain wada liaay ainda zindagi main koi mushkil aay yay qadam kabhi naheen uthana.

Isi liaay hamain sub say pehlay deeni taleem hasil karna chahyay kay koi ghalat qadam uthanay say pehlay sochain kay hum jo kar rahain hain sahi hai ya ghalat.
 

Precious

Banned
Sep 21, 2008
782
63
0
when the person doesnt find anyother way to escape from the pain of any kind ...which is intolerable to him or beyond his control...then he finds the easy way to kill himself...in anticipation that problem will b destroyed after he no longer there...but even if he dies problem will cling to himself till he learns to solve that issuie...till then he will be in dojakh ...

actually the solution of any problem is not to kill himself but to kill his ego ...which he is not able to...so he kills body...he is not able to drop his identity,ego...he is bitterly resisting the cause of pain in his heart...not open to pain...not surrendering to pain....and whatever is being resisted will increase...

.when he learns to surrender then quality of pain will change and he will find himself reborn again....with new experience,understanding...
Exactly in red. I posted same thing in my post before this.

Its not about ego its about when person can't handle the pain and suffering can't get a clue how to solve and don't find any person on his side to support or help in any way like jazabati hain samjhana aur rokna.

Surrendering ego or anything doesn't change the quality of pain.

Actually what changes is Himmat agar himmat aa jaay aur Allah pay bharosa aa jaay to bus phir koi kaam muskil naheen chahay kitnay bhi kathan marhalain hon. Yani soch sub say aham hai agar soch aa jaay kay aap bahadur hain aap sabr say ya technique say mamla sambhal saktay hain aur Allah aap ki madad karnay wala hai to phir mamla badal jata hai.

and during those days my brother told me just only believe in Allah for everything. if you are not wrong then he will help him. After trying that I find out bayshak Allah aap ki madad karta hai khuwah aap kitnay bhi baybas kioon na hon agar aap ziadti naheen kar rahay to.

Aur waqai Allah nain aisi madad ki thi meri jo na mumkinaat say theen. So us din say mera aitaqaad Allah per to tha per shayad itna naheen ya itna pukka naheen. Ub to main baray say bara qadam Allah pay aitaqad kar kay utha leti hoon aur Allah waqai mujhy kabhi naheen chorta aisi madad karta hai kay main na soch sakti hoon aur na biyaan kar sakti hoon.

So never ever loose your hope in Allah no matter how unconfident you are.

Is kay baad main nain jub quran parha mainay kay saath to aur bhi bohat si baton kay saath yay yaqeen bhi pukhta hao gia.
 

NakreWali

Newbie
Jan 26, 2009
2,184
246
0
36
Chicago, IL
wow yeh kafi deep topic hai .. mai hairangi hai ke kafi arsay se kisi ne yahan post nahe kia hai..

bas kabhi kabhi insaan ki zindagi mei aisa koi waqt ata hai jab usko aisa lagta hai ke woh na hi rehn toh behtar ho.. unke na honay se sab muskilyen khatum ho jaiengi.. afsos woh yeh nahi sochte ke unke janay ke baad unpe kitna azaab paray ga.. aur jo log unse pyar kerte hain.. unko kin kin cheezon se ghuzarna perhayga..
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
wow yeh kafi deep topic hai .. Mai hairangi hai ke kafi arsay se kisi ne yahan post nahe kia hai..

Bas kabhi kabhi insaan ki zindagi mei aisa koi waqt ata hai jab usko aisa lagta hai ke woh na hi rehn toh behtar ho.. Unke na honay se sab muskilyen khatum ho jaiengi.. Afsos woh yeh nahi sochte ke unke janay ke baad unpe kitna azaab paray ga.. Aur jo log unse pyar kerte hain.. Unko kin kin cheezon se ghuzarna perhayga..

bat yahi hai na agar bachpan se shasiat ki wesi tameer ho jaisi hamra mazhab islam hamain deta hai to hum phir bhi haram mot se bachnay ki try karain gay aur un maslihato ko samjhnay ki koshish karain gay jo allah ki taraf se hain phir kuch sadmaad bhi bardash honay lagain gay
 

NakreWali

Newbie
Jan 26, 2009
2,184
246
0
36
Chicago, IL
nicely said sis..

---------- Post added at 07:37 PM ---------- Previous post was at 07:37 PM ----------

hmm waisay has anyone ever met someone who tried to do this? or used to know anyone who did it?
 

Waqar Hussain

M@In ALbela M@I M@sTana
VIP
Aug 12, 2008
26,932
5,548
113
chand k paar
khuad khuishi ... humare mazhaab main haraam hai main nay aik jaga aik shair pharaa ta

yeh na samjoo k manzar e khoon dheek kar daar jahai gai
jiss dhoor main jeyna muskail hoo iss dhoor main jeyna lazim hai

insaan ko chaiyaa k haar muskial ka samna karahai yeh saab busdil logo ka kaam hai
 

sweet_syndrella

TM Star
Jul 22, 2007
3,806
921
1,213
37
karachi the heart of pakistan
1 ko main janti hu jis nay suicide ki lakin Allah nay usay bacha lia lakin us ki viens shadeed mutassir hui hain galay main duppatta bandh k ki thi kaafi din hospital main rahi lakin ab wesi nahi hoparahi us ki memory par asar para aur nervous system par us ki halat dekh kar sub dukh kartay hain surely sicide main bohat takleef hoti hogi junoon main insan qadam to utha laita hai lakin Allah behtar janata hai k jab wo is amal se guzar raha hota hai to wo yahi sochta hoga k kash koi mujhay bacha lay {(cry2)}{(cry2)}
 
Top