Khol Rakhte Hain Isi Aas Pe Dar Shaam Ke Baad

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Tune dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad
Kitne chup chaap se lagte hain shaher shaam ke baad​
Itne chup-chaap ke raaste bhi rahenge laa-ilm​
Chorr jaayenge kisi roz nagar shaam ke baad​
Maine aise hi gunaah teri judaai mein kiye​
Jaise toofaan mein koi chorr de ghar shaam ke baad​
Shaam se pehle wo mast apani uraano mein raha​
Jis ke haathon mein the tute huye par shaam ke baad​
Tu hai sooraj tujhe maaloom kahan raat ka dukh​
Tu kisi roz mere ghar mein utar shaam ke baad​
Laut aaye na kisi roz wo aawaraa mizaaj​
Khol rakhte hain isi aas pe dar shaam ke baad​
 
Top