Kanch Ki Khwaish Thi Patthar Pane Ki

  • Work-from-home

Rahath

smile :)
TM Star
Aug 2, 2012
1,780
2,909
513
karachi
Kanch ki khwaish thi patthar pane ki
Ek pal mein hi toot ker bikhar jane ki
Gum na tha use toot jane ka
Sirf khawaish thi apne hazar tukdo mein
Yaar ki tasveer basane ki

Kabhi karta tha mein tarif
Tere husan ki teri adaon ki
Aaj likhta hu mein shayari
Tere sitam ki teri bewai ki

Kon kehta hai ke patthar ke sine mein dil nahi hota
Ager aisa hota to patthar ka bhagwan nahi hota

Chaha hai tumhe itna ke chahat ko bhi fursat nahi milti
Kahi or apna aashiyana banane ki
Kya karu mitaye nahi mitti yadein teri
Bahut koshish ki sanam mene tujhe bhool jane ki
 
Top