Kamal E Zabt Ko Khud Bhi To Azamaungi

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Kamal E Zabt Ko Khud Bhi To Azamaungi

Kamal e zabt ko khud bhi to azamaungi
Main apane hath se us ki dulhan sajaungi

Supurd kar ke use chandani ke hathon
Main apane ghar ke andheron ko laut aungi

Badan ke karb ko wo bhi samajh na payega
Main dil may roungi ankhon may muskuraungi

Wo kya gaya ke rafaqat ke sare lutf gaye
Main kis se ruth sakungi kise manaungi

Wo ik rishta e benam bhi nahi lekin
Main ab bhi us ke isharon pe sar jhukaungi

Bicha diya tha gulabon ke sath apana wajud
Wo so ke uthe to khwabon ki rakh uthaungi

Ab us ka fan to kisi aur se manasub hua
Main kis ki nazm akele may gungunaungi

Jawaz dhundh raha tha nai muhabbat ka
Wo kah raha tha ke main us ko bhul jaungi

Sama`aton may ghane jangalon ki sansen hain
Main ab kabhi teri awaz sun na paun
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top