Kabhi Yahaan Tumhe Dhonda. . . .. .(Qawali)

  • Work-from-home

goodfrndz

"A faithful friend is the medicine of life."
VIP
Aug 16, 2008
12,849
4,072
1,113
محبت والا
Kabhi Yahaan Tumhe Dhonda,
Kabhi Wahaan Pohncha,
Tumhari Deed Ki Khaatir Kahan Kahan Pohncha,
Ghareeb Mit Gaey Pamaal Ho Gaey Laikin,
Kisi Talak Na Tera Aaj Tak Nishaan Pohncha,
Ho Bhi Nahi Aur Her Jaa Ho,
Ho Bhi Nahi Aur Her Ja Ho,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Her Zarray Mein Kis Shaan Se Tu Jalwa Numa Hai,
Hairaan Hai Magar Aqal K Kese Hai Tu Kia Hai,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Tujhe Dair-O-Haram Maine Dhonda Tu Nahi Milta,
Magar Tashreef Farma Tujhe Apne Dil Mein Daikha Hai,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Dhonde Nahi Mile Ho Na Dhonde Se Kaheen Tum,
Aur Phir Ye Tamasha Hai Jahan Hum Hein Waheen Tum,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Jab Bajuz Tairay Koi Dosra Maujood Nahi,
Phir Samajh Mein Nahi Aata Tera Pardah Karna,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Harm-O-Dair Mein Hai Jalwa-E-Purfan Tera,
Do Gharoon Ka Hai Charaagh-E-Kurkhe Roshan Tera,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Jo Ulfat Mein Tumhari Kho Gaya Hai,
Usi Khoay Hove Ko Kuch Mila Hai,
Na But-Khanay, Na Kabay Mein Mila Hai,
Magar Tootay Hove Dil Mein Mila Hai,
Adam Ban Ker Kaheen To Chup Gaya Hai,
Kaheen To Hast Ban Ker Aa Gaya Hai,
Nahi Hai Tu To Phir Inkaar Kesa,
Nafi Bhi Tere Hone Ka Pata Hai,
Mein Jis Ko Keh Raha Hoon Apni Hasti,
Agar Wo Tu Nahi To Aur Kia Hai,
Nahi Aaya Khayaloon Mein Agar Tu,
To Phir Mein Kese Samjha Tu Khuda Hai,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Hairan Hoon Is Baat Pe Tum Kon Ho Kia Ho,
Haath Aao To But Haath Na Aao To Khuda Ho,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Aqal Mein Jo Ghir Gaya La-Intiha Kiun Ker Hova,
Jo Samajh Mein Aa Gaya Phir Wo Khuda Kiun Ker Hova,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Falsafi Ko Behas K Ander Khuda Milta Nahi,
Door Ko Suljha Raha Hai Aur Sira Milta Nahi,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Pata Yoon To Bata Dete Ho Sub Ko La-Makaan Apna,
Ta'ajub Hai Magar Rehte Ho Tum Tootay Hove Dil Mein,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Jab K Tujh Bin Nahi Koi Maujood,
Phir Ye Hangama Ay Khuda Kia Hai,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Chupte Nahi Ho, Samnay Aatay Nahi Ho Tum,
Jalwa Dikha K Jalwa Dikhate Nahi Ho Tum,
Dair-O-Haram K Jhagre Mitate Nahi Ho Tum,
Jo Asal Baat Hai Wo Batate Nahi Ho Tum,
Hairaan Hon Mere Dil Mein Sama'ay Ho Kis Tarah,
Halaan K Do Jahan Mein Samate Nahi To Tum,
Ye May Bud-O-Haram, Ye Qaleesa-o-Dair Kiun,
Harjaii Ho Jabhi To Batate Nahi To Tum,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Dil Pe Hairat Ne Ajab Rung Jama Rakha Hai,
Aik Uljhi Hoi Tasveer Bana Rakha Hai,
Kuch Samajh Mein Nahi Aata K Ye Chakkar Kia Hai,
Khail Kia Tum Ne Azal Se Ye Racha Rakha Hai,
Rooh Ko Jism K Pinjre Ka Bana Ker Qaidee,
Us Pay Phir Mout Ka Pehraa Bhi Bithaa Rakha Hai,
De K Tadbeer K Panchi Ko Uranay Tu Ne,
Daam-E-Tadbeer Mein Her Simt Bicha Rakha Hai,
Kar K Araish-E-Qounain Ki Barsoon Tu Ne,
Khatam Karne Ka Bhi Mansooba Bana Rakha Hai,
La-Makaani Ka Bahr Haal Hai Dawa Bhi Tumhe,
Nahl-O-Akrab Ka Bhi Paighaam Suna Rakha Hai,
Ye Burai, Wo Bhalai, Ye Jahannum, Wo Bahisht,
Is Ulat Phair Mein Farmao To Kia Rakha Hai,
Jurm Aadam Ne Kiya Aur Saza Baitoon Ko,
Adl-O-Insaaf Ka Miaar Bhi Kia Rakha Hai,
De K Insaan Ko Duniya Mein Khilafat Apni,
Ik Tamasha Sa Zamane Mein Bana Rakha Hai,
Apni Pehchaan Ki Khaatir Hai Banaya Sub Ko,
Sub Ki Nazroon Se Magar Khud Ko Chupa Rakha Hai,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Nit Naey Naqsh Banate Ho Mita Dete Ho,
Jane Kis Jurm-E-Tamanna Ki Saza Dete Ho,
Kabhi Kunker Ko Bana Dete Ho Heere Ki Kani,
Kabhi Heeron Ko Bhi Mitti Mein Mila Dete Ho,
Zindgi Kitne He Murdoon Ko Ata Ki Jis Ne,
Wo Maseeha Bhi Saleebon Pe Saja Dete Ho,
Khuwahish-E-Deed Jo Kar Bethe Sir-E-Tuur Koi,
Tuur Hee Bark-e-Tajalli Se Jala Dete Ho,
Naar-e-Namrood Mein Dalwate Ho Qudrat Na Khaleeq,
Khud Hee Phir Naar Ko Gulzaar Bana Dete Ho,
Chahay Kin Aan Mein Phainko Kabhi Maah Kinaan,
Noor Yaqoob Ki Aankhon Ka Bujha Dete Ho,
De Ke Yusuf Ko Kabhi Misr K Bazaaron Mein,
Aakhir Kaar Shah-E-Misr Bana Dete Ho,
Jazb-OMasti Ki Jo Manzil Pe Pohonchta Hai Koi,
Baith Ker Dil Mein Anal Haq Ki Sada Dete Ho,
Khud He Lagwate Ho Phir Kufr K Fatwe Us Per,
Khud He Mansoor Ko Sooli Pe Charha Dete Ho,
Apni Hasti Bhi Wo Ik Roz Ganwa Beth'ta Hai,
Apne Darshan Ki Lagan Jis Ko Laga Dete Ho,
Koi Ranjha Jo Kabhi Khooj Mein Nikle Teri,
Tum Usay Jhang K Bele Mein Rula Dete Ho,
Justujo Le K Tumhari Jo Chalay Qais Koi,
Us Ko Majno Kisi Laila Ka Bana Dete Ho,
Jot? Sassi K Agar Mun Mein Tumhari Jagay,
Tum Usay Tapte Hove Thal Mein Jala Dete Ho,
Sohni Gar Tum Ko Mahiwaal Tassawur Ker Le,
Us Ko Bikhri Hoi Lehroon Mein Baha Dete Ho,
Khud Jo Chaho To Sar-E-Arsh Bula Ker Mehboob,
Aik He Raat Mein Mairaaj Kara Dete Ho,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Aap Hi Apna Parda Ho,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Jo Kehta Hon Mana Tumhe Lagta Hai Bura Sa,
Phir Bhi Hai Mujhe Tum Se Baharhaal Gila Sa,
Chup Chaap Rahe Dekhte Tum Arsh-E-Bareen Per,
Tapte Hove Karbala Mein Mohammad Ka Nawasa,
Kis Tarah Pilata Tha Laahu Apna Wafa Ko,
Khud Teen Dino Se Wo Agarche Tha Piyasa,
Dushmun To BaharHaal Thay Dumshun Magar Afsoos,
Tum Ne Bhi Faraham Na Kia Pani Zara Sa,
Her Zulm Ki Taufeeq Hai Zaalim Ki Wirasat,
Mazloom K Hisse Mein Tasalli Na Dilasa,
Kal Taaj Saja Dekha Tha Jis Shakhs K Sir Per,
Hai Aaj Usi Shakhs K Haathon Mein Hikasa,
Ye Kia Hai Agar Pochon To Kehte Ho Jawaban,
Is Raaz Se Ho Sakta Nahi Koi Shanasa,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Hairat Ki Ik Dunya Ho,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Har Aik Jaan Pey Ho, Laikin Pata Nahi Maloom,
Tumahra Naam Suna Hai, Nishaan Nahi Maloom,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Dil Se Armaan Jo Nikal Jaey To Jugnu Ho Jaey,
Aur Aankhon Mein Simat Aaey To Aansoo Ho Jaey,
Ja Pe Ya Huu Ka Jo Be Hu Karay Hu Mein Kho Ker,
Us Ko Sultaniyaan Mil Jaein Wo Baahu Ho Jaey,
Baalgi Ka Na Kisi Ka Ho Churi Ke Neechay,
Halk-E-Asghar Mein Kabhi Teer Tarazu Ho Jaey,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Kis Qadar Beniyaaz Ho Tum Bhi,
Daastan-E-Niyaaz Ho Tum Bhi,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Raah-E-Tehqeeq Mein Her Gaam Pe Uljhan Dekhon,
Wohi Halaat-O-Khayalaat Mein Anaban Dekhon,
Bana K Rah Jaata Hoon Tasaveer Pareshaani Ki,
Ghaur Se Jab Bhi Kabhi Duniya K Darpan Dekhon,
Aik He Khaaq Pe Fitrat K Tajaadaat Itne,
Itne Hisson Mein Banta Aik He Angan Dekhon,
Kahin Zahmat Ki Sulagti Hoi Patjhar Ka Sama,
Kahin Rahmat K Baraste Hove Sawan Dekhon,
Kahin Pukarte Darya, Kahin Khamosh Pahar,
Kahin Jungle, Kahin Sehra, Kahin Gulshan Dekhon,
Khoon Rulata Hai Ye Taqseem Ka Andaaz Mujhe,
Koi Dhanwaan Yahan Per Koi Nirdhan Dekhon,
Din K Haathon Mein Faqat Ek Sulagta Suraj,
Raat Ki Maang Sitaroon Se Muzayyan Dekhon,
Kahin Murjhaey Hove Phool Hein Sachaii K,
Aur Kahin Jhoot Ke Kaanton Pe Bhi Joban Dekhon,
Shams Ki Khaal Kaheen Khinchti Nazar Aati Hai,
Kaheen Sarmad Ki Utarti Hoi Gardan Dekhon,
Raat Kia Shay Hai Savera Kia Hai,
Ye Ujala Ye Andhera Kia Hai,
Mai Bhi Naaib Hon Tumhara Aakhir,
Kiun Ye Kehte Ho K Tera Kia Hai,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Dekhne Wala Tujhe Kia Dekhta,
Tu Ne Her Rung Se Parda Kia,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Masjid Mandir Ye Mekhanay,
Koi Ye Manay Koi Wo Manay,
Sub Tere Hein Jaana Kasahanay,
Koi Ye Manay Koi Wo Manay,
Ik Honay Ka Tere Qaail Hai,
Inkaar Pe Koi Maail Hai,
Ik Khalq Mein Shaamil Karta Hai,
Ik Sub Se Akela Rehta Hai,
Hein Dono Tere Mastanay,
Koi Ye Manay Koi Wo Manay,
Sub Hein Jab Aashiq Tumhare Naam K,
Kiun Ye Jhagray Hein Rahim-O-Raam K,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Dair Mein Tu Haram Mein Tu,
Arsh Pe Tu Zameen Pe Tu,
Jis Ki Pohonch Jahan Talak,
Us K Liye Waheen Pe Tu,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Her Ik Rung Mein Yakta Ho,
Her Ik Rung Mein Yakta Ho,
Tum Ek Gorakh Dhanda Ho,
Markaz-E-Justuju, Aalam-E-Rung-O-Boo,
Dum-Ba-Dum Jalwagar Tu He Tu Chaar Su,
Hu K Mahool Mein Kuch Nahi Illah Hu,
Tum Bohat Dilruba Tum Bohot Khoobaru,
Arsh Ki Azmatein Farsh Ki Aabroo,
Tum Ho Qonein Ka Haasil-E-Aarzoo,
Aankh Ne Ker Lia Aansuon Se Wuzu,
Ab To Ker Do Ata Deed Ka Ik Sabu,
Aao Parde Se Tum Aankh K Ru-Ba-Ru,
Chund Lamhay Milan Do Ghari Guftagu,
Naaz Jabta Phiray Ja Baja Qu-Ba-Qu,
Wahdahu Wahdahu La Shareeka Lahoo
Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu
Allah Hu Allah Hu Allah Hu Allah Hu

 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top