Jadoo ka khilonaa
dunya jissay kehtay hian, jaduu ka khilonaa hai
mil jaaye tou mitti hai, khoo jaye tou sonaa hai
achaa sa koi mausam, tanhaa saa koi aalam
her waqt ka ronaa tou bekaar kaa ronaa hai
barsaat kaa baadal to diiwana hai kiya jaanay
kis raah say bachnaa hai, kis chhat ko bhigona hai
gham ho keh khushii donon, kuch dair kay saathii hain
phir rastaa hii rastaa hai, hansnaa hai na ronaa hai