Jab bichar kar tarey

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
Jab bichar kar tarey is dil sey chala jaonga
dil ko seney main na paogi to yad aaonga

aaonga chupky sy khawabo mai jo tarey aksar
phir jo sOtey mai hi hans dogi to yaad aaonga

meri masoom mohobat ko bhula kr jab tum
phir kisi aur ko chahogi too yaad aaongaa

doston ki kisi mahfil mein kai baton mein
jab kisi batt pa roothogi to yaad aaongaa

meri tasveer ko ankhon mein chupaney k liye
apney ashkon sey meetaogi to yaad aaonga

raat sannatey mai kamrey ki khuli khirki sey
hansty ikk chand ko dekhogi to yaad aaonga

jb bhi barsat k bheegy huwe maosam mai kharhi
tanha barish mein jo bhegogi to yaad aaonga

khak sey lipti kitabo'n k har ikk kaghaz par
naam likkha mera dekhogi to yaad aaongaa

ab jo har ek khushi mujhko suna ney k liye
door tak mujh ko na paogi to yaad aaonga
neeley kapron ko pahan kar aur khuley balon ko
khud hi hathon sey sanwarogi to yaad aaonga

Tarey hi nam sy likhta tha Zaheer sari ghazal
ab jo parhtey huwe rodogee to yaad aaongaa

 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top