ishq manat kashay qaraar nahi

  • Work-from-home

dream girl

Khwabon se bahre Naina
VIP
Jul 30, 2008
20,331
11,629
0
ITALY
ishq manat kashay qaraar nahi,
husn majboor_e_intezar nahi.

teri ranjisH ki inteha maloom ,
harato'n ka meri shumaar nahi.

apni nazrai'n bakhair day saqi,
may ba_andaza_e-khumaar nahi.

zair_e_lab hay abhi tabassum dost,
muntashir jalwa_e_bahar nahi.

apni takmeel kar raha hoo'n main,
warna tujh say tu mujh ko piyar nahi.

chara_e_intezar kaun karay,
teri nafrat bhi ustuwaar nahi.

faiz zinda rahai'n woh hain tu sahi,
kiya hoa gar wafa shuaar nahi.

GHAZAL BY ; FAIZ AHEMAD FAIZ .
 
Top