I Want To Share Something About The Dua.

  • Work-from-home

Blue-Black

chai-mein-biscuit
TM Star
May 27, 2014
1,922
607
1,213
KARACHI
I want to share something about THE DUA.


Hum jab dua maangtay hain ..tu bas chahtay hain k haath giranay k saath hee humari dua poori hu jaiy...ye souchay sumjhay bagher k jo cheez hum apnay lye maang raahy hain kia wo waqee humaray lye behtar hai.

Huamary ley kia acha hai kia bura ye sab tu sirf Allah taalh janta hai naa aur jab humein koi cheez dua se nahi milty tu hum Allah se shikwa shikayat kernay lagta hain, kia hum jantay hain k uss cheez ka mil jana humaray haq main behtar hoga ya zaroor acha hota? nahi naa phir kyu hum iss baat per sabir o shakir nahi hu jatay hai k Qismat humaray maamlaat ko humari aarzoon aur tammanaoon Se behtar chalaty hai AUR SAB SE BURI BAT YE HAI KE LOG Allah k bajaiy pata nahi kis kis se maangtay hain, pata nahi kahan door deraaz mazaroon per aur peeroon faqeeroon se tu apni haajat batanay k ley pohnch jatay hain lakin uss pak hasty se nahi mangtay jo humari sheh-e-rag se bhi ziyada qareeb hai, baja tour per ye shirk hai lakin loagon ko ye ehsas tak nahi hota.Sumjhaao tu ghussa honay lagte hain k UNN POHNCHAY hoye logon ki shan main ghustakhi hai ye.Pata nahi kis teraf ja rahay hain hum loag?

Ye ek haqeeqat hai k jo bhi dua mangi jaey wo zaroor qabool hoti hai khas tour sey wo dua jo Allah sey Girdhgirdha kar or ro ro k mangi jaey . Q K Allah pak kehta hai k main sub kuch bardasht kar sakta hoon per main apney bandoo ki ankh sey gira ansoo bardasht nahi kar sakta . to chahey wo us k haq main behtar ho ya na ho main us ki dua zaroor qabool karta hoon. jo mujh sey ro kar dua mangta hai.


Mera kehney ka asal maqsaad ye hai k bandoon ko wo dua nahi mangni chahiye jo un ki qismat main na ho.Q K Allah apney bandoo ka kabhi bura nahi chahta wo har kaam main bandoon ki bhala hi chahta hai per bandoon ko wo bhalai nazar nahi aati. or us sey wo manghtey hain jo un k liye bura hota hai jab wo un ko dua mangney per dey deyta hai to bhi Allah sey shikwa kartey hain. or apni buri qismat ka rona rotey hain. or ye nahi dekhtey k wo khud hi unhoney zabardasti apni duaon sey mangaa hai warna Allah ney to un ki qismat main ye likha hi nahi hota, shayed iseliye k wo janta tha k ye aap k haq main bura hosakta hai.

Ek choti see example hai k jin logon k oulad nahi hoti to wo oulad ki khatir kiya kiya nahi kartey ye sochey samjhe baghair k shayad hamari qismat main nahi hai or shayad wo isliye qismat main na ho k jo aulad aap ko ho aap k liye takleef ka baees baney. wo aap ko burdhapey main takleef dey, aap ko ghar sey nikal dey ya chor dako ban jayen or aap k elawa na janey Aur kitney allah k bando ko takleef dey. phir us waqt aap ye kaho k is sey to behtar tha k hamari aulad hi na hoti. or phir siwaey pachtawey k aap k paas kuch na ho or Allah aap ki batoon per muskuraey or kahey k merey piyarey bandey main ney to teri qismat main aulad likhi hi na thi tu ney hi to ro ro kar dua main mangi thi. koi ye nahi janta k us ki qismat main kiya likha hai. to phir wo ye to dua karsakta hai na ke :

"YA ALLAH PAK JO MERI QISMAT MAIN BURA HAI US KO TU HI JANTA HAI AUR US BURAI SE MEHFOOZ RAKHNA AUR MAIN MANGTA HUN YA MANGTI HUN AGAR WHO MERE HAQ MAIN BEHTAR HAI TO MUJHKO DENA AUR AGAR MERE HAQ MAIN BEHTAR NAHI HAI TO USKO BEHTAR KARNA YA PHIR MUJHE US SE MEHFOOZ RAKHNA AUR MUJHE USPAR SABIR BANA JO MERI QISMAT MAIN TUNE LIKH DIYA HAI.”
Ek aur bat Allah pak bandoo ki 3 duaen zaroor Qabool karta hai:
1- Ek dua usee waqt qbool ho jati hai jis waqt mangi jati hai.
2- Ek dua us waqt k liye Allah utha rakhta hai jab us dua ki Qabooliyat ki zaroorat hoti hai.
3- Er ek dua wo hoti hai jo Qayamat k din puri ki jaey gi.

Isliye jab bhi dua mango achi aur kam az kam 3 se ziyada hi mango, na janey tumhari konsi dua ka in 3 ka time ho. Aur ye yaqeen rakho k tumhari dua zaroor qabool ho gi “AAJ NAHI TO KAL” zaroorat ke time ya phir Qayamat ke din.

Talib e Dua

Fouzia Khan

@Pari @Hoorain @RedRose64 @Mahen @STAR24 @White orchid @Mystery @Seap @Abidi @Shizu @Iceage-TM @Toobi @i love sahabah @Prince-Farry @Janan @NamaL @Fa!th @MSC @~Ambitiou$ Girl~ @Armaghankhan @HorrorReturns @yoursks @SaaD_KhaN @thefire1 @Hira_Khan @MIS_MaHa @zulfi_kulfi @Guriya_Rani @Ally @Azeyy @Gul-e-lala @maryamtaqdeesmo @shzd @p3arl @Fantasy @Atif-adi @Lost Passenger @marzish @Afrasyyab @fatimanoor @Pakhtoon @Rubi @*fajar* @Tariq Saeed @Mas00m-DeVil @Wafa_Khan @amazingcreator @marib @S_ChiragH @Binte_Hawwa @sweet_c_kuri @sabha_khan40 @Masoom_girl @hariya @Aayat @italianVirus @Aa$hi @saviou @sabeha @attiya @Princess_E @Asheer @bilal_ishaq_786 @Pakistani_angel @shailina @Shararti_Bacha @maanu115 @h@!der @Dua001 @NailaRubab @fouziakhan @cute_baji @Rahath @Shireen @zonii @Noor_Afridi @sweet bhoot @Lightman @Leeza_Rose @Noorjee @hafaz @Miss_Tittli @Bela @LuViSh @aribak @BabyDoll @Silent_tear_hurt @@gulfishan @Manxil @Raat ki Rani @candy @Asma_tufail @errorsss @raaz the secret @diya. @isma33 @hashmi_jan @smarty_dollie @Era_Emaan @AshirFrhan @aira_roy @saimaaaaaaa @Nighaat @crystal_eyez @Mantasha_Zawaar @zaatzarra @reality @illusionist @huny @Shiraz-Khan @Hudx @StunninG_BeauTy @Zia_Hayderi @maryamtaqdeesmo @Fadiii @minaahil @UbedThaheem @Fanii @naazii @Babar-Azam
 
  • Like
Reactions: saviou

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
beshak Allah ke siwa kisi aur ke samne apni hajat rakhna aur unse umeed rakhna ke wo hamari hajat poori kardenge ye shirk hai

Allah hame sirf aur sirf ussi se dua mangne aur sahi tareeqe se dua mangne jis tarah hamare pyare Nabi alayhi salam ne sikhaya hai waise mangne ki taufeeq de Aameen
 
  • Like
Reactions: fouziakhan

Blue-Black

chai-mein-biscuit
TM Star
May 27, 2014
1,922
607
1,213
KARACHI
beshak Allah ke siwa kisi aur ke samne apni hajat rakhna aur unse umeed rakhna ke wo hamari hajat poori kardenge ye shirk hai

Allah hame sirf aur sirf ussi se dua mangne aur sahi tareeqe se dua mangne jis tarah hamare pyare Nabi alayhi salam ne sikhaya hai waise mangne ki taufeeq de Aameen
Ameen
 
Top