I am bore now!

  • Work-from-home

mohtarum

Newbie
Mar 31, 2007
334
126
0
48
I am bore now!

{}{76yt
Iss se pehle ke ham is boring topic per kuch baat karein main aap logon ko ek Qissa soonata hoon.

”Ek shahi Baaverchi tha, wo rozana Badsha ko ache ache shahi pakwaan bana ker khilata tha. Phir ek din wo shahi pakwano se buhat bore hoogia oor uss ne Begun ki dish bana ker Baadsha ki khitmat main pasih ki.
Badsha jo khud shahi pakwaan kha kha ker buhat bore ho chuka tha uss ko wo begun ittne ache lage ke uss ne Baaverchi ka mou hirre javahiraat se bherr dia.
Abb kia tha Baaverchi ne roozana Badsha ko begun khilana shoro ker dia, badsha ek din begun kha kha ker bore hoogia oor uss ne ussi Baaverchi ka sar qalam kerva dia.”

Ji janab aap bore to nahi hoe, ye boriat he hi essi cheez naa malom kab shoro ho jae. Shehroo main rehne wale, buhat bussy life goozaarte hein oor app ne akser unhein kehte soona hooga ke ”yaar buhat bore hoogia hoon is life se, chalte hein kahin door khooli fizaaon main”. Aur un khooli fizaaon ke rehne wale kehte hein ke ”yaar bas ek mooqa mil jae shaher jane ka phir dekna life main maaze hi maaze hoonge”.

Ek shandaar tafrihi programe main jahaan sab hi muskuraa rahe hoon kahin koone main ek shaks hoga jo keh raha hooga ”bore ker dia innlogon ne ek dam bakwaas joke hein sare”.
Koi perte perte bore hoojata he to koi khelte khelte, koi hanste hanste to koi khate kahte, qism qism ke log hein qism qism ke kaam orr qism qism ki boriat.

Mian bhi abb bore hooraha hoon phir baad main baat karein ge iss bore topic per. Wese by the way boriat kisi kaam main hooti he ya phir ye khud hamare under hooti he?

Soochein!!! Aur jab sooch sooch ker bore hoojaen to reply ker sektein hein mazeed bore hoone ke lie.
 

Don

Administrator
Mar 15, 2007
11,035
14,651
1,313
Toronto, Ca
well i guess .... koi bhi aysa kaam jo aap majbori mein kar rahe hoo matlab apnay shoq say nahi ... to us kaaam mein booreyaat ho jati hai per jaab aap koi kaaam apnay dil say kartay hain to us kaam mein bahut kaam chance hote hian boreyaat k ...... ya phir agar ap koi ek kaam kar rahe ho or aap ko pata na ho k cheez ka end kaha hai to aap boor ho jate hian laykin agar aap ko pata ho k ek specific jagah par ja kar yeh kaama ka end hona hai tab aaap boor nahi hote bal k or mehnaat say us kaaam mein lag jate hian ..... aab mein aap ko apni hi kuch example deta hon .....


Yeh site ... mein kafi arsay say is par kaam kar raha hon .. per abhi tak booor nahi howa ....

kiun k yeh mera shoq hai or mujhe pata hai k is ki manzil kaha hai ... haaan agar koi mujhe say yeh zaberdast kaarwa raha hota to shayad mein boor ho kar is per kuch mehnaat na karta ya agar mujhe pata nahi hota k k is ka end kaha hai ya phir is ko kaha tak jana hai tab mein jaldi bor ho jata .....


per mujhe ko pata hai k hum ko kaha tak jana hai ... or abhi kia kia honay wala hai ... is lie mein is par or bhi mehnaat kartay hian chahay mere rastay mein jitni bhi muskil kiun na ... mein i m stilll working on it ... or mein abhi tak tohra sa bhi booor nahi howa .... han kabhi kabhi upset ho jata hon jaab aap log tohray say dehlay par jate hain :) but phir mujhe kuch na kuch kar k aap logo ko jagana parta hai :) or Allah ka shukar hai k sab k sab jag jate hian phir:)
lolz


so boreyat har kaam mein nahi ati hai ... aab us bawarchi ki wo job thi ... wo dil say kahna nahi paka ta tha ... or us ko pata tha k aaj yeh pakaana hai kaal wo pakaana hai koi excitment nahi thi us k kaam mein .... das y wo boor ho gaya tha ...

i guess all of u understand ma point :)
 

Pari

(v)i§§· ßµølï ßµð£ï¨
VIP
Mar 20, 2007
46,142
19,780
1,313
Toronto, Canada
nice reply.. n nice topic hehe...

i think hum kabhi kabhi apni life se bore hojate hai.. j-se k app loog jante hain k hur din ek hi tarah ki cheezain hoti hai or app woh karte karte bore hojaie 4 example j-se main rozana soubha maine uthi hoon phir skool skool se ghar or ghar aakar hw waqira jo k mojhe maloom k rooz yehi karna jisse mai bore hojati hoo.. or dil bhi nahi karta karne koo...

ager rozana ek hi tarah ka hum kaam karte hai to bore hojate...

j-se ki parties main bhi bore hojate ager party main hum kisi ko sahi se jante nahi hoo koi wahan hum se humhare matlub ki baat karne wala na hoo to hum wahan bhi bore hojate hai...

a-se hi ager rozana ek hi tarah ka khana khaye to bore hojate hai...

abh life ko enjoy karne k liye humhain diff types of things karne chaye.. abh j-se life main ek din ajaye jo ek dum change hoo to humko bht khush hote hai or enjoy karte hai...

so yah i think i explained watvere m trying 2 say hehe...

so basically point yeh hai k ek tarah k kaam karne se xadah bore hote hai...
 

tittli

Newbie
Jan 21, 2008
168
16
0
Naa Naa Naa Naa Naaaa..........{}{5tr

Tafreeh mela main koi boriat ka kaam nahiiiii.............{)^})

Ab humain boriat hi ko bore karnaa hai.. bore naa ho kar.......hehe{}{678u
:{(*SO DON'T BE BORE & HAVE FUN.{()|dddd
 

Zia_Hayderi

TM Star
Mar 30, 2007
2,468
1,028
1,213
kabhi kuch kabhi kuch

kabhi acha lagta hey, khabi bura lagta hey
herey k mafiq woh hey, itna kara lagta hey
 
Top