Hum Kyoon Bhool Jatey Hain

  • Work-from-home

Lost Passenger

Senior Member
Aug 10, 2009
889
1,976
1,293
Loh-e-jahan pe herf-e-mukerer nahin hoon main
Assalam-o-Alaikum
Kuch batai'n, aadatai'n ya mizaj kehlai'n kabhi nahi badeltey aur nihayet afsos k sath kehna perta hey keh shayed hamari qoum bhi aisi hi hey k ye hamaisha hi dhoka khati aai hey mager phir bhi nahi sambhalti apney mazi se kuch nahi seekhti hamai'n hamarey buzurgoo'n ney ye mulk kin qurbaniyoo'n se hasil kia hum bhool gaye 1971 k saqoot-e-dhaka mai'n kitney pyarey apney azizoo'n se bicher gaye hum bhool gaye hum kis k bandey hai'n aur kis ki ummet hai'n hum bhool gaye masajid se ubherti hui Allah ho Akber ki sada ka kia matlub hota hey hum bhool gaye aaj musalmanoo'n k gher gher se mandiroo'n ki ghantiyoo'n ki awazai'n aa rahi hai'n ye sahi hey ya ghalet hum bhool gaye.......Aakhir hum kab tek bholtey rahai'n ge, Allah hum sub k hal pe reham fermaye aur hamai'n hidayet ki doulat se nawazey,Ameen
Jaisa k mai'n ney pehley kaha mai'n sachi kahaniya'n talashta hoo'n tu aaj bhi kuch aisa hi huwa kuch aisey logoo'n se mulaqat hui jo 1971 mai'n apney azizoo'n se aisey bichrey k aaj tek un ki aankhai'n intizar ki rah hi daikh rahi hai'n aur jin k aansoo khushk ho chukey hai'n
Hum Kyoon Bhool Jatey Hain
16th December ki tareekh her bar hi khamoshi se guzer jati hey, kisi ko is baat ka ahsas nahi k is din hum ne kia khoya tha, mager main ne daikha hey kitni hi aankhain is din ko yad ker k ashk bar ho jati hainye tariekh-e-mader-e-watan ka wo siha din hey jis din hamara ye watan do-lakht hogaya,kitnoon k apne is ki khoon raizi ka shikar huwey, kitne hi jhurri zadha chehrey apni zindagi k aakhri aiyam is umeed pe kat rahey haink shayed kisi subha derwazey pe dastek ho or wo apne un pyaroon ko daikh sakin jo aaj tek plat k nahi aaye,or hum itne sada lohhain k hamain tu kuch yad hi nahi rehta,
In sey milye ye shahid sahab hai'n jo saqoot-e-Dhaka key waqt apney azizoo'n key sath pakistan aaney key liye nikley they India key rastey Pakis tan ponhchey waha'n qaid-o-bend ki saoubatai'n bhi uthai'n sirf apney chand aehal-e-khana key sath Pakistan ponhchey baqi sub ko apni aankhoo'n key samney kat,tey huwey daikha, aaj 33 saal beet gaye laikin inka routine na badla roz subha gher key bahir aaker kharey ho jatey hai'n is intizar mai'n keh shaid koi aa jaye ya mukhtalif hukumati idaroo'n kko derkhuwastai'n bhijtey rehtey hai'n apney azizoo'n ki bazyabi key liye, laikin ab kon unhai'n samjhaye keh ab koi nahi'n aaney wala aur na hi hukumet mai'n kisi key pas ya hum mai'n sey kisi key pas itna waqt hey keh unkey derd ko samjhey aur ye tu sirf ek insan ki baat ki hey hamarey ird gird na janey aisey kitney log isi muashrey key zulm ki gird ki teh taley dabey hoo'n gey laikin aankhoo'n mai'b basi derd ki pukar sunney wala koi bhi tu nahi'n.
yad rakhne ka matlab din manana nahi hota balke ghaltiyoon se sabaq seekhna hota hey,mager afsoos se kehna prta hey k humsub min hasulquam buhat seedhey,masoom or kamzoor yaddasht Waley hain,hamain tu ye bhi yad nahi k 1st Mohhrem-ul-hram hazret Umer Farooq(R.T.A) ka yoom-e-shahadet hey k jin k barey main Allah k rasool(S.A.W.W) ne far maya (mafhoom) k mairey baad ager koi nabi hota tu wo umer hota,hamain tu aaj ye bhi yad nhi ye mulk-e-khudadad hamrey buzurgoon ne apne hi khoon se ghusl ker k hasil kia tha,hamain tu ye bhi yad nahi k is watan k hasool k liye kitni suhaganin bewa hogain,kitne bachoon ka bachpen yateemi ki nazer hogaya,kitni hi maain apney baitoon se mehroom hogain, kitni behnoon ne apne bhai is mulk ke hasool ki nazer ker diye,
kia kisi ne us baap or bhai ki rooh ki aziyet ko yad rakha jin k samne un ki bahoo baitiyoon ko dumanan-e-deen utha ley gaya kaisa dil trpa hoga jaisey kantoon bhree jhariyoon main kisi atkey kaprey ko khinch lia jaye,un ki chiekhain raat ko soney bhi na daiti hoongi, mager hamain kuch yad nahi hum khush hain hum sirf traqi krna chahtey hain,aagey brhna chahtey hain paisey k hasool ki ek dor hey jis ne hamin her her ahsas se aari ker dala hey bus aage jana hey or wo bhi mazi ko yad rakhey bina,hum bhool jateyhain k
“jo qoumain apni tariekh yad nahi rakhtin unka geoghrafiya mukhtaser ho jata hey
na janekyoon aaj maira dil trap utha hey kia aaj koi Iqbal nahi jiski “Bang-e-dra" ya Zerb-e-kaleem" hamain phir se jaga de hamarey ander wo national sprit paida kerdey jo 1947 main thi jo 1965 main thi,aaj koi Muhammed bin qasim nahi,koi salahuddin aiyubi nahi,kia hamri quam main aisey jialey na paid hogaye hain maira dimagh maira sath nahi de raha main buhat kuch likhna chahta hoon mager main apne ahsasat ko lafzoon main nahi dhal pa raha main bus itna kehna chahta hoon k aaj main be bus zaroor hoon mager na umeed nahi or is dua k sath is tehreer ka ikhtamam kerta hoon k Allah hamain or hamari quam ko tamam ikhtilafat ko bhula k mazi ki ghlatyoon se sabaq seikhne or ek hone ki toufiq ata fermaye.Ameen.
 

Silent Soul

Banned
May 24, 2012
3,420
2,568
113
Karachi
Bhut he achi tehreer hamesha ki tarhan...
Waqai sach kaha ''jo qoumain apni tariekh yad nahi rakhtin unka geoghrafiya mukhtaser ho jata hey'' Hum pata nhi kab iss haqiqat ko samjhenge aur bar bar ki hoi ghalitiyan ko duhrate rahenge
 

cute bhoot

Sss...sssh €|[--]00T
Super Star
Oct 11, 2010
11,997
3,415
1,313
33
wadi-e-jinnat
bro bilkul sahi bat kee mujy khud bohat dukh hota hy jab ham ye sab bhool jaty hian mai sab dosto se request karta hu k ho saky to NASEEM HIJAZI KE BOOK KHAAK AUR KHOON har pakistani read kary taky unhee apni history ka pata chalay unhee pata chaly k hamary buzargon ny ye watan kesy hasil kia aur jo loog pakistan pohnchy wo kesy pohnchy
 

~Bahaar~

Newbie
Dec 22, 2009
20,494
12,426
513
Hmmmmm....sahi farmaya apne bhayi..
Yaad usay rakha jata hai jinke liye humare dil me mohabat ho,jin k liye humare dil me jazbaat hon..]
Srf apni zaban se do chaar kalmay ada kardiye aur baat khatm..
Jo qaum apni tareekh yaad nhi rakhti wo bht jald milyamet hojati hai..
 

Hoorain

*In search of Oyster Pearls*
VIP
Dec 31, 2009
108,467
40,710
1,313
A n3st!
waalaikum assalam
SUM AAMEEN

MASHA ALLAH Beautifulll article Brother :-bd

“jo qoumain apni tariekh yad nahi rakhtin unka geoghrafiya mukhtaser ho jata hey
very well said!
Likhte rhain MAY ALLAH ALWays Bless u AAMEEN :)
 

NXXXS

~` Weird `~
Superior Member
Apr 24, 2012
114,993
11,776
1,113
Bhut he achi tehreer hamesha ki tarhan...
Waqai sach kaha ''jo qoumain apni tariekh yad nahi rakhtin unka geoghrafiya mukhtaser ho jata hey'' Hum pata nhi kab iss haqiqat ko samjhenge aur bar bar ki hoi ghalitiyan ko duhrate rahenge
acha ji!!!!

@TOPIC!
ameen...
 
  • Like
Reactions: Silent Soul

zoonia

TM Star
Jul 1, 2012
1,216
1,073
163
wah mashaAllah sohaail bhai kia khoobsurat tehreer hai apkay jazbaat apki terap apkay lefzon say jhalak rehi hai jo derd mehsoos kia ap nain sab feel hua is main or waqi bbehisi k dor main a gay hain Allah hmain sochnay or amal krnay ki tofeeq day
 
Top