hawa ja kar usay kehna

  • Work-from-home

Dark

Darknes will Fall
VIP
Jun 21, 2007
28,885
12,579
1,313
hawa ja kar usay kehna
jo us nay phool bhejay thay

unhi phoolon say ab khushbu nahin ati
bus us ki yaad ati hay
usi ki yaad main hum ab
na jeetay hain na martay hain
bus us ki aag men hur waqt jaltay hain
badan say jo lipat kar
rooh tak ko jalati hay
magar us ko khabar hay kya
keh jis ki yaad men
tanha sulaghte hain
ye jo khud ko jalatay hain
usay kya yaad atay hain
bata kuch to
humen woh yaad kartay hain
keh jis ka naam hum aksar
sar-e-sahil likha kartay thay
jis k wasal ki khatir
samandar ki hawaon k sabhi dukh jheela kartay the
kabhi hum apni nazron ko
samandar ki machalti lehron per rakh kar
ufaq k par aksar dekha kartay thay
usay kehna!
hum us ko yaad kartay hain
ye ankhen us ki furqat men
humen ab khoon rulati hain
satati hen
hum us ki yaad say dil ko bahut aabad rakhtay hain
hum us k laut anay ka
yaqeen rakhtay hain
us ko yaad kartay hain
usay kehna!
usay kehna usay hum pyar kartay hain.
 
  • Like
Reactions: nrbhayo
Top