Har Rah Hai Teri Rah Piya

  • Work-from-home

*Sarlaa*

Moderator
VIP
Apr 16, 2013
17,846
7,109
363
32
Pakistan.. karachi
Nahi milne ki koi rah piya
Hemein maar gayi teri chah piya

Hum khaak nashinon kay dam se
Aabad teri dargah piya

Yeh chokhat hai mere Murshid ki
Woh jati meri rah piya

Kuch kehna nahi mein ne lab se
Mere haal se tu Aagah pia

Teri rah to meri Manzil hai
Mujhe kon kare Gumrah pia

Jis baas se dunya ghafil hai
Tu us se bhi aagah piya

Sab simtein teri simtein hain
Har rah hai teri rah piya

Sab tere qurb kay mosam hain
Kia zahid, sawab gunah pia

Yeh kam ulma be haza hai
Arshad se aap niha pia

****************************
 
Top