Hai duaa yaad magar harf-e-duaa yaad nahiin

  • Work-from-home

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Hai duaa yaad magar harf-e-duaa yaad nahiin
mere naghmaat ko andaaz-e-navaa yaad nahiin

main ne palakon se dar-e-yaar pe dastak dii hai
main vo saahil huun jise ko_ii sadaa yaad nahiin

main ne jin ke liye raahon mein bichhayaa thaa lahuu
ham se kahate hain vahii ahad-e-vafaa yaad nahiin

kaise bhar aaiin sar-e-shaam kisii kii aankhen
kaise tharraae charaaGon kii ziyaa yaad nahiin

sirf dhundhalaa_ii sitaaron kii chamak dekhii hai
kab huaa kaun huaa kis se Khafaa yaad nahiin

zindagii jabr-e-musalasal kii tarah kaTatii hai
jaane kis jurm kii paa_ii hai sazaa yaad nahiin

aao ik sajdaa karen aalam-e-madhahoshii mein
kahate hain ke "Sagar" ko Khudaa yaad nahiin
 
  • Like
Reactions: Fiza Ahmad

Fiza Ahmad

Regular Member
Jun 18, 2009
65
58
18
Kashmir
very nice

lekin is ghazal mein jo dusra sher hai " meane palkon se........" is mein saahil ki jagah saayil hona chahiye.
 
Top