Gaun Ki Kahani Bahen Ki Zubani

  • Work-from-home

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
kiya kerain perdese main ,, time nikalana bera hi mushkal hota hay ,, phir bhi ,kabhi kabhi online aaing,
g sai bule ap my b ye contest ki waje se thura time derun ny tu my b kam hi ata hun
ap my ne mere bht se threads me tag kia hy time mile tu zarur parna
 
  • Like
Reactions: mirza37

Aayat

TM Star
Dec 9, 2011
1,020
737
613
Assalam Alaikum
Gaun Ki Kahani Bahen Ki Zubani
main bohot pehle jab chota tha tab ek baar gaun gaya tha lekin meri bahen ka to aksar gaun jana hota hai, main to chuttian yahin shahar me guzarta hun ya phir kahin ghumne dusre shahar chala jata hun, jab ham dono ki wapsi wapas apne ghar hoti hai to ham dono ek dusre ko safar ke halaat tajrubaat sunate hain aur kya seekha kya dekha sab share karte hain, jab bhi bahen gaun se wapis hoti hai to wahan ki bohot saari khubian wahan ki khush haali wahan ke manazir wahan ke logon ka bholapan saadgi ke bare me bayan karti hai to dil karta hai ek baar zaroor gaun phir se ho aaun lekin jaise hi chutti milti hai kuch na kuch dusra programe ban jaata hai aur main gaun nahi jaa pata, main ne bahen ko aate hi ye nazm sunai
ay gaon se aany waly bata
ay gaon se aany waly bata
kia haal hi mery gaon ka
pipal ki thandi chhaon ka
sharmili shokh nighahon ka,
un naz bhari adaon ka,
ay gaon se aay waly bata ,,,ay gaon se aany waly bata
ajkal humary gaon main kiasa swera hota hi,
kia ab bhi unky aangan main pholon ka basera hota hi,,
panchi geet sunaty hain jab door andhera hota hi,
unky dil main kia ab bhi meri yaad ka dera hota hi,,,
ay gaon se aay waly bata ,,,ay gaon se aany waly bata
kia ab gaon ki galion main bachy shor machaaty hain,,
pyari pyari baton se sab ka dil behlaaty hain,,,
guddy our guddi ki shaadi bhi karwaaty hain,,
our chhuti k din kheton main maan baap ka haath bataaty hain,,
ay gaon se aay waly bata ,,,ay gaon se aany waly bata
kia ab bhi humaary khaiton k samaan syhaany hoty hain ,,,,
kia ab bhi jwaanon k lab par waisy traany hoty hain,,,,
hum khel jo khela karty thy wahi khel puraany hoty hain,,,,
ay gaon se aay waly bata ,,,ay gaon se aany waly bata
kia ab bhi gaon ki naarian paani bharny jaati hain,,,
apny sundar pairon ki payel bhi chhankaati hain,,,
sab sakhiaan ik dooji ko dil haal sunaati hain,,,,,
our apny nazak saron par teen chaar ghary uthaati hain,,,
ay gaon se aay waly bata ,,,ay gaon se aany waly bata
kuch to mujhko haal suna meri mehbooba matwaali ka,,,:D
jheel si jiski aankhain thin,naagan zulfon wali ka,,,
phool sa jiska chehra tha,masoom si bholi bhali ka,,,
jo Fazal k ishq main pagal thi us pagal dilwali ka,,,
kia woh ab bhi takti hi meri raah,,,,,,,,,? :p
ay gaon se aay waly bata ,,,ay gaon se aany waly bata
to us ne tasweer nikali apni purse se, is baar usne kuch tasweeren bhi apne saath layi jo usne wahan li thi aur phir ek tasweer par usne gaun ka manzar kheencha to main bhi dekhta hi reh gaya aur sun kar dil shadeed khwahishmand hua ke is baar to jana hi jana hai
manzar kitna pyara tha, bahen tasweer dikha kar kehti hai ke bhai dekho jab main yahan gayi to ye manzar kitna pyara laga mujhe safed badal jheel ke kinare chote chote ghar aur yahan ki thandi hawa se ek sakoon milta hai bhaai aur yahan par khudrati zarayon se hi hawa milti hai bade bade pedh hain, jheel kinaron se kitni thandi khudrati hawa aati hai, ye kachi sadken dekh rahe ho in se mitti ki khushbu mehsoos kar sakte hain, choti choti nadian, talaab aur unme khelte parinde, ye safed batkhen dekho kitni pyari hain ye dekho rakham rakham ke phool paude, chirhion ki awaazen oh kitna hi pyara manzar hota hai bhai aur ye sab yahan shahar me kahan dekhne ko milta hai kahan itna sukoon hai yahan, aur gaun mein larkian kuwen se peene ka pani khud jaa ke laati hain aur shahar ki tarah larkion ko bahar dekh kar koi cher char bhi nahi karta balke sab apne apne kamon me masroof rehte hain, bohot hi khush aqlaaq loog hote hain gaun wale, ye jo pani ka matka leke kuwen ke qareeb me hai ye meri saheli ban gayi hai aur wo jo piche chote se pyare se pul se aa rahi hain ye uske paros ki larkian hain wo bhi bohot achi hain, inka libaas bhi kitna pyara hai na bhaai aur bhai ap gaun ki saaf safai bhi dekho aur ye ghar dekho ye jhopdian kitni pyari hain, mitti aur ghaans se inko banaya gaya hai isme garmi ke mausam me bhi thandak hoti hai aur phir iski sajawat bhi dekho, kuch logon ne to chat rang birangi banayi hai kawelion se sajaai hai,
main bas ye tasweer dekhta raha aur bahen ki baten sunta raha aise lag raha tha main khud wahan maujood hun aur is manzar ko khud wahan ho kar dekh raha hun aur jo kuch bahen ne bataya wo mehsoos kar raha hun, itne me ammi ne awaaz di ke khana laga hai kha lo phir ham dono wahan se uthe aur main bahen se kehne laga is baar jo chuttian hongi main bhi tere sath chalunga gaun
doston ye rahi choti si koshish is manzar par meri manzar kashi :p
hope ke ap sab ko pasand ayegi in sha Allah
ahan very nice bht achi koshish

Best of luck!
 
  • Like
Reactions: مسلم

Silent Soul

Banned
May 24, 2012
3,420
2,568
113
Karachi
bht shukria
bhaai tahreer tu my ne khud likhi hy but nazm my ne chun k share kia hy
ap bht din baad aye hu shayd busy hunge[DOUBLEPOST=1347213243][/DOUBLEPOST]

shukria
my gaya hun gaun aur shahar se usku bht behtar bi paya hun aur idar saudi me b my koi bade shahar me ny hun balke ye b ek gaun ya phir town keh sakte ap
Acha app KSA mai ho :)
hmm....1st round ka result agaya hai?
 
  • Like
Reactions: مسلم

Sabah

VIP
Nov 20, 2008
9,085
8,117
1,313
Peshawar
Walaikum Salam Wrwb!
actually mai jub koi urdu thread read kero khaas ker pure urdu se tu buhut mistakes hote hain samajhne mei aapka story ko break break se padha but khair end mei yahi samjha k last lines mei aapke sister jho baate photo se bayan ker rahe the voh above de gaye hue topic ka tha so us se jho smiliarity hain story ki behtereen the buhut acha likhe aap.
 
  • Like
Reactions: مسلم

*Muslim*

TM Star
Apr 15, 2012
3,863
4,567
513
saudia
Walaikum Salam Wrwb!
actually mai jub koi urdu thread read kero khaas ker pure urdu se tu buhut mistakes hote hain samajhne mei aapka story ko break break se padha but khair end mei yahi samjha k last lines mei aapke sister jho baate photo se bayan ker rahe the voh above de gaye hue topic ka tha so us se jho smiliarity hain story ki behtereen the buhut acha likhe aap.
bht shukria break break ke baad parhke bi apku meri kahani pasand ayi :p
 
Top