ek shaks andheron main ujalon ki tarha tha

  • Work-from-home

sosweet33

Newbie
Apr 17, 2008
14
6
0
pathar tha baraf k gaalon kee tarha tha
ek shaks andheron main ujalon ki tarha tha

khuwabon ki tarha tha na khayalon ki tarha tha
woh ilm-e-riyazi k sawalon kee tarha tha
(ilm-e-riyazi=maths)

uljha huwa aisa kabhi haal ho nahein paya
suljha huwa aisa k misaalon kee tarha tha
(misaalon=examples)

woh mil to gaya tha magar apne he muqaddar
shatranj kee ulji huwee chaalon ki tarha tha

wo rooh main khusbhu kee tarha hogaya tehleel
jo door bohut chand sitaron kee tarha tha
(tehleel=desolve)
 
Ocean-of-love

Hot Shot
Nov 13, 2014
23,099
5,146
513

Nyc.
 
Top