Ek Haqeeqat

  • Work-from-home

melody1000

TM Star
Nov 13, 2008
1,085
644
813
Bangalore,India
awesome nasir...its good to read such poetry after so long and i'm glad that your was one of the first posts i read after logging onto TM after so many months..
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
awesome nasir...its good to read such poetry after so long and i'm glad that your was one of the first posts i read after logging onto TM after so many months..
shukran sangitha :)
hame bhi badi khushi huyi apko yahan dekh kar
 

Prince-Farry

TM Champ
Mar 19, 2008
62,319
25,810
1,313
walakumsalam wrwb...
wooooooow...mashaAllah...bht hi acha likha hai bro....and bht acha msg hai ...
Insaaf Ki Nahi Rahi Aub Dunia Yaron
Logon Ke Badalte Nazriyat Likh Raha Hun

Insano Ki Shakl Me Darinde Base Hain Yahan
Insano Me Basi Haiwaniat Likh Raha Hun


superb bro...
jazakaAllah
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
walakumsalam wrwb...
wooooooow...mashaAllah...bht hi acha likha hai bro....and bht acha msg hai ...
Insaaf Ki Nahi Rahi Aub Dunia Yaron
Logon Ke Badalte Nazriyat Likh Raha Hun

Insano Ki Shakl Me Darinde Base Hain Yahan
Insano Me Basi Haiwaniat Likh Raha Hun


superb bro...
jazakaAllah

Allahi barik feek :)
bohot bohot shukrya bro
aap ke aane se is thread me char chand lag gaye:p
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
wssalam u alaikum

mashaAllah..bhai ap ne haq baat likhi...boht acha mozu tha..:-bd
isi ki tahra ki tamiri shairy mazeed likhte rahen:)
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
wssalam u alaikum

mashaAllah..bhai ap ne haq baat likhi...boht acha mozu tha..:-bd
isi ki tahra ki tamiri shairy mazeed likhte rahen:)
bohot bohot shukriya behna :)
zaroor behna aise sanjeeda mauzooat par mazeed likhne ki koshish hai
Allah asaan farmaye Aameen
 

wadoha

Newbie
May 6, 2014
2
1
1
Lahore, Pakistan
Assalamu Alaykum Wrwb :)
kaise hain doston umeed hai sab theek honge
apki khidmat me bohot dino baad ek choti si koshish lekar ham hazir huye hain
ye poetry ham bohot dino pehle likhe the lekin TM me nahi hone ki wajhe se yahan share nahi ho payi

ye aaj ke mushre par hamne likha hai jo hamne mehsoos kiya hai waise ye mukhtasar sa hame laga aur bhi likhna tha lekin zyada taweel parhne me bhi mushkil hojata hai isliye phir soche iska dusra part bhi bana denge baad me inshAllah

jaise ke hamari koshish hoti hai ke acha sa msg den apne toote phoote kalaam ke zariye
to ye rahi hamari ek koshish umeed hai aap sab ko pasand aayegi



Ek Haqeeqat




Main Ek Haqeeqat Likh Raha Hun
Mere Dil Ki Kaifiat Likh Raha Hun

Dil Tham Ke Parhna Baton Ko Meri
Daur e Hazir Ki Wazahat Likh Raha Hun

Jo Dekha Hai Maine Zamaane Mein
Aankhon Ki Shahadat Likh Raha Hun

Rishwat Ke Bagair Koi Kaam Nahi Banta Yahan
Ragrag Me Basi Rishwat Likh Raha Hun

Khate Hain Yatimo Ka Maal Aur Mathe Par Bal Nahi
Yateemo Ki Lut'ti Amanat Likh Raha Hun

Zulm Dekh Kar Muskurate Hain Ye Loog
Inke Cehron Ki Laanat Likh Raha Hun

Insaaf Ki Nahi Rahi Aub Dunia Yaron
Logon Ke Badalte Nazriyat Likh Raha Hun

Insano Ki Shakl Me Darinde Base Hain Yahan
Insano Me Basi Haiwaniat Likh Raha Hun

Siasat Ki Kursi Hai Gareebon Ke Kandhon par
Gareebon Ki Miskini Zillat Likh Raha Hun

Kanoon To Rehgaya Bas Ab Kitabon Me Mehdood
Wardi Ki Main Asaliat Likh Raha Hun

Fashion Ke Naam Par Aurton Ko Karte Hain Neelam
Europe Ke Gande Khayalat Likh Raha Hun

Beti Ki Ab Nahi Rahi Izzat O Iffat Yahan
Har Jagah Phaili Shawat Likh Raha Hun

Dil Ko Aub Kisi Pe Bharosa Nahi Raha
Khud Pe Guzri Museebat Likh Raha Hun

Aaj Bhi Waqt Hai Thamlo Daman e Islam Logon
Daar -e- Faani Se Najat Likh Raha Hun

Aur Kya Likhun Kitna Main Likhun Nasir
Qalam Se Mere Main Sadaqat Likh Raha Hun



 
Top