Dil-e-naadaan tujhe huaa kya hai
aakhir is dard ki dawaa kya hai
Hum hain mushtaaq aur wo bezaar
ya ilaahii ye maajaraa kya hai
Main bhi muunh mein zabaan rakhata hun
kash puchho ki mudda kya hai
Jab ki tujh bin nahin koi maujood
phir ye hangama, aye Khuda kya hai
Humko unse wafa ki hai ummid
jo nahin jaante wafa kya hai
aakhir is dard ki dawaa kya hai
Hum hain mushtaaq aur wo bezaar
ya ilaahii ye maajaraa kya hai
Main bhi muunh mein zabaan rakhata hun
kash puchho ki mudda kya hai
Jab ki tujh bin nahin koi maujood
phir ye hangama, aye Khuda kya hai
Humko unse wafa ki hai ummid
jo nahin jaante wafa kya hai