Concept of god in major relegions. Part 1

  • Work-from-home

zulqarnain

~ A Man Of Two Ages ~
VIP
Dec 28, 2008
8,004
2,473
113
31
Karachi
CONCEPT OF GOD IN MAJOR RELEGIONS:-
ASSALAM-O-ELAIKUM TO ALL MY MUSLIM AND NON-MUSLIM BROTHERS AND SISTER...
I ZULQARNAIN HAVE ALHAMDULILAH RESEARCHED ON THE ABOVE TOPIC.
IN THE END OF MY RESEARCH I CAME TO KNOW THAT ALMOST ALL THE MAJOR RELEGIONS TALK ABOUT A SINGLE ALMIGHTY...
MOST PEOPLES CALLS ALMIGHTY AS "
ALLAH".
SOME CALLS HIM "
PARAM-ATMA"
SOME CALLS HIM "
FATHER"
SOME CALLS HIM "
KARTAAR"
BUT THE MEANINGS OF ALL OF THE ABOVE WORDS IS SAME THAT IS "
A SINGLE ALMIGHTY WHO HAD CREATED EVERY THINGS"

Now Alhamdulilah i have some QUTATIONS from the Holy books of major relegions to prove that most of relegion`s scriptures talk about a single SUPER POWER or ALMIGHTY...
Islam is the only relegion whose believers strictly believes in the concept of a SINGLE SUPER POWER...
PLEASE READ DOWN CAREFULLY...
======================================================================
ISLAM MEIN KHUDA KA TASSAWER:-
Islam aik ahm SAAMI mazhab hai.Duniya bhar mein is k mann-ny walo ki ta`daad aik arab chalis karor se ziada hai.Islam ALLAH ki marzi k aagy jhuk jany aur isi per amal karny ka naam hai.Tamaam Musalmaan Qur`an pak ko kalam-e-Khuda manty hain jo HAZRAT MOHAMMAD(S.A.W.W) per nazil hua.Islam batata hai k ALLAH ne har ehd mein ANMBIYAA(E.S.) mab`oos farmai jinho ne ALLAH ki wahdaaniyat ka dars diya...aur ye silsila HAZRAT ADAM(E.S.) se shuru ho kar MOHAMMAD(S.A.W.W) per aa kar mukammal hua.Islam k mann-ne waly AQEEDA-e-TOHEED ki sakhti se pairwi karty hain.
Lafz Khuda ki mukammal tareef Qur`an pak mein ALLAH ne Surah IKHLAAS mein biyaan farmai hai..
"keh dijiye:woh ALLAH aik aur yakta hai.ALLAH bey qaid-o-lazwaal qaim bizaat ha.Na is ne kisi ko janna na is se koi janna geya.Aur koi bhi is ka hamsar nahi hai" [Surah Ikhlaas,verse 1-4]
isi tarha qur`an mein aik aur jaga hai,
"woh khilata hai isy khilaya nahi jaata" [Surah in`aam, verse 14]
Islamic scriptures k mutabiq ALLAH ko araam ya neend ki koi zaroorat nahi..
"woh zinda aur sub ka nigehbaan hai,isy oongh aati hai aur na neend.Zameen aur aasmaano mein jo kuchh hai is ki malkiyat hai" [Surah Baqra, verse 255]
Islam meein ye baat wazeh tor pe beyaan ki gai hai k ALLAH kisi INSAAN k roop mein is duniya mein nahi tashreef lain gey aur na hi koi ALLAH ki manmind hai...agar koi insaan khudai ka dawaa karta hai to woh sarasur ghalat hai....
"is ki manind koi cheez nahi" [Surah Shura,verse 11]
Islam mein musalmaan ye baat bilkul nahi soch sakty k ALLAH zara baraber bhi zulm farmata hai ya koi aisa kaam sir anjaam karta hai jo k uski shaan k khilaaf ho...
"yaqeenan ALLAH zarra baraber zulm nahi karta" [Surah Nisa,verse 40]
ye baat bilkul durust nahi k ALLAH jhoot bol sakta hai ya ghalti karsakta hai ya koi baat bhool sakta hai...
Qur`an mein irshaad hai

"mera rab na chookta hai na bhoolta hai" [Surah Taha,verse 52]
Allah k siwa koi bhi mabood nahi hai....wo hi har cheez ko palny wala uski hifazat karny wala aur har cheez per qudrat rakhny wala hai...\
"be-shak ALLAH har cheez per qadir hai" [Surah Baqra,verse 106]
[Surah Baqra ,verse 109] [Surah Baqra ,verse 284]
[Surah AL-Imraan ,verse 29] [Surah Nehl , verse 77]
[Surah Fatir , verse 1]
mazeed irshaad hai
"woh jo chahy isy khoob anjaam deny wala hai" [Surah Burooj,verse 16]
ALLah is baat ko bhi clear farmaata hai Qur`an mein k agar us k siwa koi aur Khuda bhi hota to kiya hota!
"agar aasmaan-o-zameen mein ALLAH k siwa aur bhi mabood hoty to ye dono darham barham ho jaty,pus ALLAH parwardigaar arsh per is wasf se paak hai jo ye mushrik biyaan karty hain"
[Surah Anmbiyaa , verse 22]
Christian believe k barkhilaaf ALLAH ne is baat ko bhi Qur`an mein beyaan farmaaya hai k ALLAH ka koi beta nahi hai.
"ALLAH ne kisi ko beta nahi banaya aur na hi is k sath koi mabood hai warna har mabood apni makhlooq ko le kar alag ho jata aur baaz ko baaz per charhai kar dety jo insaaf ye batlaty hain ALLAH in se paak hai"
[Surah Mominoon , verse 91]
Waqt guzarny k sath sath aksar mazhabi kutub aur saheefoon ko loogo ne apny mafadaat k liye in mein rad-o-badl kar di.Lehazaa bohat se mazahib ka aqeda TOHEED se badal kar PARASTi mein tabdeel ho geya.
chunachy ALLAH farmaata hai....
"pus halakat hai in logoo k liye jo apny hathoon ki likhi kitaab ko ALLAH ki janib se kehty hain ta-k is k zariye na cheez ma-aw-za wasool kar sakein.Pus halakat hai in k liye is likhi hui kitaab ki waja se aur halakat hai is kamai ki waja se"
[Surah BAQRA ,verse 79]

==========================================================================================

CONCEPT OF GOD IN HINDUISM:-
Aryai mazahib main sab se maqbool tareen mazhab HINDUMAT hai.
HIndu haqiqat main aik Farsi lafz hai jo wadi-e-sinhd se aage mojood khitey k rehne walo ko kaha jata hai.
Hindumat bohat sare aqeedon ko mila kar aik local islah k tor per raij hai
In aqaid main se ziadar tar ki muqadas kitabain WAID, APANSHAD, aur GEETA hain.
ACCORDING TO COMMON HINDU:-
Aam tor per Hindu mazhab ko aik kasrat parast mazhab samjha jata hai.Yaqeenan bohat se Hindu kai Dewta aur Dewioon ki pooja karty hain aur un per aqeeda rakhty hain aur is tassawur ki tasdeeq bhi karty hain.Ba`az Hindu 3 Dewtaoon ka nizaam jab k Hindu dar haqeeqat 33 karor Dewtaoon ko manty hain.Ta-ham parhy likhy Hindu jo apni mazhabi kitabo ko dhang se parhy huey aur isko samjhy huey hain woh is baat per mutafiq hain k Khuda sirf aik hi hai aur aik hi Khuda ki Ebadat karni chahiye...
"woh yaqta hai uska koi shareeq nahi hai" [Chhandogeya , Upanashed , chapter6 , part2 , shalok1]
Ab main aapko kuchh proof deta hoon k Hindu Dharam dar-asal aik khuda per yaqeen rakhny ka dars deta hai...
ACCORDING TO WAID:-
WAID se saboot deny se pehly main batana chaho ga Waid k baary mein.
Waid ko Hindu Dharam ki sub se ziada unchi kitaab manna jata hai.
ba`az Hindu scholors k mutabiq
"ye Khuda ka kalaam hai jo lag bhag 4000 saal se pehly utaara geya tha aik RISHI(Peghamber) per"
Waid ki ahm 4 iqsaam darj-zail hain...
REG-WAID
YAJR-WAID
SAAM-WAID
UTHER-WAID
REG-WAID
REG-WAID mein KHUDA ka jo tassawor hai woh Qur`an mein KHUDA k tassawor se mumaselat rakhta hai
"erfaa KHUDA-e-WAHID ko kai namoon se pukaarty hain"
[REG-WAID , kitaab1 , hamd164 , shalook46]
"Khuda aik hai aur ulmaa isy mukhtalif naamo se pukaarty hain"
[Reg-Waid10:115:5]
YAJR-WAID
YAJR-WAID bhi KHUDA ka tassawor paish karti hai jo Qur`an se mumasilat rakhta hai...
"is ka koi aks , tamsaal nahi" [Yajr-Waid,chapter32,shalok3]
isi shalok mein mazeed likha hua hai k...
"woh kisi ka zaida(jana hua) nahi hai.Woh parastish k qabil hai"
Yajr-Waid mein ye bhi likha hua hai k...
"Woh bey jism aur munzah hai" [Yajr-Waid40:8]
UTHER-WAID
Uther-Waid bhi baqi Waidaas ki tarha aik hi Khuda ka tassawor paish karti hai.
"yaqeenan Khuda Azeem hai" [Uther-Waid,kitaab20,chapter58,shalok3]
"be-shak,sooriya!tu azeem hai, Aaditeya!yaqeenan tu azeem hai,choonkey tu azeem hai is liye teri azmat qabil-e-sataish hai.Khudaya!tu be-shaq waraib azeem hai"
[Uther-Waid,semhata,volume2,page9-10]

AB HUM BAAT KARTY HAIN HINDU DHARAM MEIN SUB SE ZIADA PARHI JANY WAALI KITAAB YANI "BHAGWAT GEETA" KI...
ACCORDING TO BHAGWAD GEETA:-
Bhagwat geeta Khuda ki wahdaaniyat ka tazkara kuchh youn karti hai...
"jin ki aqal maadi khwahishaat salb kar leti hai woh neem Dewtaoon(Autaar aur Zabardast) insaano k aagy sir jhuka lety hain aur apni marzi k mutabiq pooja path k tor tareeqy aur asool apnaty hain"
[Bhagwad Geeta.chapter7,Shalok20]
Geeta mein mazeed aik aur maqam per likha hua hai k...
"woh Bhagwaan paida hi nahi hua woh amar hai aur saari qainaat ka malik hai"
[Bhagwad Geeta,chapter10,Shalok3]

AB BAAT KARTY HAIN HINDU DHARAM KI AAKHRI AHM KITAAB YANI "UPANISHED" KI
ACCORDING TO UPANISHED:-
UPANISHED BHI HINDU DHARAM KI AIK AHM KITAAB HAI.
Upanished k ye Shalok Qabil-e-Ghor hain...
"woh yakta hai is ka koi shareek nahi" [Chhund-o-Geya Upanished,Ch.6,part2,Shalok1]
mazeed likha hua hai k...
"is k maa baap hain na koi maalik aur aaqa" [Shuait-Shuaitera Upanished,Ch.6,Shalok 9,part 2 page362]

YAHOODIAT MEIN KHUDA KA TASSAWOR:-
YAHOODIAT AHM SAAMI MAZAHIB MEIN SE AIK HAI.ISKI PAIRWI KARNY WALY YAHOODI KEHLATY HAIN AUR HAZRAT MOOSA(E.S.) KI RISAALAT PER EMAAN RAKHTY HAIN.
TORAAT KI FIFTH KITAAB MEIN HAZRAT MOOSA(E.S.) K EBRAANI FARMAAN KA TARJUMA HAI...
"sun ay Israil ! k Khudawand hamara Khuda wohi akela Khuda hai"
[Toraat-Tasniya sharah,Ch.6,verse4]

chand mazeed aayaat paish kiye dety hain...
"main haan main hi Khudawand hoon aur mery beghair koi bachany wala nahi"
Kalaam Muqadas,Asheya,Ch.43,Verse11]
mazeed hai k...
"main hi Khudawand hoon aur doosra koi nahi,mery siwa koi Khuda nahi"
[KalaamMuqadas,Asheya,Ch.45,verse5]
"main Khuda hoon.aur.koi Khuda nahi,aur meri manind koi nahi"
[KalaamMuqadas,Asheya,Ch.46,verse9]
ye aayaat Yahoodiat mein BUT PARASTI ki mukhalifat karti hain....
"Tery liye mery hazoor koi doosra mabood na ho.Tu apny liye koi tarashi hui cheez ya kisi cheeze ki soorat jo ooper aasmaan mein ya neechy zameen mein ya zameen k nichy paani mein hai mat bana.Tu in ko sajda na karna aur na inki khidmat karna kiyoun-k main Khudawand tera Khuda-e-ghyoor hoon"
[Toraat,Khurooj,Ch.20,verse3-5]
aisa hi paighaam Toraat ki fifth kitaab mein mojood hai...
"mery hazoor tery liye koi doosry mabood na hoon tu apny liye tarashi hui moorat ya kisi aisi cheez ki soorat na banana, jo ooper aasmaan mein ya neechy zameen per ya zameen k nichy paani mein hai.Tu is ko sajda na karna aur na is ki khidmat karna kiyoun-k main Khudawand tera Khuda-e-ghyoor hoon"
[ToraatTasniya,Sharah,Ch.5-7-9]
=================================================================================================================
SIKH MAZHAB MEIN KHUDA KA TASSAWOR:-
Sikh mazhab Hindu mazhab ki aik branch hai, lakin ye duniya k bare mazahib main aata.jis ki ibteda 15th centry main BABA GURU NANAK ne ki thi.
iski bas Punjab ka ilaqa hai, jiska matlab hia panch dariyaon wali zameen

Guru Nanak aik Khatri means Hindu khandan main paida howe lakin wo Islam or Muslamano se bohat ziada impress thy
DEFINITION OR SIKH RELIGION

Word Sikh sanskrat lafz hai jis k meaningz shagird(student) k hain. Sikh mazhab main 10 guru hain jin main sab se pehle guru Nanak or akhri Guru Gobind Singh hain. Sikh mazhab ki kitab SIRI GURU GRANTH hai.\

MOL MANTAR--SIKH MAZHAB K BASIC AETAQADAT
koi b sikh apne mazhab k mutabiq Khuda ki behtreen tareef MOL MANTAR(sikh mazhab k buniyadi aqaid) k hawale se he kar sakta hai jo k Guru Granth Sahab k
start main pehli jild ka pehla manter hai jo JAPOJEE kehlata hai

" aik Khuda wajood rakhta hai wo he haqiqi khaliq hai jo khof or nafrat se azad hai wo nazaida or lazawal hai wo qaim be-al-zat, Azeem or Raheem hai "
Sikh mazhab apne manne walo ko same too same Aqida-e-Toheed ki hidayat karta hai.
Ye aik buzurg-o-bartar khuda per yaqeen rakhta hai, jo physical surat main nahi hai jise aik "OMKARA" kaha jata haijo kuch sifat rakhta hai jese

KARTAR:- Khalq karne wala
SAHAB:- Malik , Aaqa
AKAL:- Lazawal
SATNAM:- Ba-barkat
PARWARDIGAR:- Palne wala
RAHEEM:- Rehem karne wala.Meherban
KAREEM:- Sakhi, Karam karne wala
ise WA-E-GURU b kehte hain jiska matlab HAQIQI KHUDA hai

Sikh mazhab sakht toheed parast hone k sath sath OTRA WAD( khuda ka kisi important kam karne k liye insani roop mainjalwa gar hona) per b yaqeen
rakhta hai

ALLAH Subhna-o-Tala kabhi b otar ki surat main zahir nahi hota. Sikh mazhab BUT PARASTI ka b shadeed mukhalif hai
GURU NANAK PER KABEER K ASRAT
Guru nanak SANT KABEER k kalam se bohat impress the. Siri Guru Granth kmain kai jaga Kabeer k ashar mojood hain

Duk main karain samerna sukh main kare na kowey
sukh main karain samarna to dukh kahey ko howey
(Mushkil or musibat main to har koi khuda ko yaad karta hai. lakin aram or khush-ali main koi ise yaad nahi karta, agar aram or khush-hali main b ise
yaad kiya jaye to mushkil or musibat aaye he kyun? )

Is shair ka QURAN-E-PAK KI is ayat se comparison karain

" Or jab insan ko koi takleef pohanchti hai, to apne Rab ki taraf rajoo kar k ise pukarta hai. phir jab wo ise apni koi nemat deta hai to jese pehle pukarta tha bhool jata hai or ALLAH k liye shareek banane lag jata hai.

========================================================================

 

zulqarnain

~ A Man Of Two Ages ~
VIP
Dec 28, 2008
8,004
2,473
113
31
Karachi
miss a.y.karwa aap plz is ka part 2 bhi parho... us mein Christianity mein Khuda ka tassawor beyaan kiya hai...
 

mazharrafiq

Newbie
Apr 20, 2009
3
0
0
Plannet Earth
Be shak hum sub zumedar hain, Allah ki sachaie ko door door tak puhnchane ke, Allmighty bless u brother
Jis ne Allah ki wahdaniyat ka dosrron ko sabaq diya, us ne swab ka kaam kiya,
Aur Allah ki Ayaat ko osroon tak punhchao
Allah tum ko es ka ajar de ga
 

zulqarnain

~ A Man Of Two Ages ~
VIP
Dec 28, 2008
8,004
2,473
113
31
Karachi
jizakALLAH khairan allz...

plz aap sub logoon se meri guzarish hai k apny sub frndz khasoosan non-muslims ko ye link dain ta-k woh bhi ALLAH ki wahdaniat ko qabool kar lain aur sub logoonb mein sha`oor baidaar ho jai...
Thanking u all
Zulqarnain

============================ALLAH-HAFiZ=============================
 
Top