Coffee With REDROSE- ZEE LEO

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Tumhare zaati asool matlab principles kya hain?
Har kisi se ache se pesh aana chaye aur sub ke pyar ka jawab pyar se dena chaye . jis kisi ko mushkil main dekhoo uski madad karoo chahey jaise bhi karoo kuch na kar sakoo toe duwa karoo. kisi ko dukh na doo. kisi aisi baat pe behas na karoo jis ki knowledge na ho. sub ki respect karoo is terha tumhari khud ki respect hogi . jo tumhare sath bura karey usko just ignore kar do.. bus kafi hain? :p
 

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
zee ap k nazdeek insan kise kehte hn..??
 
  • Like
Reactions: Zee Leo

Qawareer

میرا خدا ہر روز مجھے نئی خوشیاں دیتا ہے
VIP
Sep 1, 2010
22,663
10,941
1,113
dunya ki sb se khatarnak makhlok...?
 
  • Like
Reactions: Zee Leo

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Aasman se gira , khajoor main atka, ka matlab explain karen?
Lolzz is ka mean hai ke aik admi neeli cow le ke ja raha hota hai :p usko raste main kuch dakoo lotne ki aur cow cheeney ki koshish karte hain woh jaan chura ke neeli cow ko le kar bhag jata hai magar kuch agey jakey uski neeli cow khud us se rassi chura ke bhag jati hai .. hahaha aik musebat se bach ke dosri musebat main phans jata hai bichara :D
 
  • Like
Reactions: Silent Girl

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Ye Coffee main mera shayad last day hai so main kal waise bhi nahi aa paon ga so if anyone here with questions so ask me fast otherwise my secretes will turn off soon ;)
 

saviou

Moderator
Aug 23, 2009
41,203
24,155
1,313
Assalamu Alaykum Wrwb :)
masha Allah bohot hi acha jaa raha hai apka interview
mazirath k sath k ham apse last me sawal puch rahe hain
wo isliye k yahan bohot bheed thi aur hamare sawal us bheed me gum hojate :)

to mohtarm Zeeshan Shams aap thora apne naam k maine batayen
aap to shayari bhi karlete hain to kuch apki qalam se likha bhi hame sunaden
apki zindagi ka sabse yaadgar waqaya sunayen jisse jab bhi yaad karo khushi hoti hai
aur koi aisa waqaya jisse ap ghamgeen hote hain
kya aap ko cooking aati hai agar haan to kya acha bana lete hain
agar ham apke mehman banjayen to kya khilana pasand karenge
masha Allah mohtarma bohot hi ache andaz me maqool jawab
apko tohfe me kya pasand hai matlab aap ko agar koi tohfa dena chahe to aap kya umeed rakhte hain ya apko kya acha lagta hai
aur apko agar tohfa dena ho kisi ko to kya dete ho aur hame dena ho to kya denge
aap kis se apni baten share karte hain aur TM par agar kisi se share karna ho to kisse karenge
kya aap apna koi kaam karne se pehle mashwara lete ho aur kisse lete ho
agar apse koi rai puche mashwara puche to kya aap unhe deto ho aur uski kya kaifiat hoti hai
agar ham apse koi mashwara aur rai naseehat karne k liye kahe to aap hame kaise naseehat karoge
kya apne kabhi school ya college me non muslims ko deen ki dawat diye
kya apne net par kisi ko islam ki dawat diye ho agar haan to kis tarah se apne ye kaam kiye
agar nahi to kya aap koshish nahi karte ya karna chahte ho
kya apki koi khwahish hai jo abhi tak puri nahi huyi
muashre ko agar apko sudharne ka mauqa mile to aap kahan se pehle shuruat karoge aur aise konsi galat cheez hai jisse sabse zyada muashre ko nuqsan ho raha hai
kya aap hamare sawalon se bore ho gaye
akhir me ap ladkon k liye islami nuqte nazar se naseehat karna

Jazakallah khair :)
 
  • Like
Reactions: Zee Leo

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
ok friendz ab Interview k quests ko wind up kijye, or apnay comments Zee k lie dejiye, takay unhe yahan se achay words k sath alvida karain:)
 
  • Like
Reactions: Zee Leo

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
Alrite zee.....it was gud to know abt ur living, life, personality, likes dislikes and all.....all i wanna say iz...u r an amazing person, tm pe aap jesa frnd hum sab ki khush kismati hai.......may ur all wishes cum true and god bless u.......ALLAH HAFIZ:)
 
  • Like
Reactions: Zee Leo

Zee Leo

~Leo ! The K!ng~
Banned
Aug 1, 2008
56,471
23,637
713
Karachi
Assalamu Alaykum Wrwb :)
masha Allah bohot hi acha jaa raha hai apka interview
mazirath k sath k ham apse last me sawal puch rahe hain
wo isliye k yahan bohot bheed thi aur hamare sawal us bheed me gum hojate :)

Walaikum Assalam Nasir Bhai mazirat ki koi baat nahi buhat shukrya aap ne itne khuloos se humen yaad kya :)

to mohtarm Zeeshan Shams aap thora apne naam k maine batayen

Ji Janab mere name ke mean hain shan-u-shaukat wala mean ke jo sub main buhat mashoor hoo :)

aap to shayari bhi karlete hain to kuch apki qalam se likha bhi hame sunaden

Hmmm kya sunaon aisa kuch khas shair nahi bus aik chota sa shair arza karna chahta hon

" Apni fitrat main shamil nahi palat kar dekhna zeeshan
Un sey kahoo ub peeche se humen pukara na karen"

apki zindagi ka sabse yaadgar waqaya sunayen jisse jab bhi yaad karo khushi hoti hai

Bhai aise toe buhat se wakiat hain hansi mazaq ke bhi well jab maine matric ache numbers se pass kya tha toe meri ammi ne mujhey galey laga ke buhat pyar kya tha tab ka waqt kabhi nahi bhool sakta ke apni maa ko jo khushi di maine

aur koi aisa waqaya jisse ap ghamgeen hote hain

Janab woh wakia main sub ke sath share kar chuka hon samajh gaye honge aap :)

kya aap ko cooking aati hai agar haan to kya acha bana lete hain

Ji bhai thori buhat kar he leta hon jis main mujhey andoon ka amlet hehe sath main andey ka halwa, chicken karhai, chicken broast, daal ki porian, aur pizza banana buhat acha ata hai is ke ilawa main bihari kabab sub se ache banata hin jisey seekh kabab bhi kehte hain log

agar ham apke mehman banjayen to kya khilana pasand karenge

Hmmm jo apki pasand ki cheez hogi wohee Inshallah aur meri pasand aap ne musalat ki toe main aap ko bihari kabab khilana pasand karon ga

apko tohfe me kya pasand hai matlab aap ko agar koi tohfa dena chahe to aap kya umeed rakhte hain ya apko kya acha lagta hai

Mujhey books buhat pasand hain chahey stories hon ya islamic mujhey reading ka buhat shooq hai

aur apko agar tohfa dena ho kisi ko to kya dete ho aur hame dena ho to kya denge

Waise main sub ko perfume ya show piece waghera deta hon aap ko dene ka mauka mila toe Inshallah book donga koi achi si islamic

aap kis se apni baten share karte hain aur TM par agar kisi se share karna ho to kisse karenge

Hmmm ghar main sub se zyada apni ammi se even ke main unsey koi baat nahi chupata choti bari jaisi bhi ho and my cousin faisal woh mera bachpan ka dost bhi hai sath ungli pakar ke hum khelen hain. on TM Lucky meri achi dost thi us ke baad Nelli, Maan, Mirza Bhai aur Noor bhai aise hain jin se main buhat kuch share kar leta hon specialy Maan se meri kafi achi dosti hogai hai Allah usey khushian de AAMEEN

kya aap apna koi kaam karne se pehle mashwara lete ho aur kisse lete ho

Main zyada tar kaam khud se karta hon magar koi mashware wala kaam ho mean mushkil toe main apne cousin faisal se lazmi mashwara leta hon sath apni Aapi mean elder sister se

agar apse koi rai puche mashwara puche to kya aap unhe deto ho aur uski kya kaifiat hoti hai

Allah ka shukar hai jis kisi ne mujhse mashwara manga hai us ki kefiat achi he huwi hai aur main mashware us waqt deta hon jab samne wale ki baat maqool nazar aye warna main mana kar deta hon

agar ham apse koi mashwara aur rai naseehat karne k liye kahe to aap hame kaise naseehat karoge

Hum aap ko yahee nasihat karna chahen ge ke aap members ke lye kuch karen ke woh apas main aik ho jayen aur aik dosre ko apna samjhen aik unit jaise ho jayen

kya apne kabhi school ya college me non muslims ko deen ki dawat diye

Nahi janab aisa itifaaq nahi huwa kyon ke mere class fellows muslims he miley hain but school life main aik christian friend tha magar us waqt mujhey deen ki knowledge nahi thi so maine nahi kya aisa

kya apne net par kisi ko islam ki dawat diye ho agar haan to kis tarah se apne ye kaam kiye

Ji haan india main meri aik friend hain un ko kisi se pyar tha woh larka hindu tha alhamdulilah ub woh humari koshishoon se muslim hain ye wakia main pehle bhi bata chuka hon

kya apki koi khwahish hai jo abhi tak puri nahi huyi

Bhai apne parents ko Hajj karana chahta hon

muashre ko agar apko sudharne ka mauqa mile to aap kahan se pehle shuruat karoge aur aise konsi galat cheez hai jisse sabse zyada muashre ko nuqsan ho raha hai

Muashre ki islah ke lye khud ko theek karna hoga uskey baad apne se jurey huwe logon se is terha pora muashra theek ho jaye ga aur main inhi koshish main laga bhi rehta hon ke main khud ko is kadar theek kar lon ke dosroon ko bhi kar sakoon aaj kal har jagha log aik dosre ke lye diloon main keena rakhte hain aur jelous bhi hote hain ye sub se bari waja nazar ati hai muashre main agar hum sub aik dosre se mohabbat karen toe sub jagha aman ho jaye is ke ilawa log deen ki knowledge na hote huwe bhi kuch aisi baten karte hain jis se bachoon ka zehan kharab hota hai aur apas main ranjishen bhi peda hoti hain aisa nahi hona chaye kaheen bhi

kya aap hamare sawalon se bore ho gaye

Bilkul nahi balkey buhat khushi huwi kuch logon ne aur bhi sawal pochney thay magar woh shayad buhat busy thay is lye humare lye time na nikal paye hum aap ke shukar guzar hain ke aap ne humare lye waqt nikala aur apna samjh ke hum se ye sub pocha

akhir me ap ladkon k liye islami nuqte nazar se naseehat karna

kuch baten kehna chaon ga ke namaz qaim karoo sath main deen ko samjho phr us pe amal karoo sirf sun lene ya jaan lene se deen ki samajh nahi ajati balkey deen ko samajhna parta hai aur us ke lye us pe pehle khudh amal karna parta hai phr baad main dosroon ko bola jaye toe agey wala bhi usko samajh sakta hai .. shukrya aap sub ka buhat buhat :)

Jazakallah khair :)
 
Status
Not open for further replies.
Top