Coffee With REDROSE- Yoursks

  • Work-from-home
Status
Not open for further replies.

MSC

!t'z N3v@ L@t3
Hot Shot
Nov 23, 2009
29,951
11,674
1,113
Jheel se ankho mei...
question to bohat achha hai, jaise aapko batayaa keh yeh eik yaad hai to actually yeah real maen ek yaad hai usski jo ab paas naheen hai,
iss id maen "KS" is i am, where "RS" is her's name....

to yeah phir plan kya, jaur taur kya to kuchh iss taraah se set hogaya....

i hope ab inshaAllah confusion naheen hogee :) :))
oye hoye
u neva know
mei ne bhi aisa hi kuch socha tha
k yeh zaroor koi code word or nick name hai...;;)
thanks for replying:)
 
  • Like
Reactions: yoursks

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
Part-4

31. Admin or Co-Admin both ki apni apni responsibilities hain, both are doing their own work to keep the TM more and more attractive.

32. inn maen se to ab sirf shayad Nelli he nazar ati hain, mashaAllah bohat active hain, or TM ko promote karne maen kaafi mehnat kar rahi hain, iss ke ilawaah Sabah ke threads mashaAllah bohat impressive hote hain, Anayaa, Hoorain, Tooba, MSC, or deegar alls, sub mashaAllah bohat achhi hai, or apne taur pe TM ko active rakhne maen role play kar rahi hai,

33. Sub mashaAllah bohat achhe hain, apne apne sections pe kaafi mehnat kar rahe hain, or cooperative hain

34. Pakistan mine homeland, bohat mehnat se or sub se barh ke kalimah ki bunyaad pe haasil kya gaya, her lehaaz se hamen deen ke baare maen mukammal azaadi hai, yahaan par jahaan ke apne sub bhee available haen, wahaan deen ki khidmat karne ka bhee mauqaa mil jataa hai.

35. Mohabbat coz paisa nafrat ka sabab bantaa hai, aapes maen taur paedaah kar deta hai, jabkeh mohabbat ki wajaah se hamaen eik doosre ke saath taalluq maen rehte hain.

36. Eik achha dost jo museebat maen kaam aye, gham maen baraber ka shareek ho, uss rishtedaari se kai gunaa behter hai jo baat be baat ehsaan jataye.

37. successful life ke liye dil or dimaagh dono ka istemaal karna zuroori hai, laikin koi bhee step lene se pehle nah sirf dil-o-dimaagh ke baat maani jaye balkeh deeni ehkamaat ko bhee daikhna zuroori hai.

38. chai or coffee donown he naheen peeta bilkul bhee....

39. kitaab best friend, (net bhee zuroorat bantaa ja rahaa hai laikin agar zuroorat rahe to behter hai majboori nah ban jaye)

40. kharch karna, or behtreen masraf maen. agar deen ke muamle maen kharch kya jaye to behtreen hai, iss se related bohat se Quranic ayat bhee hain or ahadith se bhee saabit hai, to yeh behter hai in masaarif maen agar kharch ho jaye to aaj shayad hamaen faiydaah nazar nah aye laikin kal hamaen bohat silaa milne wala hai. Allah hamen har lehaaz se deen ki khidmat karne ki taufeeq ataa farmaye, ameen
mere abbu eik baat kaha karte thae keh hum log pehle paise bachaate hain mushkil waqt ke liye phir mushkil waqt ka intezaar karte hain, so think like this.
thanx bhai :) bless x
 
  • Like
Reactions: yoursks

yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں
aap ka bachapn kesa guzra? matlab ese kya life main changes hain jo bachpan ki life aur ab main kaafi farq batate hain
bachpan Allah ka shukar bohat achha guzraa, maen ne apna bachpan maen other than bhai or sister, two cousins bhee, thae bohat sharartaen karte thae, ghar maen he khelte thae, study karte thae, enjoy karte thae, to this is the thing ab bachpan maen shararten theen or ab naheen hai, agar dil bhee chahe to zaraa mushkil lagtaa hai, this is the major difference.....

what you think
 

yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں
Part-5

41. kuchh lamhaat, kuchh pal hain aisse....

42. bus frienship....

43. Raat ko jaldee sonae ki aadat hai, subah 5, 5:30 baje aankh khul jaati hai, kuch arse se office ke extra ordinary masroofiat yaa visit ki wajaah se raat ko bohat be dayer ho jaye to subah uthne ka yehi time hai,

44. ghar ke taqreeban sub hee kaam kiye hain, koi aissa khaas nahen jo keh shauq se kya ho, yaa jiss pe ghussa aya ho, laikin ab to ghar maen he reh loon to ghar wale he khush ho jaate hain

45. Khush ikhlaaq log, jaldee ghul mil jaane wale, Ulema-e-karaam se mil kar bohat khushi hoti hai

46. Shaadi - bohat ahemiyat ki haamil ka marhala hai, faislaa soch samajh kar or parents ki wish ke mutaabiq, Allah ki raza or huzoor salallah-o-Alaeh-e-wasallam ki sunnat ke mutaabiq honi chahiye, jazbaati faisle long run bhee naheen hote or nuqsaan deh bhee...

47. there is a difference, aapko koi bhee, jub bhee problem ho aap apne friend ke saath share kar sakte ho, aap ko jub bhee kuch require ho, friend is always available, whereas jiss se aap mohabbat karte ho uss ke saath nah aap kuch share kar sakte ho, nah hee woh readily available hota hai...

48. bohat see jagahen haen assi... dua karaen Allah ta'laa hum subko Jannat maen le jai, coz koi gayaa naheen laikin dil sub ka chahtaa hai...

49. 5 to bohat mushkil hai, laikin eik baat jo doosro ki (especially ghar walon ki) observation hai, "iss ka to pataa he naheen chaltaa", (ab yeah to mujhe bhee naheen pataa)

50: kaafi achha lagaa
 

yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں
ap apni zindgi ka kon sa 1 saal wapis chahte hain?
apki koi ajeeb-o-gareeb khawaish?
ap me esi kya bat ya khoobi hai jo boht km logo me hoti hai?
haya urat ka zewar hai to mard ka zewar kya hota hai?
ap k nazdeek 1 kamyab insan kon hota hai?
kahan jane k lye humesha tyar rehte hain ap?
insan kya hai or zindgi se is ka kya taluq hai?
1. saal to naheen keh saktaa, laikin shayad lamhaat aisse bohat se hongae

2. khawaish to naheen keh sakte, laikin eik baat hai jo keh dil chahtaa hai keh "yeah jo kisi bhee incident pe kehte hain keh tafteesh shru kar di gayi hai, jald hee sub kuch samne ajayegaa..", iss ke barae maen maloomat haasil karoon

3. shayad yaa naheen, laikin maen bohat jaldee apni ghalatee tasleem kar leta hoon, doosre ki baat maan leta hoon.

4. yeah both ke liye hee zuroori hai

5. jo apne maazi se sabaq seekhe, present maen waqt guzaar rahaa ho, mustaqbil pe nazar ho.

6. outing / hoteling ke liye, even uss ka financer maen hee keyun nah hoon,

7. insan jub tak keh uss ki zindagi ka maqsad wohi ho, jo keh Allah ta'laa ne bayan kar diya hai, or saath saath doosron ke liye apne aap ko paish paish rakhey
 
  • Like
Reactions: ~Zeest~

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
ab quests ka silsila khatam ho gaya ha ap sab ab Yoursks k lie apnay comments add karwaiye takay ham inhe achay words k sath yahan se alvida karain :)
 
  • Like
Reactions: yoursks

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom


bachpan Allah ka shukar bohat achha guzraa, maen ne apna bachpan maen other than bhai or sister, two cousins bhee, thae bohat sharartaen karte thae, ghar maen he khelte thae, study karte thae, enjoy karte thae, to this is the thing ab bachpan maen shararten theen or ab naheen hai, agar dil bhee chahe to zaraa mushkil lagtaa hai, this is the major difference.....

what you think
jee true
but ek aur b baat hai k bachpan k din be fikri k the, chah k b kisi baat ko zehen ya dil pe sawar nai kiya jaata..........aur tensions ko pass nai aane diya jaata
but jab insaan grow up hota hai toh pata nai khud ba khud hi saare jahan ki sochen zehen main aa jaati hai, lakh un se chutkara paane ki koshish karen but zehen kabi khali nai hota:(
kher, sabi bachpan ese hi hote hain shararten karte:)
 
  • Like
Reactions: yoursks

yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں


jee true
but ek aur b baat hai k bachpan k din be fikri k the, chah k b kisi baat ko zehen ya dil pe sawar nai kiya jaata..........aur tensions ko pass nai aane diya jaata
but jab insaan grow up hota hai toh pata nai khud ba khud hi saare jahan ki sochen zehen main aa jaati hai, lakh un se chutkara paane ki koshish karen but zehen kabi khali nai hota:(
kher, sabi bachpan ese hi hote hain shararten karte:)
truly said, yeah sub to shayad umer ke saath saath chaltaa hai, like jub exams hotey hain to yehi thinking hoti hai, keh after exams thora relax hoga, exams hotey hain to result ki tension, result announce hota hai, next class ki books, books atey he phir wohi exams...

so this is the part of the life.... eik ke baad doosra, then 3rd one...
 
  • Like
Reactions: Nelli

RedRose64

Co Admin
Mar 15, 2007
42,742
28,183
1,313
Canada
Alright thank you Yoursks ap ne Coffee With RR may apna qeemti time nikaal k yahan replies die, and baki sab ko b thxz kahongi jinho ne yoursks k interview ko successful banaya :)

now aik choti se duwa TM ki taraf se ap k lie..

God's blessing may come as a surprise, and how much u recieve, depends on how much, ur heart can believe.May u be blessed beyond wat u expect



Thank You​
 
  • Like
Reactions: yoursks

Nelly

VIP
Sep 23, 2009
97,862
38,645
1,313
United Kingdom
aap k baare main jaan k bohat acha laga shahzad bhai:) shukriya hamare sab sawalon ka jwab dene k liye, aur agar koi baat buri lagi ho toh b sorry
jahan rahen khush rahen, ALLAH ki rehmat saaye taleh rahen, kamyabian paayen(Ameen Sum Ameen)​
 
  • Like
Reactions: yoursks

yoursks

Always different.., Confirm
VIP
Jul 22, 2008
17,222
8,013
1,113
دعاؤں میں
bohat bohat shukriyaah,

naheen koi aisee baat naheen, balkeh bohat achha lagaa keh aap ne questions kiye, sorry for this that i reply you late....

dua karti rahaa karaen
 

ENCOUNTER-007

Newbie
Feb 10, 2011
516
834
0
Medan e Jihad
ماشاء اللہ
خرم شہزاد آپ کے انٹریو میں آپ کے حالات پڑھ کر خوشی ہوئی
اللہ تعالی دین اسلام پر استقامت نصیب فرمائے
 
  • Like
Reactions: yoursks
Status
Not open for further replies.
Top